Logo

~ Dosti Kiya Hai ?? ?? ??

akhir hai kiya yeh dosti

kiya sirf khushain bantney ka naam hai


???







koi kaisey kahey dosti kiya hai ???

Posted on 4/13/2008 9:58:53 PM

soch k bataon gi

Posted on 4/13/2008 10:02:38 PM

simple sa question hai

Posted on 4/13/2008 10:06:22 PM

Dosti---
Dunya kay khoobsurat tareen rishton main say aik. apnay friends ko support karnay na naam,unko khushiyaan aur unka gham bantnay ka naam.
apnay friend kay dard aur aanso ko apna dil aur aankhon main mehsoos karnay ka naam hain Dosti.

Posted on 4/13/2008 10:36:37 PM

so true






dil k koney mein ek khas jaga kissi ko dey dena

Posted on 4/13/2008 10:38:36 PM

yaa dil kay konay main un person k liye aik khaas jaga day dayna
jinki jaga sirf unki hain
unki koi replacement nahi

Posted on 4/13/2008 10:42:54 PM

aur sab sey imp k free mein jaga

Posted on 4/13/2008 10:55:29 PM

free main?
is jaga ki keemat hain
Your loving attitude,ur kind heart and your True feelings

Posted on 4/13/2008 11:02:09 PM

but in saab cheezoon kee keemat tu nahi hai na

Posted on 4/13/2008 11:04:14 PM

inki keemat buhat ziyada hain
money day kar aap koi cheez khareed laitay hain aur mamla khatam
jabkay aakhri saas tak iski keemat hum pe lazim hain.

Posted on 4/13/2008 11:06:13 PM

wohi tu mera maksad tha k in cheezoon kee monitory terms mein keemat nahi hoti

Posted on 4/13/2008 11:16:13 PM

yaa inki keemat is liye nahi hoti
kyunki koi inki keemat ada hi nahi kar paiga
jab yeh free hain log inhay nahi khareed saktay
to phir agar yeh money main miltay to kya log inki keemat ada kar patay
Kabhi nahi

Posted on 4/13/2008 11:20:13 PM

yakeenan is liye yeh Allah ka gift hai

Posted on 4/13/2008 11:25:03 PM

beshak
buhat khush naseeb hotay hain wo log jinkay achay dost hotay hain.

Posted on 4/13/2008 11:27:04 PM

dosti mein ager khaloos be shamil ho tu duniya automatically janat ban jati hai

Posted on 4/13/2008 11:28:37 PM

yaa per buhat kam log in baaton pe amal kartay hain

Posted on 4/13/2008 11:30:46 PM

yeah mite b hum b na kartey hoon

Posted on 4/13/2008 11:33:03 PM

yaa i dont do
hum dosti ko shayad 20% say bhi kam ada kartay hain
per InshAllah trying my very best

Posted on 4/13/2008 11:35:15 PM

dats really gr8

Posted on 4/13/2008 11:36:09 PM

yaa yeh to hamaray friends hi sahi bata saktay hain

Posted on 4/13/2008 11:38:03 PM

frnship b hamesha 2 way hee hoti hai

Posted on 4/13/2008 11:39:50 PM

yaa aik way hamari
ek hamaray friends ki
do good have good wali baat hain
per agar you do good and dont receieve good
then InshAllah one day that person will know ur friendship's worth

Posted on 4/13/2008 11:42:02 PM

exactly

but tabhi tu hum aksar hurt rehtey hain .. jab hum ko response barabar nahi milta

Posted on 4/13/2008 11:43:53 PM

response zaroor milay ga
chahay kuch dair ho jaye per response zaroor milta hain
jo log mohabbaton ki qadar nahi kartay woh nafraton ka nishana bantay hain
per apnay friends ko guide karna hamara farz hain

Posted on 4/13/2008 11:45:46 PM

yeah but frnship mein b levels hotey hain na

frns

best frns

etc etc

Posted on 4/13/2008 11:47:16 PM

yeh levels hum khudd banatay hain
warna dosti ka aik hi level hain
jisay hum Best friends kehtay hain.
per hum unko best friends is liye kehtay hain
kyunki unka response hamaray liye positive hota hain

Posted on 4/13/2008 11:49:55 PM

nai levels tu zarooor hotey hain

Posted on 4/13/2008 11:54:02 PM

ok jee
aap bataye konsay level hotay hain?

Posted on 4/13/2008 11:55:55 PM

dekhein u cant share every thing wid every frnd

Posted on 4/13/2008 11:56:44 PM

yaa right
per hum to apni har baat har friend say share kartay hain

Posted on 4/13/2008 11:57:54 PM

nahi i doubt

Posted on 4/14/2008 12:00:26 AM