Logo

Mujhko Yakeen hain...

Assalam O Alaikum
This is one of My favourite
I hope Aap sabko Bhi pasand aayegi InshAllah

*Mujh ko yaqee'n hai such kehti thien jo bhi ammi kehti thien,
Jab mere bachpan ke din thay chand main pariyaa'n rehti thien.

Aik yeh din jab apno ne bhi hum se nata tor lia,
Aik woh din jab pairh ki shaakhain bojh humara sehti thien.

Aik yeh din jab sari sadkain roothi roothi lagti hain,
Aik woh din jab aao khelein saari galiyaan kehti thien.

Aik yeh din jab jagi raatain deewaron ko takti hain,
Aik woh din jab shamon ki bhi pulkain bojhal rehti thien.

Aik yeh din jab lakhon gham aur kaal para hai aansoo ka,
Aik woh din jab aik zara si baat pe nadiyaa'n behti thien

Mujh ko yaqee'n hai such kehti thien jo bhi ammi kehti thien
Jab mere bachpan ke din thay chand main pariyaa'n rehti thien



Posted on 5/11/2008 1:08:36 AM


Posted on 5/11/2008 1:41:39 AM


bahut khub sis

Posted on 5/11/2008 5:40:52 AM

Waalaikum Assalam

sweet sharing

Posted on 5/11/2008 1:16:06 PM


boht khoooob...


Posted on 5/12/2008 10:20:55 AM

Buhat Shukriyaa Aap Sab Ka...!

Posted on 5/12/2008 11:31:26 AM