Akhir Kyun...***

2519 views 18 replies
Reply to Topic
sun_shine

Age: 124
Total Posts: 13494
Points: 0

Location:
Afghanistan, Afghanistan
    Assalam O Alaikum

*How Are You All?

*Aik Question hamesha hamaray Mind main ata rehta hain kay Hum Sab Hamesha Achai Ki baatein kartay hain
Hum sab Acha Honay pe beleive Rakhtay hain aur yeh Mantay hain kay Jo acha karta hain un kay sath Acha hi hota hain.
Hum Hamesha kehtay hain kay sach Kehna chahiye,
Koi aap kay sath Ghalat karay Tho Jawab main aap Un k sath acha kejeye,Dar Guzar karna,Kisi Ki Dil Azaari na karna yeh woh baatein hain Jo Hum hamesha Suntay aye hain ,Magar To be Very Honest Buhat kam Log aisay hain Jo Example kay Taur pe hamaray samnay hain,aur jo In baaton pe Amal kartay hain.

My Question is Kay Woh kya Reasons hain jiski Bina pe Hum In baaton ko Practically Apni Life main Apply nahi kar patay,Yeh Am'aal Kyun Sirf Alfaaz hi bannay Huay hain?

Feel Comfortable To share Your Views
InshAllah
....
.......
............*

Posted 17 Apr 2009

wa-alaikum salam...

Alhamdolillah... Am fi9

sirf soch ki hadd tak to theek hai... jab khud per implement karnay ki baari aati hai to ham log boht si chezon ko ignore kar detay hain... kabhi yeh soch kar k hamaray aisay honay se kya farq parta hai... aur kabhi yeh soch kar k ham mai to aisi koi baat hai hi nahi jis ko burai kaha jae... ya phir kabhi ham apnay aap ko dekhtay hi nahi k ham mai kon kon si achai honi chahiye....
Posted 18 Apr 2009

~Fragi~ says
infact hum log bohat short term approach k saath life guzar rahey hain ..

hum apni approach ko jis din long term kar lein gein us din hum soch sakien gein k hum kiya they aur kiya hain
Posted 18 Apr 2009

sun_shine says
Rehan M Din said:

wa-alaikum salam...

Alhamdolillah... Am fi9

sirf soch ki hadd tak to theek hai... jab khud per implement karnay ki baari aati hai to ham log boht si chezon ko ignore kar detay hain... kabhi yeh soch kar k hamaray aisay honay se kya farq parta hai... aur kabhi yeh soch kar k ham mai to aisi koi baat hai hi nahi jis ko burai kaha jae... ya phir kabhi ham apnay aap ko dekhtay hi nahi k ham mai kon kon si achai honi chahiye....

*MashAllah Nice

*Yaa Right
Shayad yehi Waja ho sakta hain kay Hum sochtay hain kay Hamaray acha honay se kya fark parta hain.
Baki Log in baaton ko follow nahi kartay tho hum kyun karay.
Posted 20 Apr 2009

sun_shine says
~Fragi~ said:

infact hum log bohat short term approach k saath life guzar rahey hain ..

hum apni approach ko jis din long term kar lein gein us din hum soch sakien gein k hum kiya they aur kiya hain

*Right jee
Yeh Reason bhi ho sakta hain
Hum sirf Apnay baray main sochtay hain
Hamari Dunya hum se shoru ho kar hum hi pe khatam ho jati hain.
Posted 20 Apr 2009

danie says
Very nice thought Sun shine. Mere vichar se iski Do vajah hei.
1)Koi bhi action se pahle hum sochate nahi hei ki iska reaction samne vaale par kya hoga.
2)Apni practical life mei hum responsive se jyada reactive hote hei.hame responce aur reaction ke beech ke fark ko samjhna hoga. kisi ne aapse kuch tikhi baat kahi. uske reaction me aap ko gussa aaya. Agar aap reactive honge to aapka reaction bhi teekha jawab hi hoga. Lekin agar aapne apne andar ye samajh develop kar li hei, iski practice karke ki mujhe reaction nahi karna he, responce karna hei to hum kisi bhi teekhi baat ka jawab hum gusse se nahi de sakte. balki aisa jawab denge ki samne wale ka gussa bhi thanda ho jae

In sort, jab ham kisi dusre ke saath transaction initiate kar rahe ho to pahle hame sochna chahiye. Bade log kah kar gaye hein na pahle tol..fir bol!

