Logo

Urdu Poetry Competition...***

Assalam O Alaikum

*A new Topic for All of Us
Urdu Poetry Competition
Jahan Aap sab Hissa lay saktay hain
Ik Topic Diya jayega Jis K Mutabik Apko Poetry Submitt karwani hogi

Poetry Competition kay Kuch Rules hain


*Rules Of This Competition...!!!


*Aik Member Aik Poem Hi Share Ker Sakta Hey

* Poem English Text Or Image Ki Soorat Main B Share Ki Ja Sakti Hey

*Apni Pasandeedah Poem Share Kerney Sey Pehley Yeh Zaroor Check Ker Lijiyey Keh Kahin Yeh Poem Is Competition Main Pehley Share Tu Nahi Ho Chuki ...... Agar Ho Chuki Ho Tu Woh Poem Doobara Share Nahi Ki Ja Sakti Or Agar Kisi Ney Doobara Share Ker Di Tu Woh Poem Delete Ker Di Jye Gi.

*Poem Share Kerney Ki Last Date 15th April Hain.

Is Thread Main Kisi B Member Ko 15th April Tak Kisi Qisam Ki Chit Chat Ki Ijazat Nahi HO Gi Aap Sirf Apni Sharings Ker Saktey Hain 26th March Ko Voting Start Ker DI Jye Gi Phir Aap Jo Kehna Chahain Jo Comments Dena Chahain Dey Saktey Hain Or Her Qisam Ki Gup Shup Bhi Ker Saktey Hain

Thanks

Is Month ka Topic hai
"DUA"


So lets Start
InshAllah All the Best...!

...*

........*

.............*



Posted on 4/4/2009 12:48:08 PM

w/salamz...

nice thort ss jee

lekin prize kya hoga

Posted on 4/9/2009 6:38:22 PM

*Thank You Miss rain Girl jee

Prize lolz Wining is a Prize Itself...!


Posted on 4/10/2009 8:02:30 PM




*Dua

*Koi Zabt Dey Na Jalaal Dey
Mujhay Sirf Itna Kamaal Dey

Main Har Ik ki Sada Banoon
Kay Zamana Meri Misaal dey

TERI Rehmaton Ka Nazool Ho
Meri Mehnato Ka Sila Milay

Mujhay Maal O Zarr Ki Hawas na Ho
Mujhay Bas TU Rizq e halaal Dey

Meray Zehan main TERI fikr Ho
Meri Saan Main TERA Zikr Ho

TERA Khauff Meri Nijaat Ho
Sabhi Khauff Dil se Nikaal Dey

TERI Baargah Main AYE KHUDA!
Meri Roz O Shab hay Yehi DUA

TU Raheem Hay TU Kareem hain
TU Sabhi Bala'on Ko Taal Dey





Posted on 4/10/2009 8:23:31 PM

oh koi bi nahi aya yaha

Posted on 4/22/2009 4:06:57 PM

HATH AB APNAY DUAAON KO UTHAAYE HUAY HAIN

Saray bay bas jo zamanay k sataaye huay hain
Hath ab apnay duaaon ko uthaaye huay hain

Un hi pairron mein nayee konplein khawabeeeda hain
Zard patton ko jo shaakhon se giraaye huay hain

Main kissi roz achanak hi palat aaun ga
Janta hoon k mujhe laug bhulaaye huay hain

Aasmaano se koi in ki taraf dekhta hai
Kiya ajab laug tere shehr mein aaye huay hain

Raftgaan ko tau bhulana nahin mere bas mein
Woh mere dil meri aankhon mein samaaye huay hain

Jin k laut aanay ka imkaan nahin,un k liye
Ehl-E-Dil apnay dar-o-baam sajaaye huay hain

Aatish-E-Hijr mein jal kar bhi tujhe yaad kiya
Dekh tau aag mein kiya phool khilaaye huay hain

Dil dehal jata hai yeh soch ke mera
Mainay sab hi raaz yaaron ko bataaye huay hain....!!!



