Maa kitna mitha lafz hay maa bahoot hi piyari hasti jis ki misaal duniyan mein kehin nahi milti
main chahti hoon aap sub maa k barey main iss topic mein kuch na kuch likhen
Bebsi k angan mein
aik yateem bachi hay
bhook jis ki pakki hay
neend jis ki kachi hay
bhook jab bi lagti hay
kuch samajh na pati hay
bhook jab staati hay
maa kiyoon gungnati hay?
rooti kiyoon nahi deti
lori kiyoon sunati hay?
loriyoon k bolon mein
chaand hay chakori hay
doodh ki katoori hay
ladoon ki bori hay
julna sitaroon ka
chandni ki doori hay
bhook kitni sachi hay!
kittni jhooti lori hay!
tori der roti hay
jhoot mooth soti hay
neembaz ankhoon sey
chori chori taqti hay
maa ko dekhti hay woh
aur heraan hoti hay
jaise hi woh soti hay
maa kiyoon uss ki roti hay?
safeed anchal k ik koney mein
mere aanso snbhal kar is tara se boli
``na aise rona
aye mere bachay!
yeh zindagi aik dosra naam hay dukhon ka
tumare aanso mere jigar par tapaq parey hain
na mere bachay
na aisey rona``
main rotey rotey hi so giya tha
ufaq k uss par se meri maa
mere dukhon par udaas ho kar
meri tasalli ko aan ponchi
wohi muqadas nadem ankhen
raheem ankhen`kareem ankhen
ufaq k uss par se jo mujh ko
bari mohabbat se dekhti hain
meri nigaahon se dur hain
par mere dukhon ki nami inn ankhon mein janey
kiyoon kar chalak uthi thi?
woh meri maa hay
jo mere ashqon ko apnay palo main bandh kar
asmaan k uss par le gay hai
yeh log kehte hain:maaen mrthi hain
maaen marr k bi jagti hain
jo bachay rooeyn to sooti kab hain!
yeh maaen bachoon ko khoti kab hain!