Logo

JAGJIT’S GHAZALSS

ye dolat bhi lay lo
ye shohrat bhi lay lo
bhaly chen lo mujhsy ye zindagani
magar mujhko lota do wo bachpan ka sawan
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani.
ye dolat bhi lay lo ye shohrat bhi lay lo

Posted on 9/1/2006 1:19:51 PM

TERA CHEHRA KITNA SUHANA LAGTA HAI
TERAY AGAY CHAND PURANA LAGTA HAI


Posted on 9/1/2006 1:20:44 PM

ADAMI ADAMI KO KIA DEGA
JO BHI DEGA BUSS KHUDA DEGA

Posted on 9/1/2006 1:21:36 PM

BARI KHOOBSORAT HAIN ANKHEN TUMHARI
AGAR HO INAYAT AYE JANE MOHBAT
BANA DIYE INKO KISMAT HAMARI
BARI KHOBSOORAT HAIN ANKHEN TUMHARI

Posted on 9/1/2006 1:23:57 PM

Hothoon se chu lo tum mera geet Amar kerdo
Ban jao meet mere yeh preet Amar kerdo

Na Umer ki Seema ho na janam ka ho bandhan
jab Pyar kare koi to dhekhe kaval man
nayi reet chala ker tum yeh reet Amar kerdo

Aakash ka suna pan mere tanha man main
Payal chankati tum a jao jeevan
saansain deker appni sangeet Amar kerdo
Sangeet Amar kerdo mera geet Amar kerdo

Jag ne cheena mughse mughey jo bhi laga pyara
Sab jeeta kiye mughse main her dam hi haara
tum har ke dil appna meri jeet Amar kerdo

Hoothon se chu lo tum mera geet Amar kerdo
Ban Jao meet mere yeh preet Amar kerdo




Posted on 9/1/2006 2:51:27 PM

Payar ka pahla khat likhnay main wqt to lagta hai
naye parindo ko urnay main wqt to lagta hai
jism ki baat nahi thi unkay dil tak jana thaaa
lambi dooori tah karny main wqt to lagta hai.

Posted on 9/1/2006 7:02:32 PM

nice ghazal

thanks javad dear

Posted on 9/1/2006 7:21:24 PM


Posted on 9/2/2006 6:56:33 AM

Jagjit ki CD pakat ker Tittle na likho...Poori Ghazal likho

Posted on 9/2/2006 9:13:11 AM

veer_zaara:
nice ghazal

thanks javad dear









OYEEE   

Posted on 9/2/2006 10:54:04 AM

new_beau:
Jagjit ki CD pakat ker Tittle na likho...Poori Ghazal likho




poori ghazal to ati nahii...
jitny yaad hai wo likh rha hon


tumhi koi poori ghazal likh do

Posted on 9/2/2006 10:55:45 AM

hosh walon ko khabar kia bekhudi kia chez hai
ishq kijye phir samjhiye zindagi kia chez hai
hum labo say kah na payee unsay hal e dil kabhi
aur wo samjhy nahi ye khamoshi kia chez hai

Posted on 9/2/2006 10:58:11 AM

javad:
hosh walon ko khabar kia bekhudi kia chez hai
ishq kijye phir samjhiye zindagi kia chez hai
hum labo say kah na payee unsay hal e dil kabhi
aur wo samjhy nahi ye khamoshi kia chez hai

This Gazal is from movie Sarfarosh, starring AAmir Khan. This movie also is very nice.
Aur is Gazal ka to kahna hi kya...?

Posted on 9/2/2006 12:56:56 PM


Posted on 9/4/2006 4:23:04 PM

Tumko dhekha to yeh khayal Aya
Zindagi Dhoop tum ghana Saya

Ajj phir dil ne ik tamana ki
Ajj phir dil ko humne Samghaya
Zindagi Dhoop tum ghana Saya

Tum chale jao gai to sochain gai
Humne Kiya Khoya Humne kiya Paya
Zindagi Dhoop Tum Ghana Saya

Hum Jisse gungana nahin sakte
Waqt ne Aisa Geet kjun Gaya
Zindagi Dhoop tum ghana Saaya

