Logo

TUjhe Mananey Ka Kaisa Kamaal Rakte Hain

Tere Galle Mein Jo Bahoon Ko Dhaal Rakte Hain
TUjhe Mananey Ka Kaisa Kamaal Rakte Hain

TUjhe Khabar Hai Tujhe Soochne Ki Khatir Hum
Buhat Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakte Hain

Koi Bhi Faisla Hum Sooch Kar Nahi Karte
Tumhare Naam Ka Sikhah Uchaal Rakte Hain

Tumhare Baad Yeh Aadat Sii HOgai Apni
Bikhartey Sookhte Pathe Sambhaal Rakte Hain

Khushi Sii Milti Hai Khud Ko Aziyatein De Kar
Soo Jan Bhooj Ke Dil Ko Nidhaal Rakte Hain

Kabhi Kabhi Woh Mujhe Hans Ke Dekh Laite Hain
Kabhi Kabhi Mera Behadh Khayaal Rakte Hain

Tumhare Hijhar Mein Yeh Haal Hogaya Apna
Kisi Ka Khat Ho Usse Bhi Sambhaal Rakte Hain

Khushi Mile Toh Tere Baad Khush Nahi Hote
Hum Apni Ankh Mein Har Dum Malaal Rakte Hain

Zamane Bar Se Baachah Kar Woh Apne Anchal Mein
Mere Wajood Ke Tukkre Sambhaal Rakte Hain

Kuch Iss Liye Bhi Toh Be haal Hogaye Hum Log
Tumhari Yaad Ka Behadh Khayaal Rakte Hain


Posted on 6/20/2006 8:18:18 PM

tujhe khabar hai tujhe sochne ki khatir hum
bohot se kaam mukaddar pe taal rakhte hein

teri yaad ka behad khyal rakhte hein
sachiii

Posted on 6/21/2006 11:54:12 AM

TUjhe Khabar Hai Tujhe Soochne Ki Khatir Hum
Buhat Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakte Hain

Koi Bhi Faisla Hum Sooch Kar Nahi Karte
Tumhare Naam Ka Sikhah Uchaal Rakte Hain


ye wasi ki hey ya kisi aor ki...?

Posted on 6/21/2006 12:24:19 PM

pata naee

Posted on 6/21/2006 7:55:02 PM

nice

Posted on 6/21/2006 7:58:15 PM

kisi ko pata ho to mujhe zaroor bataye k ye kis ki hey...?

Posted on 6/21/2006 8:17:55 PM


Posted on 6/22/2006 2:39:08 PM

poet..?

Posted on 6/22/2006 10:13:53 PM

Tumharay Naam ka sikka uchaal rakhtay hainn

Posted on 6/23/2006 10:31:16 PM