Agar transaction (baat) kisi aur ne shuru ki hei to hame reaction nahi karna hei responce hi karna hei.

jo log in do baaton ka khayal nahi rakhte vo hi galat kar baithte hei.

Pls give me your views.
Posted 20 Apr 2009

gr8 topic and gr8er responses...kudos to all

In fact, that is the difference between education and training/grooming....when education is committed to the soul, that's when a person is well trained or well groomed.

We get educated but we don't get groomed in putting this knowledge to practise...
Posted 20 Apr 2009

SD Brother... Un-educated people ko bhi pata hai k acha kia hai aur bura kya hai... but still there is no practical about it...
Posted 21 Apr 2009

sun_shine says
danie said:

Very nice thought Sun shine. Mere vichar se iski Do vajah hei.
1)Koi bhi action se pahle hum sochate nahi hei ki iska reaction samne vaale par kya hoga.
2)Apni practical life mei hum responsive se jyada reactive hote hei.hame responce aur reaction ke beech ke fark ko samjhna hoga. kisi ne aapse kuch tikhi baat kahi. uske reaction me aap ko gussa aaya. Agar aap reactive honge to aapka reaction bhi teekha jawab hi hoga. Lekin agar aapne apne andar ye samajh develop kar li hei, iski practice karke ki mujhe reaction nahi karna he, responce karna hei to hum kisi bhi teekhi baat ka jawab hum gusse se nahi de sakte. balki aisa jawab denge ki samne wale ka gussa bhi thanda ho jae

In sort, jab ham kisi dusre ke saath transaction initiate kar rahe ho to pahle hame sochna chahiye. Bade log kah kar gaye hein na pahle tol..fir bol!

Agar transaction (baat) kisi aur ne shuru ki hei to hame reaction nahi karna hei responce hi karna hei.

jo log in do baaton ka khayal nahi rakhte vo hi galat kar baithte hei.

Pls give me your views.

*Yaa Right Sir

*Definately hum bina sochay samjhay React kar detay hain.Hum "Eent ka jawab Pathar" wali baat pe Amal kartay hain .
I Agree with You Kay Wakai main pehlay Sochna chahiye then us baat ka answer dena chahiye.Hamain Responsive hona chahiye.

*Ek baat jo hamaray mind main hain aur Ap sab Ittefaak Bhi karaingay kay hamaray Asian Society main Log Apki Khamoshi Ko apki majbori samajhtay hain.
Agar koi hamain kuch ghalat kahay,Hum Unki baat ka Answer na dey ya Phir in Return of their Anger hum achay tareekay se unhain Treat karay tho Woh yeh samajh baithtay hain kay Shayad samnay walay person ne isliye answer nahi diya coz hum ne unhain la-jawab kar diya
woh yeh baat Bhool jatay hain kay samnay wala person Sirf unhain ek chance dey raha hain takay woh theek ho jaye...!

Posted 21 Apr 2009

sun_shine says
*Thanks

*Yaa Right Sir
Kehtay hain na Kay taleem 2 tarah ki hoti hain.
aik Jo hamain Paisa kamana sikhati hain aur dosri woh jo hamain Zindagi Guzarnay ka acha tareeka sikhati hain.

Yaa You are Right
I Think yeh tarbiyat ka Asar hota hain.
In Our college at a time 300 Students in the same class
Hotay hain
kabhi kabhar hum sochtay hain kay Really hum 300 students ko taleem ik hi tarah ki mili hain
Like From Class one to University hum sab ne aik hi tarha ki taleem pai hain
magar Hum sabki Tarbiyat alag alag tarah se hue hain
aur yehi Hamara Personality Difference hain...!

Posted 21 Apr 2009

Rehan M Din said:

SD Brother... Un-educated people ko bhi pata hai k acha kia hai aur bura kya hai... but still there is no practical about it...

