Logo

piyar kE dIya jAlaNE waLe


Piyar Ke Deep Jalanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain


Piyar Ke Deep Jalanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Apni Jaan Se Janay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain

Hijer ke Gehray Zakhm Millay Tu Mujh Ko Ye Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain


Jaan Se Piyaray Logon Se Kuch Kuch Perdah Lazim Hay
Saari Baat Batanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain

Khowabaon Mainbhi Pya Milan Ke Sapnay Dekhtay Rehtay Hain
Neendon Main Muskanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain


Iss Jhooti Nagri Main Hum Ne Yehi Haiamsha Dekha Hay
Suchi Baat Batanay WalayKuch Kuch Pagal Hotay Hain

Piyar Jinhain Ho Jai Un Ko Chain Bhala Kab Mil Pata Hay?
Shub Bhar Ashk Bahanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain


Apni Zaat Ke Ujray Gulshan Se Wo Piyar Kahan Kertay Hain ?
Aoron Ko Mehkanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain

Uss Ke Ishq Main Bheeg Ke WASIQ Hum Ko Ye Ehsas Hua
Dil Baat Main Anay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Haon




Posted on 9/21/2004 1:49:48 PM

Apni Zaat Ke Ujray Gulshan Se Wo Piyar Kahan Kertay Hain ?
Aoron Ko Mehkanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain


bilkul

Posted on 9/21/2004 6:17:10 PM


Posted on 9/23/2004 1:28:44 AM

nice.....

Posted on 9/23/2004 9:04:52 AM

Good

Posted on 9/23/2004 11:12:04 AM

thx shukriya !




               - Khwahishain Na'tamaam -




        Mujhay roshni k jazeeron say ...

             Is tarhaan mili ho tum ...

               Jaisay taareek rahoon main ...

           Koi diya ho mad’dham sa ...

   Jis ki roshni main khud ko daikh to sakta hoon magar ...

Yeh roshni ka safar shayad mera hamsafar na ho ...

Shayad k tera milna kabhi bhi meri zindagi ka muqaddar na ho ...

     So aaj inhi lamhoon main ...

        Lota dain jitni chahatain hain ...

       Mere dil k nehaan khanoon main ...

       Jitni un kahi batain hain ...

     Phir kal fursat milay na milay ...

   Jis tarhaan saji hai aaj apni mehfil ...

        Phir yeh bazam sajay na sajay ...

           Kyon k main janta hoon ...

       Kay meri natamaam khuahishoon main ab ...

           Tumhain bhi shamil hona hai ...

        Aaj paya hai tumhain muqaddar say ...

           Kal isi tarhaan ...

        Tumhain bhi khona hai ...


   



Posted on 9/23/2004 11:25:09 PM


Posted on 9/24/2004 12:26:32 AM

Shayad k tera milna kabhi bhi meri zindagi ka muqaddar na ho ...


itni na umeedi achi nahin hai

Posted on 9/26/2004 7:48:42 PM


haan par ager aisa ho k tu mera hi ho
to phir socho kaisa ho ?
ager zindagi main aik saath ho
aur wo kandha tum ho to kia ho ?
sharam se kabhi kisi ki baaton par hasna ho
to wo tum ho kia nah ho ?
bharosa hai k kabhi saath to apna hai   hi
to wo bharosa nibhane wale tum hi kiu nah ho ?

Posted on 10/3/2004 11:12:53 PM

nice

Posted on 10/4/2004 8:29:37 PM

y dun u send ur poetry lemme kow abt ur poetry dat wat iz da topic of   ur poetry ! TARASH


waitin
haf fun
stay ccooll

Posted on 10/4/2004 9:38:52 PM

main poet nahin hoon


jahan se achi poetry milay dosron se share kar leta hoon

Posted on 10/5/2004 6:59:37 PM


Posted on 10/5/2004 7:01:53 PM

that is good

Posted on 10/7/2004 6:22:59 AM

can i share the poetry i like
oki iam gonnna paste it:


farz karo hum ahlay wafa hoon,farz karo dewanay hoon
farz karo yeh dono baatain jhooti hoon afsanay hoon,
farz karo yeh ji ki bipta g say jore sunai ho
farz karo abhi aur ho itni adhi hum nay chupai ho
farz karo tumhain khush karnay kay dhoonday hum nay bahanay hoon
farz karo yeh nain tumharay sach much kay mekhanay hoon,farz karo yeh rog ho jhoota,jhoooti preet hamari ho
farzo karo iss preet kay rog main sans bhi hum pay bhaari ho
farz karo yeh jog ba jog ka hum nay dhong rachaya ho
farz karo bas yehi haqeeqat baqi sab kuch maya ho

Posted on 10/7/2004 6:28:13 AM

AOA.........Mephistopheles i was thinking that u r funky Bee but u r Poetic too

its awsome one!

i like it



take care
Chao

Posted on 10/7/2004 10:53:19 AM

science is for those woh learn n poetry is for those who understand

Posted on 10/8/2004 6:32:34 AM

yeah u r saying rite

Posted on 10/8/2004 5:37:29 PM