Logo

zindagi ki khuwahish KAASH

yeh shayari kissi ki bewafayee ke baad likhi gayi thi
ummed karta hoo aap sub ko meri yeh shayari mera yeh pyaar acha lagay



kya karoon yeh zindagi ajeeb hai
bus do pal kee khushi hai

har pal tum yaad aati ho
mujhe ratoon ko satati ho

kash tum meray paas hoti
baaki ko chor ke mujhe tum pyar karti

par kya karoon
woh do pal khushi ke guzar gaye
ghum ke mausam aab aagaye

ab jab bhi teri tasweer meray samne aati hai
meray aankhon se teri yaad ashk ki tarha behti hai

dil bhi nahi manta ke kissi aur ko chahoon
tumhe chor ke mein kissi aur ko apna kaise banaoo

Kash is duniya mein pyaar naam kee cheez na hoti
mujh jaisi halat kissi deewanay ke na hoti

log kehtay hain keh pyaar buhut khoobsurat hai
mein to kehta hoon keh pyaar dard ka doosra naam hota hai

kash tum meray pyar ko smajhti
kabhi to mujhe apna hamdard samjhti

kash.....................
kash.....................

Posted on 10/30/2006 10:48:27 PM


Posted on 10/30/2006 11:42:05 PM

zindagi kath gayee aapko yaad karte karte
maut bhi na milli maut ki khuwahish karte karte

Posted on 10/31/2006 10:17:18 PM

phir wohi baat

anyways very nice shairi

Posted on 10/31/2006 10:29:07 PM

thnx
shukarguzar hoo uss larki ka

Posted on 10/31/2006 10:44:16 PM

kiya kehney

yeh us species kee khubi hia

Posted on 10/31/2006 10:49:45 PM

kaash yeh khubi iss species mei bhi hoti
muqablay mei maza aata
kaun kis ke saath pehlay bewafayee karta hai
larkiyon ko phir pata chalta keh jab dil tootta hai to kaisa mehsoos hota hai
mujhe usse to abhi bhi pyaar hai isliye uske saath kuch nai karna chahta

Posted on 11/1/2006 7:35:55 PM

yeh duniya tu bhari hoyee hia aisey sachey insaano sey

Posted on 11/2/2006 10:14:10 AM


Posted on 11/2/2006 6:05:44 PM

Fragi aapkay moo mei ghee shakkar :P

Posted on 11/2/2006 8:04:31 PM

wah wah ji kya baat hai ap ke, nice

Posted on 11/13/2006 5:59:47 AM


Posted on 11/15/2006 5:07:42 PM

mujrim paa jee aisa hee hai


waisey Ghum ko bhaga dena hee akal mandi hai

Posted on 11/15/2006 6:13:29 PM

kya fayeda iss gham ko bhaga doonga to thori din ki khushi ke baad ek naya gham dil ko jakar(capture) lega kya pata woh iss gham se bhi zyada ho
bara gham ho isliye mei to yehi behtr samjhta hoo

Posted on 11/16/2006 4:54:12 PM

i laff at my words smtyms

Posted on 6/24/2008 7:57:53 PM

Shaam chirago se saja rakkhi hain..
Shart logo se laga rakkhi hain,

shayad aa jaye koi humse bhi zyada pyasa,
yahi sochkar thodi si bacha rakkhi hain.......




Posted on 9/10/2008 6:51:51 PM

katra katra karke piladay saaki

Posted on 9/12/2008 7:06:04 PM

Mujrim:
yeh shayari kissi ki bewafayee ke baad likhi gayi thi
ummed karta hoo aap sub ko meri yeh shayari mera yeh pyaar acha lagay



kya karoon yeh zindagi ajeeb hai
bus do pal kee khushi hai

har pal tum yaad aati ho
mujhe ratoon ko satati ho

kash tum meray paas hoti
baaki ko chor ke mujhe tum pyar karti

par kya karoon
woh do pal khushi ke guzar gaye
ghum ke mausam aab aagaye

ab jab bhi teri tasweer meray samne aati hai
meray aankhon se teri yaad ashk ki tarha behti hai

dil bhi nahi manta ke kissi aur ko chahoon
tumhe chor ke mein kissi aur ko apna kaise banaoo

Kash is duniya mein pyaar naam kee cheez na hoti
mujh jaisi halat kissi deewanay ke na hoti

log kehtay hain keh pyaar buhut khoobsurat hai
mein to kehta hoon keh pyaar dard ka doosra naam hota hai

kash tum meray pyar ko smajhti
kabhi to mujhe apna hamdard samjhti

kash.....................
kash.....................


Wah wah, bohaat hi khoobsurat shair hai.

Posted on 9/12/2008 7:13:16 PM

thnx alot mystique jee

Posted on 9/12/2008 7:27:50 PM

Assalam O Alaikum

*Really nice dil se...!

Posted on 9/13/2008 8:43:23 AM

thnx alot SUN_SHINE JEE

Posted on 9/14/2008 7:00:11 PM

Mujrim:
katra katra karke piladay saaki


nai nia tarsa tarsa ke nai pilatye aik baar hi p le

Posted on 9/16/2008 9:03:10 PM

katray katray ka maza alag hota hai waise

Posted on 9/17/2008 1:02:41 AM

*Most welcome jee...!

Posted on 9/18/2008 10:02:58 PM


Posted on 9/19/2008 12:17:47 AM