Kabhi sochtay hain unhain hum bhula dian
kabhi sochtay hain unhian yaad kar lain
kabhi hum judai k sadmay utha lain
kabhi hum akele main faryaad kar lain
Dil ka kya karain SAHEB,
hum unhi pe martay hain
jurm bas itna hey
Un se pyar kartay hain
be-qarari ka dard kya janay
ye to pagal hey baat na maanay
nain miltay hi chain kho jaye
ik nazar main hi ishq ho jaye
samandar se ja k karain ilteja
agar moj ho to usay mord dain
kabhi jaan k na lagaye lagan
ye sheesha jo ho to usay tord dain
Dil ka kya karain SAHEB,
hum unhi pe martay hain
jurm bas itna hey
Un se pyar kartay hain
ye wafa kya hey
aik dhoka hey
karne walon ko
kis ne roka hey
jhootay wwaday hain
jhooti qasmain hain
log kehtay hain
jhooti rasmain hain
yahan bay-asar hain sadaien sabhi
yahan sab Mohabbat main nakaam hain
yahan chahton ka guzara nahi
ye galiyan ye koochay to badnaam hain
Dil ka kya karain SAHEB,
hum unhi pe martay hain
jurm bas itna hey
Un se pyar kartay hain