Logo

~~BAIT BAZI~~

come on all the poets on the board here is ur chance... lets start baitbazi   


i am giving the ist shair the rest depends upon u peoples.



HARF HARF RATT K BI AGEHI NAHI MILTI
AAG NAAM RAKHNE SEY ROSHNI NAHI MILTI

ADMIN SEY INSAAN TAK AO GE TO JANO GE
KIYOON CHIRAG K NICHAY ROSHNI NAHI MILTI




      (I)

Posted on 4/27/2004 3:50:11 AM

i didn't get it, wat do we have to do wat is BAITBAZI

Posted on 4/27/2004 8:26:36 AM

BaitBazi is not NezaBAzi , Devil.... iss main sher likhnay hain...abb aa gaee samajh?

Irshad kia Hay;

Rangg laati hay hina pathar pay Ghiss Jaanay kay Baad
Surkhroo Hota Hay Insaan Thokren jhanay kay baad

Posted on 4/27/2004 10:48:40 AM

yup sher likhnay hain laikan mera sher i per khatam hoa
tha aur aap ney i sey sher shoro karna tha jaise


Rangg laati hay hina pathar pay Ghiss Jaanay kay Baad
Surkhroo Hota Hay Insaan Thokren jhanay kay baad


to end pe aya hay (D) ok

Dard e dil   k   wastey paida kiya insaan ko
warna itayaat k liye kuch kamm na the karo be yaan


   (N)







Posted on 4/27/2004 5:49:47 PM

Na tum chhat par aati
Na main dewana hota
Na Tum pather marti
Na main Kana hota

Posted on 4/27/2004 7:31:23 PM

"A"[/BLUE]

Posted on 4/27/2004 7:38:46 PM




Aik diya dil mein jalana bi aur bujha bi dena
yaad karna bi ussey aur bhoola bi dena

kiya kahoon chahat hay k nafrat uss ki
naam likhna bi mera aur miita bi dena

(A)

Posted on 4/27/2004 7:55:48 PM

Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab Hoga
Mujh Se Shadi Kar Le, Bara Sawaab Hoga


Posted on 4/27/2004 9:16:00 PM

"A"

Posted on 4/27/2004 9:17:15 PM

aao tajdeed e taaluq ki koee sorat karein
yeh zamana to hamein bas rokta reh jaey ga



A

Posted on 4/27/2004 9:41:05 PM

Apnay hathon pe kehin mera naam likh Dena
tum dua mangna matt faqat dua likh dena

yaad aye jo meri haaq k bikharne ka sama
sada qagiz pe bus ik lafz hawa likh dena


A

Posted on 4/28/2004 12:50:40 AM

AIK BAAR HI JI BHAR K SAZA Q NEHIN DETAY
ME HARF-E-GHALAT HON TO MITA Q NEHIN DETAY


Y

Posted on 4/28/2004 4:12:19 AM

yeh na thi hamari qismat k wisal e yaar hota
aur jeetay rahtay gar aitabar hota






A

Posted on 4/28/2004 5:15:50 PM

Angoothi Chanak Gaye, Nageena Nikal Gaya
Afsos Tera Baap, Kameena Nikal Gaya


Posted on 4/28/2004 7:50:29 PM

A

Posted on 4/28/2004 7:51:54 PM

so its like antakshri with poetry
waise i don't even know what is nezabazi

aaja baaharon ki malka
mausam badal jaye dil ka

Posted on 4/30/2004 10:00:59 AM

Aur bhi bahut si cheezain lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya doostoon ne ishq furmane ke baad
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad

Posted on 5/1/2004 10:55:15 PM

dil ko nahin hai koee shikait kisi k sath
phir bhi koee kami see hai kion zindagi k sath

Posted on 5/2/2004 9:23:45 PM

H

Posted on 5/2/2004 9:25:44 PM

HUM KO MALOOM THA INJAAM-E-MOHABAT HUM NAY ...!

AAKHRI LAFZ   SAY PEHLAY    KALAM THORD   DIA....!





"A"

Posted on 5/3/2004 12:37:07 PM

Aaj aise miltey hain jaisey woh nahin waqif
jo kabhi samajhtey thay hum ko aashnaon mein

Posted on 5/3/2004 12:45:18 PM

N

Posted on 5/3/2004 12:47:54 PM

adii mera shehr N par khatam hooa tha

Posted on 5/3/2004 12:57:29 PM

adiii nein apni post hi delet kar dee

Posted on 5/3/2004 12:58:43 PM

Neil Armstrong Chand par Gaya aur Farmaya
Ye Saala, Idhar hawa kyon nahin ayaa

Posted on 5/3/2004 1:09:55 PM

A

Posted on 5/3/2004 1:11:07 PM


Ab naza ka aalam hay mujh per tum apni mohabat wapis lo

jab kashti dhobne laghti hay to bojh utara karte hain

N

Posted on 5/4/2004 7:44:48 PM

Na teer, na talvaar se ghayal hue hain...
Teri sirf ik nazaar se, ilzaam, Shaayar hue hain


"N"




Posted on 5/4/2004 8:50:42 PM

"N" say Shair....Moulahiza hai....
.
.
.
.
.
..
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.

.
.
.

..
.
.
.
.
.
.
.
..
.

..
.
.
.
.

..
.
.
.
.
.
.
.
MUJHAY NAHI AATA.............




Posted on 5/4/2004 9:13:47 PM

Naheen aata sher to yeh poochna aap say hay
Paseenay kay ilawa kuch ore aata bhee hay

Y

Posted on 5/5/2004 11:52:33 AM

yad e mazi azab hai yarab
chheen lay mujh say hafza mera



A

Posted on 5/5/2004 12:09:48 PM