Rehan M Din
Age: 44
Total Posts: 15020
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mai nay is taur say chaha tujhay aksar janan
Jesay mehtab ko be-ant samandar chahay
Jesay soraj ki kiran seep kay dil mai utray
Jesay khusbo ko hawa rang say hat kar chahay
Jesay pathar kay kalejay sai kiran phot-ti hay
Jesay ghunchay khilay mosam sai hina mangtay hain
Jesay khawabon mai khayalon ki kamaan’ tot-ti hai
Jesay barish ki dua abla pa mangtay hain
Mera har khawab meray sach ki gawahi dai ga
Wusat-e-deed nay tujh sai teri khawahish ke hai
Meri sochon mai kabhi dekh sarapa apna
Mai nay dunya say alag teri parastish kee hai
Khawahish-e-deed ka mosam kabhi dhundla jo huwa
Noch dali hain zamanay ki naqabain mai nay
Teri palkon per utarti howi subhon kay liye
Tor dali hain sitaron ki tanabain mai nay
Mai nay chaha keh teray husn ki gulnar fiza
Meri ghazlon ki qataron mai dehekti jae
Mai nay chaha keh meray fan kay gulistan ki bahar
Teri ankhon kay gulabon sai mehekti jae
Taey to yeh tha keh sajata rahay lafzon kay kanwal
Meray khamosh khayalon mai takalum tera
Raqs karta rahay, bharta rahay khusbo ka khumar
Meri khawahish kay jazeron mai tabasum tera
Too magar ajnabi mahol ki parwarda kiran
Meri bujhti howi raton ko sehar kar na saki
Teri sanson mai masehai the lekin too bhee
Chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda tar kar na saki
Tujh ko ehsas he kab hai keh kisi dard ka dagh
Ankh sai dil mai utar jae to kya hota hai
Too keh semab tabiat hai tujhay kya maloom
Mosam-e-hijr thehr jae to kya hota hai
Too nay is morr pay tora ha taaluq keh jahan
Dekh sakta nahi koi bhee palat kar janan
Ab yeh alam hai keh ankhain jo khulain ge apni
Yaaad aye ga teri deed ka manzar janan
Mujh se mangay ga teray Ehd-e-mohabat ka hisab
Teray hijraaan ka dehekta huwa mehshar janan
Youn meray dil kay barabar tera gham aya hai
Jesay sheshay kay muqabil koi pathar janan
Jesay mehtab ko be-ant samundar chahay
Mai nay is taur say chaha tujhay aksar janan
MOHSIN NAQVI