ap naak agay lao![]()
Jo dard dil mein hai bataya nahi jata
Jo dil pe guzra hai sunaya nahi jata
Zakhm aisa diya us zalim ne hamein
Ki us zakhm per marham lagaya nahi jata
Us bewafa ne na ki hum se wafa kabhi
Phir bhi us bewafa ko bewafa kaha nahi jata
Nazar ata hai jab bhi kahin wo hamein
To in ankhoun pe pehra lagaya nahi jata
Yaad ata hai wo her mehfil aur tanhai mein
Pata nahi kyoun us zalim ko bhulaya nahi jata
Kehta hai zamana hamein muskurane ko aye Kabir
Is dard bhare dil se muskuraya nahi jata