*Suna hai, shikaar e khizaan ho ker bahar ki rut main
jo shajar sookh jatey hain woh phir harey nahee hotey
Suna hai, wafa deemak ban ker jinhen chaat jati hai
woh wafaoon key peker kuch aesey bikhartey hain
key kirchioon main bhi phir unka pata nahee milta
Suna hai, kabhi ye rut aesey bhi badalti hai
key sarey meherbaa lafz yekdam kaheen kho jatey hain
aur kisi meherbaa si saa at ka koi sira nahee milta
Suna hai, jab wojood reza hota hai
to toot phoot buhut beawaz hoti hai
faqat aik khamoosh sa mausam
aik sunsaan sa rasta
aik weeraan si saa'at
aur aik gumnaam sa lamha
yun hamsafar hotey hain goya sadiyoon ki rafaqat ho
Suna hai,
aandhiion ki zad main aa ker phool jo bikhar jayen
woh phir simta nahee kertey
Kisi pur ranj si sa'at ka jo nishana ban key kho jayen
woh phir palta nahee kertey
Aey charagar,
suna to main ney ye sab kuch hai
magar meri duayeen hain aik silsila
meri umeed hai mera hosla
Mujhey mojzoon pey yaqeen hai!
Mujhey mojzoon pey yaqeen hai!!!!!!