Im not sure if there's a poetry section here so I guess I'll just post the poem here....lemme me know if there is though...I know this is for lyrics n stuff...
tum gaye to jana dosti kya hoti hai
durr rehne ki takliff kya hoti hai
yaad tumhari har pal satati hai
ab to reh reh kar har baat yaad aati hai
laut ke tum aaoge yeh jaante hum hai
phir na jaane kyon ek khala sa hai
tunhare lautne ka intazar ab hame hai
phir gale se lagane ki aarzoo dilme hai
Akaila daikh kar tum ko
Humain ehsaas Hota hai
Kabhi Hum Bhi Akailay Thay
Kabhi Hum Nay Bhi In Tanhaiyoon Kay Dard Jhailay Thay
Agarchay shehar may Dil Kay Liyay Lakhoon Jhamailay Thay
Hazarooon Rang Mailay Thay
Magar Itni Bohat Si Ronakoon May Hum akailay Thay
Phir Ik din Hum Nay In Tanhaiyoon Say Dosti Kar li
Akailay Reh kay jenay Ka kareena AA gaya Hum KO
Yea AAlam hai kay Abb Tanhai ka mosam Nahi Rakhtay
Akailay Hain Magar Tanhaiyoon Ka Gham Nahi Rakhtay
Koi Bhi Rut Ho Apni Aaankh har gizz Nam Nahi Rakhtay
Koi Bhi Dukh ho Dil Ko muztarib peham Nahi rakhtay
Akaila daikh kar Tum Ko
Na janay Kyuon Khayal Ayaa
Kabhi Hum Nay Bhi Inn Tanhaiyoon Kay dard jhailay Thay
KABHI HUM BHI AKAILAY THAY
zindagi kaay melaay main
is kadaar jhambhailay main
tum saay kiya kahain Jaana
zindaagi kaay railaay main
sakht bay-zameeni hai, sakht la-makaani hai
hijer kaay sumaunder main
takht aur takhtay kee
aik hee kahaani hai
tum ko jo sunani hai
ho sakaay toe mil jaoo
aik din akailay main