Logo

Usay main bhool jana chahta hoon

Usay main bhool jana chahta hoon
suno main muskurana chahta hoon

dukhi rehnay ki adat ho gayi hai
magar ab gungunana chahta hoon

puranay sab taluq toor kar ab
nayi dunya basana chahta hoon

woh nazmain paoon say lipti hain lekin
main un say jaan churana chahta hoon
woh sab tohfay woh sokhay phool saray
main ab un ko jalana chahti hoon
main utna pass ati hoon tumharay
main jitna door jana chahta hoon
mairay hamdam haqeeqat hay yeh mairi
main teray pass ana chahta hoon
ubharnay ki koi khawahish nahi hay
kay main ab doob jana chahta hoon

Posted on 5/19/2004 4:49:28 PM

niceeee..

Posted on 5/19/2004 4:53:20 PM

Agar aap yeh sab kush karna chahtay ho tu fir
aap Pagel ho jayoo..aap usay bhi bhool jayoo gay
aap muskratay rahoo gay..
aur bhi woh kaam jo nahi kar saktay thay kartay rahoo gay:D

Posted on 5/19/2004 8:00:06 PM

very funnnnnnnnnny

Posted on 5/19/2004 10:08:18 PM

Kya hoya Crezmatic bhaye?
Gusa kyon?

Posted on 5/20/2004 9:45:40 PM

is poem mein tu koi gender prob lagtee hay

kabhi..ATEE Hun tu kabhi ATTA...hun

Posted on 5/21/2004 1:43:00 AM

aana jana laga rakha hai inhoo na..!!

Posted on 5/21/2004 6:43:29 PM

hehehe

Posted on 5/21/2004 8:49:59 PM

StillAlone bhaii yai dunia hai yahaan sab chalta hai .... aj nahin to kal koii dosra mil jaii ga too app pehlai ko bhool jaiin gain ........ yahee dunia kee nature hai.... ab mujhai hee dhiakh loo biya aaj ka din khuda kisi ko na dikhaii jo mujh per guzar rahee hai..... well mein khuda sai dua kerta hoon k aap apni destination tak puhunch jaiin ..... Ameen

Posted on 5/22/2004 8:04:07 PM