Logo

- aggressivity -

while searching something on youtube
I found few videos of debates between some Islami scholars (indi or paki)
these debates were between barelvi/deobandi.. sunni/wahabi/shia
or wotever
im not here to take side of anybody,,, coz I dont believe in any groupe mentioned above


I only want to make ya notice something much more simple
mere computer k speakers kharab hein (bohot arse se hehehee) zahir hai woh debates (urdu mei shayad manazra kehte hein) mei kya kaha ja raha tha mujhe sunai nahi diya par sirf dekhna bhi bohot hai

unn ulema ki body language, face expressions and im sure awaz mei bhi itni aggressivity hai.. itna gussa itna guroor hai
k samajh nahi aati hamara mazhab wakai "peaceful" mazhab hai ya nahi..

2nd thing unn k aas paas bethe hue logon k sar kaise jhoom rahe the jaise maloom nahi konsa rass ghola ja raha hai unn k kano mei

3rd thing,, may b "not very important"
there isnt a single woman, not even in parda

Posted on 12/9/2007 7:11:03 PM

post some links..i would like to see some...

Posted on 12/9/2007 11:33:52 PM

i think aisi debates hoti hain Allah swt knows better.per jitnay manazray hum nay sunay hain it has helped us alot.

Posted on 12/10/2007 4:36:27 PM

phir bhi...i wanna listen to them

Posted on 12/11/2007 8:15:20 AM

i think Miss Ashii aapko link send karay

Posted on 12/11/2007 2:32:20 PM

this one http://www.youtube.com/watch?v=GOSLqRxsgoI
baki bhi issi page pe hein kuch

Posted on 12/12/2007 11:53:21 PM

nai esi baat nai hey
esey bohot sey ulema hein but
mein ney jin ko on screen dekha he
un mein Dr. zakir naik and his colleuges, Ahmed deedat. Tahirul Qadri and Dr israr ahmed hein.
In key lectures mein waqai esi baat hoti hey key banda jhoom uthta hey, n sub mein wemen b hoti heyn.

Posted on 12/13/2007 12:00:10 AM

main aisi debates daikhti hi nahin hon
coz jab pata hay sab nay apnay firqa ko hi sahi samamjhna hay to khamha apna ya kisi ka dil khrab kion kiya jaey discuss kar kay?

and rahi baat ghussa ki to ashi,har mullah etc "sahi" to nahin ho sakta?
waisay hi jaisay har "acha"nazar anay wala shaks acha nahin hota, har bura nazar anay wala..... bura nahin...
har chmakti cheez....etc etc to maybe yah UN hi main say hoon?
to choro yar,kiya dil jalana


(sorry mainay suna nahin kuch) phir bi unka ghussa karna samajh main ata hay,
coz jab aap ki family ko koi kuch kahay, ya aisi waisi koi baat ho to ghussa ata hay na ashi?
to jab koi mazhab ko lay kar, aap kay aqiday ko ghalat etc kahay ga to tab ghussa ana fitri sa lagta hay mujhe
(M NOT SAYING KAY ITS RIGHT)

and end main aik baat kahon gi kay tv par kuch prgs nazar say guzray hain, jahan diff firka kay mufti etc hotay hain, and sawalon kay jawabat daitay hain, and fight bi nahin hoti,
Q :Y?
A: iz liyay kay wahan kon sahi kon ghalat ki baat nahin ho rahi hoti.
And na garoor hota hay un kay lahjon main na hi ghussa.




Posted on 12/13/2007 6:17:35 AM

oups i completly forgot this topic


badshah
i was talking abt vdo link i posted here


balich
yar mujhe mei aur aik molvi/deeni aalim k rawayye mei fark hona chaiye na
i already said yeh manazry mukhtalik muslim firkon k beech hein,, yani k so obviously no one is saying something against Allah, Nabi paak or Quran paak.. sirf nazariye k thore se fark ne itni dooriyan paida kar di hein

Posted on 12/23/2007 10:06:47 PM