Logo

Sach Keh Raha Hai

(Sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana) - 2
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
Sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
Mausam mausam tha suhaana bada
Mausam mausam maine dekha usse
Hua main paagal bas pal bhar mein, aah
Mausam mausam tha suhaana bada
Mausam mausam maine dekha usse
Hua main paagal bas pal bhar mein
Aake basi hai voh mere mann mein
Uski kami hai ab jeevan mein
Voh door hai meri nazron se
Kyoon usse main chaahoon
Oh, sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
Sundar sundar voh haseena badi
Sundar sundar main to khone laga
Uske nashe mein bin piye baheka, aah
Sundar sundar voh haseena badi
Sundar sundar main to khone laga
Uske nashe mein bin piye baheka
Ek din usse bhoola doonga main
Uske nishaan mita doonga main
Chaahoonga na main us patthar ko
Jaa usse bata de
(La lai lai lai lai la le
La lai lai lai lai la) - 2
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda

Posted on 1/1/2004 1:11:26 AM

oh luvlly track..

Posted on 1/2/2004 8:27:08 AM

Ek din usse bhoola doongi main
Uske nishaan mita doongi main
Chaahoongi na main us patthar ko
Jaa usse bata de

Posted on 1/2/2004 5:14:50 PM

khabi rooh pay khabi dil pay dagh laga leya
khabi itnay zakham khulay kay bagh laga leya

mae kahoon ga jazbayi doosti hay azeem tar
khabi doostoon ka agar suraagh laga leya

teray bazam-e-naz mai yea hamara he zaraf tha
khay laboon say hum nay tahi ayagh laga leya

howay farqatoon mae woh fursatian bhi gazab jab
teray gham ko jaan say dum laga leya

khabi dil say hum nay laga leya teray sooch ko
khabi apna khanna be charagh laga leya

khabi kaash jamil khusta jaan say woh poochtay
kisay dihaan mae yea kahan dimagh laga

Posted on 1/3/2004 10:11:08 PM

oh wwah wah maddy..kaha se chori kia?

Posted on 1/4/2004 8:02:04 AM

chraya nahi hay bas acha lagha so post kar diya

Posted on 1/4/2004 9:42:36 PM

one of my fav

Posted on 1/5/2004 3:29:21 AM

nice song

Posted on 1/5/2004 2:58:43 PM

madmax:
chraya nahi hay bas acha lagha so post kar diya



han ek hi bat hothi hae..copy paste kerdena n churana..

Posted on 1/17/2004 6:42:55 AM

kewl song!!

Posted on 1/18/2004 1:51:36 AM

one of my fav

Posted on 1/18/2004 5:14:13 AM

which one lol

Posted on 1/18/2004 4:57:06 PM

gr888888888888888 song

Posted on 1/18/2004 9:33:15 PM

mady ap ko nai pata?

Posted on 1/30/2004 7:44:51 AM

nahin muujhko bhi nahin pata

Posted on 2/5/2004 12:56:46 AM