Logo

Ujar chuke hain





Udaas Raatien Khwaab Saaray Ujar ChUkay hAin
hAi Aankh Veraan K Sab Nazaaray Ujar ChUkay hAin

Meri Zameen Par gUlon Kay Chehray JhUlas Gaye hAin
Meray Flaq Kay wO Chaand Taaray Ujar ChUkay hAin

jO Meray AansOo Shumaar Kartay jO Pyaar Kartay
Wafa Kay Paikar Sabhi Sahaaray Ujar ChUkay hAin

Ab Aankh Dariya Mein kOii tOofaan Nahien Uthay Ga
Meri NigaahOn Kay Sab Kinaaray Ujar ChUkay hAin

tUmhaari ShOkhii Gaye DinOn Ka Hisaab Maangey
tUmhien Khbar hAi K Gham Kay Maaray Ujar ChUkay hAin

jO Bhaid SeenOn Mein Thay Kabhi Be-Amaan hOye hAin
jO Raaz hOnton Pey They hUmaaray Ujar ChUkay hAin

Yeh WaQt Bhi Kha Gya hAi Kitnii mUhabbatOn kO
"Qmar" Jawaan Thay jO Yaar Saaray Ujar ChUkay hA

Posted on 3/6/2009 7:04:41 PM

nice miss

Posted on 3/7/2009 12:01:45 AM

bohut achi Rapunzel.

Posted on 3/7/2009 3:06:53 AM

UV radiations ka kamaal hai

Posted on 3/7/2009 5:47:10 AM

lildude:
nice miss


thnx

Posted on 3/7/2009 4:25:00 PM

olldman:
bohut achi Rapunzel.


thnx

Posted on 3/7/2009 4:25:06 PM

oodbalow:
UV radiations ka kamaal hai


mein ne research nhi ki abhi is pe

Posted on 3/7/2009 4:25:20 PM

Rapunzel:
oodbalow:
UV radiations ka kamaal hai


mein ne research nhi ki abhi is pe


without research he post kar dia shayed poet ne research ki ho

Posted on 3/7/2009 4:28:52 PM

je shayd

Posted on 3/7/2009 4:37:07 PM


Posted on 3/9/2009 10:04:58 PM

thnx u

Posted on 3/24/2009 10:39:06 PM


*Most Welcome...!

Posted on 3/28/2009 1:09:42 PM