True! but where did they learn that difference? someone must have taught 'em -- may be the mom & dad

Values that are inculcated and grained-in last life long. That's why some thinker said something on the lines that a person's first institution is the lap of his/her mom.

People are not learning at home or in institution those personality traits like, self control, patience, respect, and on and on and ....or perhaps, parents either don't care or that they don't have those traits to teach their kids.
Posted 21 Apr 2009

sun_shine said:

*Yaa Right Sir

*Definately hum bina sochay samjhay React kar detay hain.Hum "Eent ka jawab Pathar" wali baat pe Amal kartay hain .
I Agree with You Kay Wakai main pehlay Sochna chahiye then us baat ka answer dena chahiye.Hamain Responsive hona chahiye.

*Ek baat jo hamaray mind main hain aur Ap sab Ittefaak Bhi karaingay kay hamaray Asian Society main Log Apki Khamoshi Ko apki majbori samajhtay hain.
Agar koi hamain kuch ghalat kahay,Hum Unki baat ka Answer na dey ya Phir in Return of their Anger hum achay tareekay se unhain Treat karay tho Woh yeh samajh baithtay hain kay Shayad samnay walay person ne isliye answer nahi diya coz hum ne unhain la-jawab kar diya
woh yeh baat Bhool jatay hain kay samnay wala person Sirf unhain ek chance dey raha hain takay woh theek ho jaye...!

kabhi aisa bhi hota hai keh ap k samnay wala shaks guilty feel kar raha ho ap ki kisi baat per... aur woh jawab na dai paa raha ho... aisi situation mai ap k liye yeh differentiate karna har waqt possible nahi hota keh samnay wala guilty honay ki wajah se khamosh hai... ya ap ko chance de raha hai...

agar kisi ko aik chance dia ja raha hai to acha nahi hai keh woh us chance ko avail karay...
apnay previous behaviour ki tarah same same...

topic change ho jae ga... iss liye usi per baat kartay hain...

Posted 22 Apr 2009

Smooth_daddy said:

Rehan M Din said:

SD Brother... Un-educated people ko bhi pata hai k acha kia hai aur bura kya hai... but still there is no practical about it...

True! but where did they learn that difference? someone must have taught 'em -- may be the mom & dad

Values that are inculcated and grained-in last life long. That's why some thinker said something on the lines that a person's first institution is the lap of his/her mom.

People are not learning at home or in institution those personality traits like, self control, patience, respect, and on and on and ....or perhaps, parents either don't care or that they don't have those traits to teach their kids.

hamaray khayal mai yeh sab cheezain "BY DEFAULT" default seekhi howi hoti hain... jesay chotay bachay ko pata hota hai keh bhook lagay to rona hai... bilkul usi tarah... lekin in ko use nahi kia jata...
Posted 22 Apr 2009

RMD, I respectfully disagree.

Ability to differentiate between right and wrong could be an instinct build-in a person, but to know the difference or what is right and what is wrong is a learned skill.

A baby cries when its hungry, but it also cries when its wet or when its sick or hurting. Crying is an instinct, but it is not knowledge that a baby intelligently uses.

Reasons for not being able to put the knowledge to practise are two fold. a) its a matter of choice - someone knowingly ignores the right and chooses the wrong. or b) Knowlege is not committed to the soul -meaning it does not trigger in time to keep the person on right track and keep it away from wrong.
Posted 22 Apr 2009

danie says
Thank you SD for your views.

Your veiws always has been providing an eye opener and clear cut aspect to the fact and no need to say that I am inspired.

Salute to You (Are u a teacher by profession.. )
Posted 23 Apr 2009

SD brother... agree with you... regarding application of knowledge...
and regarding knowledge... what makes a man feels guilty if he tells a lie and dont know telling lie is not good...?? or feeling guilty after stealing anything while nobody told him dat stealing is not good...
Posted 23 Apr 2009

valandrian says
bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251
bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251bd15251

bd15251
Posted 16 Apr 2018

Posted 27 Sep 2018

SoffieHale says
Very interesting, good job and thanks for sharing such a good blog. Your article is so convincing that I never stop myself to say something about it. You’re doing a great job. Keep it up
Easy Way to Get The Best Offer for Your Damaged Car
Posted 18 Oct 2019

Reply to Topic