Logo

Working Woman

sab kehty hain
kese gharoor ki bat hui ha
main apni haryali ko apnay lahoo se seench rahi hoon
mere saray paton ki shadaabi
meri apni naik kamai hai
mere aik shagoofay par bhi
kisi hawa or kisi barish ka baal barabar qarz nahin hai
main jab chahoon khil sakti hoon
mera sara roop meri apni daryaft hai
main ab har mosam se sir uncha kar k mil sakti hoon
aik tanawar paiR hoon ab main
or apni zarkhaiz namoo k saray imkaanat ko bhi pehchan rahi hoon
lekin meray andar ki ye bahut purani bail
kabhi kabhi-----jab taiz hawa ho
kisi bahut mazbut shajar k tan se lipatna chahti hai!


Parveen Shakir

Posted on 12/14/2006 9:15:13 PM


Posted on 12/15/2006 7:36:18 AM

thx

Posted on 12/15/2006 6:11:21 PM

good   

nahi nahi

Posted on 12/15/2006 6:17:54 PM

ab main is se kia samjhun fragi g.

Posted on 12/15/2006 7:01:39 PM

Asman se Tapki:
ab main is se kia samjhun fragi g.


bus napasandeedgeee

Posted on 12/15/2006 7:06:05 PM


Posted on 12/15/2006 7:07:31 PM

oh ho .. .. anso kahan sey agaye

Studies ka kiya haal hai ????

Posted on 12/15/2006 7:22:27 PM

asman se tapki
kamal kia.achi poem he aur main ne pehle parhi bhi nahin thi

Posted on 12/15/2006 8:03:59 PM


Very nice.


Posted on 12/16/2006 11:46:11 AM

~Fragi~:
oh ho .. .. anso kahan sey agaye

Studies ka kiya haal hai ????



Fragi TAP TAP TAPKAY ANKH SE ANSOO


or jee studies ka kia haal hona hai filhal to moajan lut rahay hain. jaen gay adfmision lay gay phir clases start hon gi phir parhai start ho gi.

Posted on 12/16/2006 2:08:09 PM

chalo ji best wishes

yani k working woman hee bana hai na

Posted on 12/16/2006 2:11:45 PM

KING OF JB:
Achay bachay rootay nahi



MAin to achi bachi nahin hoon.

wese bacchi kehne ka shukria.

Posted on 12/16/2006 2:12:26 PM

Nikama and Rehan thx.

Fragi g thx for wishes or janab ap nay poem k end pe ghor kia e nai????

Posted on 12/16/2006 2:16:01 PM


Posted on 12/16/2006 6:14:58 PM

haan kiya na .. per hawa na janey kab taiz ho    

Posted on 12/17/2006 4:18:56 PM