sab dramay hain...
naam change karnay sai kya ho ga????
pehlay Pakhtonistan ki tajviz thi
ab afghania ki...
mera colleague NWFP sai belong kartay hain
un ki bhi yahi rae hai
keh naam change karnay sai kuch hasil nahi ho ga
na ilaqa taraqi karay ga
na hi logon ki soch badlay gi...
First baluchistan doesent belong to Afghanistan.
Second if name change kerna chahtey hein then why not.
pakhtoonkhwa sahi hey Serhed key liey.
Balushistan to balochion ki zameen hey is liey uska naam theek hey.
Bat yey hey key Provinces mein unity honi chahiey. Punjab sey har kissi ko shikwey hein wo khatm honey chahiey.
Autonomy sab key liey theek hey. Lekin uss sey b ziada farak nai aega.
brother name change karnay mai harj koi nahi...
lekin yeh views rakhna keh sari taraqi hi name change karnay sai ho gi
aur abhi tak jo kuch bhi ziadti ho rahi hai woh name theek na honay ki wajah sai ho rahi hai
totally wrong....
jo log name change karna chahtay hain... woh isi base per karna chahtay hain...
Assalam O Alaikum
Yaa right
yeh kaafi purana topic hain
yeh un dino ki baat hain jab Pakistan utni Mushkilaat main na tha Jitna kay ab Hain.
Mr.Badshah I think ab yeh baat proove karnay ka koi faida ya Reason nahi hoga k yeh Afghanistan ka hissa hain ya nahi.
Coz abhi halaat aisay nahi kay Hum is baat pe fakhar karay k I am an Afghan or pakistani or Pathan.
We Ummah have to be united ...!