Posted on 4/23/2009 1:26:16 AM

well i think jo topic slecter hain esay khud word ya sentence nahi choose kerna chaheya es k lea koi or member hona chaheya jaysa k FG hain ya koi or es terha compitation fair ho jaey ga ya meri thought hain zaroori nahi k aysa he hoo baki ap logo ki merzi SS je

Posted on 4/23/2009 4:40:19 PM




Posted on 4/23/2009 6:10:33 PM

*Very Beautiful Sharing Miss Shaista jee and Miss Ghuori jee
But Sorry Competition Khatam ho gaya hain.

*Yaa Right jee
I Think Yeh Is naui'yat ka pehla Topic hain yahan
Yeh hamara Fisrt Experience tha
InshAllah Next time Hum is main Kuch Changes lanay Ki Koshish Zaroor karaingay,InshAllah
I Think "Unwaan e Shairy" Koi Bhi select kar ley
is se koi Fark nahi parta
"DUA" buhat Common Word hain Shairy main
so isi liye is word ka Inkhitab kiya gaya...
In Future we'll Try To make it More better
InshAllah

Thanks...!

Posted on 4/23/2009 10:23:25 PM


i knew i was late, but did wanted to share this one.


Posted on 4/25/2009 8:45:40 PM

sun_shine:
*Very Beautiful Sharing Miss Shaista jee and Miss Ghuori jee
But Sorry Competition Khatam ho gaya hain.

*Yaa Right jee
I Think Yeh Is naui'yat ka pehla Topic hain yahan
Yeh hamara Fisrt Experience tha
InshAllah Next time Hum is main Kuch Changes lanay Ki Koshish Zaroor karaingay,InshAllah
I Think "Unwaan e Shairy" Koi Bhi select kar ley
is se koi Fark nahi parta
"DUA" buhat Common Word hain Shairy main
so isi liye is word ka Inkhitab kiya gaya...
In Future we'll Try To make it More better
InshAllah

Thanks...!


Miss Ghouri nahi SS i am KING OF JB

Posted on 4/27/2009 5:15:41 PM

Well essi terha ka topic main pahlay bi bana chuka hoo jis main manay Fg ko judge kernay ko bola thaa khir nice work keep it up hum ap k topic ka w8 keray gay jee

Posted on 4/27/2009 5:16:47 PM

shaista:

i knew i was late, but did wanted to share this one.



*Yaa Right jee

Very Beautiful Sharing...!
Thank You Very much Dear sis...!

Posted on 5/5/2009 1:26:48 AM

KING OF JB:
sun_shine:
*Very Beautiful Sharing Miss Shaista jee and Miss Ghuori jee
But Sorry Competition Khatam ho gaya hain.

*Yaa Right jee
I Think Yeh Is naui'yat ka pehla Topic hain yahan
Yeh hamara Fisrt Experience tha
InshAllah Next time Hum is main Kuch Changes lanay Ki Koshish Zaroor karaingay,InshAllah
I Think "Unwaan e Shairy" Koi Bhi select kar ley
is se koi Fark nahi parta
"DUA" buhat Common Word hain Shairy main
so isi liye is word ka Inkhitab kiya gaya...
In Future we'll Try To make it More better
InshAllah

Thanks...!


Miss Ghouri nahi SS i am KING OF JB



*Oops Sorry Sir lolz...!

Posted on 5/5/2009 1:28:06 AM

KING OF JB:
Well essi terha ka topic main pahlay bi bana chuka hoo jis main manay Fg ko judge kernay ko bola thaa khir nice work keep it up hum ap k topic ka w8 keray gay jee


*Yaa Right jee
May be hamain woh Topic Dekhnay ka Ittefaak nahi hua

Thank You Very Much Sir...!

May I Ask you Something Plz?

