Fairl_Girl
Age: 125
7691 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
BADIL BAN KAR CHAA JANA
Jeb panchi saray urd jain her simt andhairay chaa jain jeb guzri batain yaad aain aur beetay lamhay terdpain met tenha tenha ghebrana tum pass hamaray aa jana Jeb koi din main shaam keray yaa leb ki hansi bednaam keray jeb wahshet dil k naam keray yaa aankh main neend haraam keray met tenha tenha ghebrana tum pass hamaray aa jana Dil dhelti shaam say ghebray yaa batain mayri dohrai mazi say men bhi ghebrai aur kuch b bhool nahi pai met tenha tenha ghebrana tum pass hamaray aa jana Jeb badil boond na bersai aur boond b men ko tersai jeb koi khula na der pai aur dil main khwahish mer jai met tenha tenha ghebrana tum pass hamaray aa jana Dil pareet hamaray dohrai yaa reet porani yaad aai jeb milnay ko bhi men chahy aur piyaar bhera na dil pai met tenha tenha ghebrana tum pass hamaray aa jana or badil ban kar chaa jana kuch bondhen payaar ki barsana
Fairl_Girl
Age: 125
7691 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
MUHABBAT Kisi kumzoor lamhe me Agar me tum se ye keh doon Mujhe tum se muhabbat hai Tum ye mat samajh lena Mein ne sach kaha ho ga Aisi dilnasheen baatoon ko Aise dilbar peraye me kehna Mujhe buchpan se aata hai Meri aankhein mera chehra Mera ye besakhta lehja Ye sab kuch jhoot kehta hai mager Is jhoot me aik sach bhi hai ke Mujhe tum se MUHABBAT hai
Fairl_Girl
Age: 125
7691 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mujhe neend arahi hai Meri maut arahi hai Mire dard-e-dil ko samet rahee hai Meri ulfat ko paa rahee hai
Is anjuman ka saroor In ankhon se jar aha hai Is dil se uth raha hai Yeh maut hai aati hui Nakaam dil ko dilasa daiti hui Mire chehre ka bosa sa leti hui Meri ankhon ko ankhon main leti hui Meri sanson ko tehlil kartee hui
Mere jazbaat ko samajhne se qasir Is duniya pa hansti, isko rulati hui Mire maqsad ko takmil karti hui Mire ehad ko poora karati hui
Mire labon ko pankhari banati hui Miri ankhon ko pathar karati hui Mujhe khusbu, us gulaab ki sunghaati hui Jiski eid mire rab ne di thi mujhe Majazi mujhko bhulati hui Haqeeqi se mujhko milati hui Farsh se mujhko uthati hui Arsh pa mujhe bithati hui
Meri taskeen, meri maut, bas pohanchi hai ab Is qufl se azadi mili hai ab
Haan Mujhe neend arahi hai Meri maut arahi hai Mujhe……….