Logo

Saath do

bera kathan hai rasta jo aa sako to saathdo
ye zindagi ka fasla mita sako do saath do

beray fareb khao gey beray sitam uthao gey
ye umer bher ka saath hai nibha sako do saath do

jo tum kaho ye dil kia jaan bhi fida kerun
jo main kahun to ik nazer luta sako do saath do

main ik ghereeb be nawa main ik faqeer be sada
meri nazer ki iltija jo paa sako do saath do

hazaar imtihaan yahan hazaar aazmaishain
hazaar dukh hazaar gham utha sako do saath do

ye zindagi yahan khushi ghamon ka saath hai
rula sako to saath do hansa sako do saath do

Posted on 2/26/2008 1:33:27 AM


v.gud

Posted on 2/26/2008 1:42:50 AM

nice work dear

Posted on 2/26/2008 1:45:04 AM


very nice...

Posted on 2/26/2008 8:46:53 AM

thanks

Posted on 2/26/2008 11:21:26 PM


Posted on 2/27/2008 8:47:26 AM

GOODDD

Posted on 3/7/2008 6:09:51 AM