Tumko dhekha to yeh khayal Aya
Zindagi dhoop tum ghana Saaya



Posted on 9/4/2006 4:49:53 PM

i love ghazalssss

Posted on 9/4/2006 4:51:35 PM

me too

Us Mod se Shuroon Karain Phir Yeh Zindagi
Her Shai Jahan haseen thi hum tum thai Ajnabee

Leker chale thai hum jinhain janat ke khawab thai
Phuloon ke khawab thai woh mohabbet ke khawab thai
Leekin Kahan hai in main woh pehli si dilkashi
Us Mod se shuroon karain phir yeh zindagi

Rehte thai hum haseen khayalon ki bheer main
uljhe hue hain ajj sawaloon ki bheer main
Ane lagi hain yaad woh fursat ki her gharee
Us Mod se shuroon karain phir yeh zindagi
her shai jahan haseen thi hum tum thai Ajnabee

Shayed yeh waqat humse koi chal chal gea
Rishta wafa ka aur hi rangon main dhal gea
Ashkon ki chandni se to behter woh dhoop thi
Us Mod se shuroon karain Phir yeh zindagi
Her Shai Jahan haseen thi hum tum thai Ajnabee










Posted on 9/4/2006 5:04:06 PM

bohat achiii hai kiran,,

Posted on 9/5/2006 3:20:33 PM

Teray anay ki jab khabar mahkay
ye zameen mahky ye shajar mahky
raat bhar sochta raha unko
zehn o dil meray raat bhar mahky

Posted on 9/5/2006 3:26:27 PM

Woh Nahin Mila to Malal kiya
Jo Guzer gea so Guzer gea
Usse Yaad Kerke Na Dil Dhukha
Jo Guzer gea so Guzer gea

Na Gila kia na Khafa hue
Yunhi Raste main Juda hue
Na tu Bewafaa na main Bewafaa
Jo Guzer gea so Guzer gea

Usse Yaad kerke Na Dil Dhukha
Jo Guzer gea so Guzer gea

Tujhey Aitbar o Yakeen nahin
Nahin dunya itni buri nahin
Na Malal ker mere Saath A
Jo Guzer gea so Guzer gea

Usse Yaad kerke Na Dil Dhukha
Jo Guzer gea so Guzer gea

Woh Wafaeen thin ke Jafaeen thin
Yeh na soch kiski khataeen thin
Woh tera hai usko gale laga
Jo guzer gea so Guzer gea

Woh nahin mila to malal kiya
jo guzer so guzer gea
Usse Yaad kerke Na Dil Dhukha
Jo Guzer gea so Guzer gea





Posted on 9/5/2006 8:47:12 PM


Posted on 9/6/2006 6:40:58 PM

Abb app bhi kuch likh do javad ke main hi likhti jaoon


Chupke chupke raat din Ansoon bahana yaad hai
hum ko abb tak ashiqui ka woh zamana yaad hai

tujhse kuch milte hi woh bebak ho jana mera
aur tera danton main woh ungli dabana yaad hai

khinch laina woh mera parde ka kona dabatan
aur dupate se tera mun chupana yaad hai

dupeher ki dhoop main mere bulane ke liye
woh tera khote pe nanage paoon ana yaad hai

Chupke chupke raat din Ansoon bahana yaad hai
hum ko abb tak ashiqui ka woh zamana yaad hai




Posted on 9/6/2006 8:04:37 PM

javad:
veer_zaara:
nice ghazal

thanks javad dear









OYEEE   




dhradia na aapne humyee

Posted on 9/6/2006 8:49:40 PM

arayy naiii yaaaaaaaaaaaar.. hum kesay draingy apko.
app to hamari,,,,....

Posted on 9/9/2006 1:00:43 PM

WO KHAT K PURZAY URA RAHA THA
HAWAON KA RUKH DIKHA RAHA THA

Posted on 9/9/2006 1:04:47 PM

Nice choice Kiran ji,
Javad keep it up.

Posted on 9/9/2006 2:46:38 PM

ghar say niklay thay hoslaa kar k
lot aye khuda khuda kar kar kay
ghar say niklay thay hoslaa kar k..

Posted on 9/13/2006 11:29:59 AM