insaan ki fitrat bhi bari ajeeb hoti hai kay jis kaam say isay roko isi ko kernay ki isay khuwahish hoti hai.kya aap nay uper wali line perh li.mein aap ko keh rahi hun nay kay yeh aap mat perhain.aap kyun apna waqt barbaad kerna chahtay hain.main aap ko musalsal mana ker rahi hun kay isay mat perhain.aap ki aqal mein aik baat nahi aati .meray mana kernay kay bawajood aap issay zoroshor say perh rahay hain.
is say to achha hai kay koi malumati kitaab perhlain or is say faida hasil karain or meri manain to apnay dost ko bhi yeh kahain kay woh yeh sab na perhain.magar afsos kay aap khud bhi abhi tak yeh perh rahay hain .kya allah tala nay aap ko uqal nahi dee.insaan ki fitrat hay kay jis kaam say ussay roka jaay woh wohi kaam kerta hai.lekin mein phir bhi aap say guzarish kerti hoon kay iss ko perh kay apna keeti waqt zayah na karain.lekin aap hain kay perhtay hi chalay jaarahay hain.aap kisi ki baat suntay hi nahi hain.kya aap ko buhot mazah aaraha hai yeh perh kay.achha ab bataain kya aap nay isay perh kay kuch haasil kya bhi kay nahi.abb aap apni ghari'watch'per nazar daalain kay aap nay bilawajah apnay 5 min zayah kardiyah hain.issay say to achha tha kay aap koi achhi si maloomati kitaab perlay tay lekin aap meree suntay hi kahan hain.....kaash aap meree baat sunlaytay to to aap ka keemti waqt zayah na hota khair ainda say hosiyaar rahiyeh ga