Posted on 5/5/2009 1:29:52 AM

y not jee zaroor poochay

Posted on 5/6/2009 12:50:37 PM

Nice

Posted on 6/9/2009 7:01:37 AM

Nice poetry shared by all

Posted on 7/12/2009 6:09:54 PM

duaa k liay hatho ki zarorat nahi hoti jawad
ansoo faqt meray meri kahani ap hein


sorry no poetry jo dil mein ayia likh dyia

Posted on 7/20/2009 1:42:02 AM

LAB PE AATI HAI DUA BAN K TAMANNA MERI
ZINDAGI SHAMMA KI SOORAT HO KHUDAYA MERI

Posted on 7/27/2009 9:48:13 AM

Ameem.....

Posted on 8/2/2009 3:52:09 AM


Posted on 12/13/2009 7:36:09 AM


Posted on 12/14/2009 4:56:53 PM


Posted on 12/21/2009 11:24:59 AM


Posted on 1/10/2010 5:18:29 AM

Walikum Salam & Assala Mu Alaikum

Jazbat-eMohabbat ko chupa kar nhi rakhna
tum dil mein kohi hasr utha kar nhi rakhna

insaan ke halat to tum dekh rahay ho
mati se kohi cheez bana kar nhi rakhna

mein apne liye aik kaie ki tahrah hoon
tum ko ko mere saath mila kar nhi rakhna

yeh log to khushbo se girfitar na hoon gaay
balon mein kohi PHOOL saja kar nhi rakhna

ab kohi sanata he nhi log fasana
chupal mein tum AAG laga kar nhi rakhna

yeh shir-e Mohabbat bada tareek hai AAMI
Aoo to caraghon ko bhuja kar nhi rakhna

IMRAN AAMi

Posted on 1/22/2010 12:31:31 AM

insaan ke halat to tum dekh rahay ho
mati se kohi cheez bana kar nhi rakhna

wah wah

nice topic, but where is SS sis?

Posted on 2/13/2010 1:30:46 PM


Posted on 2/23/2010 3:33:07 AM

Jazbat-eMohabbat ko chupa kar nhi rakhna
tum dil mein kohi hasr utha kar nhi rakhna

insaan ke halat to tum dekh rahay ho
mati se kohi cheez bana kar nhi rakhna

mein apne liye aik kaie ki tahrah hoon
tum ko ko mere saath mila kar nhi rakhna

yeh log to khushbo se girfitar na hoon gaay
balon mein kohi PHOOL saja kar nhi rakhna

ab kohi sanata he nhi log fasana
chupal mein tum AAG laga kar nhi rakhna

yeh shir-e Mohabbat bada tareek hai AAMI
Aoo to caraghon ko bhuja kar nhi rakhna

Posted on 3/16/2010 11:01:38 AM

mohabbat hoie hai jowan urdu shayari in urdu

Posted on 3/24/2010 1:54:18 AM

W@HHHH BOHAT KHOOB KAF MUDAT K BAAD AISI ACHI SHAIRY PARHNEY KO MILI...WH BOAT HE KHOOOOOOB
shaista:
HATH AB APNAY DUAAON KO UTHAAYE HUAY HAIN

Saray bay bas jo zamanay k sataaye huay hain
Hath ab apnay duaaon ko uthaaye huay hain

Un hi pairron mein nayee konplein khawabeeeda hain
Zard patton ko jo shaakhon se giraaye huay hain

Main kissi roz achanak hi palat aaun ga
Janta hoon k mujhe laug bhulaaye huay hain

Aasmaano se koi in ki taraf dekhta hai
Kiya ajab laug tere shehr mein aaye huay hain

Raftgaan ko tau bhulana nahin mere bas mein
Woh mere dil meri aankhon mein samaaye huay hain

Jin k laut aanay ka imkaan nahin,un k liye
Ehl-E-Dil apnay dar-o-baam sajaaye huay hain

Aatish-E-Hijr mein jal kar bhi tujhe yaad kiya
Dekh tau aag mein kiya phool khilaaye huay hain

Dil dehal jata hai yeh soch ke mera
Mainay sab hi raaz yaaron ko bataaye huay hain....!!!



Posted on 4/15/2010 1:00:11 PM