Logo

Beauty Parlours








Posted on 8/7/2007 11:08:24 AM

likhne wale ki soch per lanat,us ko chahiay k doosron main keeray nikalne k bajay itna time namaaz roze main lagaya kare
shaid yahan per u.a.e k parlours ki baat ki gai he lekin pakistan main maahoul kafi different he,besides ghalat kaam konsi jaga per nahin hota
ab kya masjid jana bhi chour dain

Posted on 8/7/2007 5:59:19 PM

Nikama jee..tusi tay ghussa ee ker gaye o

Posted on 8/7/2007 6:01:21 PM

yahan per asal main is ko aitraaz in batoun per he
1-parlours main pics lagi hoti hain,vo kahan nahin hoti tasveer ager haraam bhi he to bhi hum sab hamare mullahs samait bohat shouq se banvate hain.
2-vahan kaam kerne ali lerkian achi nahi hoti now this is an over-generalised statement,yahan nurses,lady receptionists,multi nationals main kaam kerne vaali lerkion sab ka baare main male-chavinist type k log yehi kehte hain to ab kya hum ya hamari lerkian hospitals,offices etc main jana bhi chour dain.
3-parlours main jo beautification k liay procedure istemaal kiay jaate hain vo ghair sharai hain.well,bohat si ladies apne gharon main reh ker bhi yehi kuch kerti hain.besides,in ka ghair sharai hona bhi apni jaga aik alag debate he,aur is per main ne itne controvercial views bhi dekhay aur perhe huay hain k kuch samajh nahin aata kya sahi he aur kya ghalat.
4-parlours main ladies ki pics bana ker baad main un ko blackmail kia jata he.ab is per koi kya comment de,kuch cases aise zaroor huay houn gay lekin he is streching it a bit too far.
5-fazool kharchi,haan yeh baat mannne vali he lekin ab aise bohat se parlours hain jo bohat affordable rates per ladies ko service provide kerte hain.
like i said in my first post k ager hum keeray nikalna shroo ker dain to hamari most sacred places per bhi aisa bohat kuch hota he aur regularly hota he k ham ager sirf burai ko dekhain to phir hamain hajj aur bajamaat namaaz bhi chour deni chahiay.apni soch ko positive rakh ker ager kisi burai ki nishandahi ki jay to is main koi muzaiqa nahin lekin write ki soch atleast mujhe to bohat ghatia lagi he

Posted on 8/7/2007 6:45:30 PM

It was in my mind when I did Post this....Lekin Socha..her aik ki baat saamany aani chahiyey..iss liyey post ker diya.

Posted on 8/7/2007 6:50:50 PM

thats why i like you

Posted on 8/7/2007 7:11:33 PM

dammnnnnnnnn
paki beauty parlors k me bhi behadddd khilaf hu
par reasons yeh bilkul nahi hein


sab se zyada hansi mujhe kiss baat pe i,, lemme think
oh hann,, that comparason with "maghribi muaaashra" woh bv ko maarne wala case hehehee
thatsss sooo funnyyy
ohh han woh "darmiyanay tabkay ka bechara shohar"
hehekehekheheheheee...


i think im gonna start same topic in fos
with my own views

Posted on 8/8/2007 12:55:04 PM

kiyun ? yahan kiyun nahin ?

Posted on 8/9/2007 12:02:41 PM

jis nay likh ahai us k ghar ki kkhawateen bhi jati hon gi parlours







baqi kuchh cheezain sahi bhi hain
jin ki mazhab main mumaniat hai
phir bhi hum kartay hain

Posted on 8/9/2007 10:30:51 PM