Logo

Dard ki kokh se

dard ki kokh se aaho ka janam hota hai
dard jab hota hai yaro tu dil bhut rota hai

dard ki aah ne lota hai her chain mera
gam ke safine main doba hai dil bechain mera
main samnder ho aur pyaas mujhko rolai
tofano ne ghera aur kinra mujhko bulai
gam ke samnder main arma bhra dil rota hai

dard ki lao main jal raha tha dil ayesa
sine ki aag se kaleja jalne laga
tu dard bnke aag aankho se barasne laga
cheek ker aah dard ki fir se nikli
lamha lmha ye dil dard ki aagosh main sota hai

dard main jab zakham ki aah se ye dil chilai ga
dard ke es safer main hamdard na koi paiga
dard ke saath her dard wo fir se badhaiga
dard de mazi ka fir se ubher ke ayega
dard ke saath hi her din baser hota hai

ham ne dard jab sab ka kiya tha kanwal
tu hamdard hamare chle gai
dil sadgi main doba tha ayese
unka dard hatane ham apna dard sah gai
Aah bher ke ye dil kisi ko khota hai
dard ki kokh se aaho ka janam hota hai
dard jab hota hai yaro tu dil bhut rota hai

Posted on 2/18/2009 1:59:23 AM

mashallah, very very nice.

some lines are very touching... specially

Fairl_Girl:

ham ne dard jab sab ka kiya tha kanwal
tu hamdard hamare chle gai
dil sadgi main doba tha ayese
unka dard hatane ham apna dard sah gai
Aah bher ke ye dil kisi ko khota hai
dard ki kokh se aaho ka janam hota hai
dard jab hota hai yaro tu dil bhut rota hai

Posted on 2/18/2009 2:04:17 AM

thanks alot JAG

Posted on 2/18/2009 10:03:39 PM