Kyun pyaar us par hi aata hai

3280 views 29 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Kyun pyaar us par hi aata hai
Jo mil kar bhi naa mil pata hai
Kaise yeh usse batayein hum
Tujh bin rah na paayein hum



Kyun baar baar woh satata hai
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum
Par kis tarah bhulaayein hum?


Woh mann main har dum rahta hai
Dharkan ki tarah dharkta hai
Hain issi ehsaas se zindaa hum
Hain ek-duje ke dil o jaan hum


Ek duje ke dil main rahte hain
Kya pyaar issi ko kahte hain?
Posted 23 Jun 2008

Reply to Topic