Logo

Gunah-e-Kabeera

(pata nahin is par topic bana hay pahlay ya nahin ..but main bana rahi hon topic)

so my question iz k ...

Gunah e kabeera kon kon say gunahon ko kahtay hain

Kia Gunah e kabeera karnay k bad maafi ki gunjaish rahti hay
matlab maafi to insaan mang lay but kia ALLAH usay maaf kar "sakta" hay
Ya gunah e kabeera ki maafi nahin hay



And agar insan yah janta ho k wo gunah kar raha hay..
but is bat say na-ilm ho k wo gunah e kabeera main say hay ( jo k agar wo janta hota to kabhi na karta )
to kia BAD main touba karnay say usko us gunah ki maafi mil jaey gi?

Posted on 11/22/2006 5:44:09 PM

gunah e kabeera mei sab se bara gunah SHIRK hai
uss k baad ki tarteeb mei grades mei thora fark hai.. for example kuch aur jaga pe adultry is the 7th major sin and lieing is also part of 10 majors sins
the list is quite long by im posting first 20
01. Associating anything with Allah
02. Murder
03. Practising magic
04. Not Praying
05. Not paying Zakat
06. Not fasting on a Day of Ramadan without excuse
07. Not performing Hajj, while being able to do so
08. Disrespect to parents
09. Abandoning relatives
10. Fornication and Adultery
11. Homosexuality (sodomy).
12. Interest (Riba).
13. Wrongfully consuming the property of an orphan.
14. Lying about Allah and His Messenger.
15. Running away from the battlefield.
16. A leader's deceiving his people and being unjust to them.
17. Pride and arrogance.
18. Bearing false witness.
19. Drinking Khamr (wine).
20. Gambling.
21. Slandering chaste women.



maafi harr gunah ki hoti hai sirf SHIRK ki nahi,, but obviously agar koi mushrik sache dil se iman le aae to uss ka pehla shirk maaf hoga
baki ki bhi mafi na mangi jae to mile gi kaise




hmmmmmmmmm... the question KYA MAAFI MIL JATI HAI
who can answer to that ???? NO ONE i guess :)
Allah miyan ka waada hai jo sache dil se maafi mange ga usse mafi di jae gi, par sacha dil kya hota hai
5 min k liye apne kiye pe sharminda ho k aansu bahana aur phir sab bhool jana ??
well I dont know,, maafi kisse mili kisse nahi yeh sirff Allah miyan ko pata hai,, konsi naiki ya konsi ibadat ya konsi maafi kubool hui,,, hum nahi jaan sakte
iss liye kehte hein sacha imaan jiss ka hota hai woh behadddd naik hone k bawajood hamesha andar se larazta rehta hai,, yeh soch kar k kya maloom uss k saare amaal ki hesiyat Khuda ki nazar mei kya hai

one more thing,, gunah ki division kuch logon ne aik aur tarha bhi ki hai
Huqooq ullah adaa na karna aur huqooq ul ibaad ki khilaf warzi karna
its said that Allah miyan apne huqooq adaa na karne ko (except shirk) maaf kar sakte hein kyun k woh uss k aur bande k apas ki mu'amla hai,,, par huqooq ul ibaad ki maafi zyada mushkil hia coz woh shaks tum ko maaf na kre to Allah miyan bhi maaf nahi karein ge, now keep one thing in mind k Allah ki zaar Rehman, Raheem aur Gufoor hai par yeh khoobiyan insanon mie nahi hoti
so we can imagine konse gunah ki maafi muskil hai


hmmm,,, gunah kar raha hai par yeh nahi janta k yeh gunah kabeera hai
cant say anything abt it

but as i said sache dil se maafi mango to maafi mil jati hai

Posted on 11/23/2006 2:39:39 PM

thankkkkkkkzzzzzzzz Ashiii


Interest (Riba)??? tiya matlab hoa is say?


ji wo to i know only ALLAH hi bata saktay hain
but mera matlab wohi tha k kia WADAH hay ALLAH ka abt maafi ...jab bat kabeera gunah ki ho to
..and aap nay jawab day diyay









Posted on 11/23/2006 9:45:51 PM

very nice information ashi

Posted on 11/23/2006 10:26:37 PM

Thanks for such good information Ashii jee

Posted on 11/24/2006 9:19:11 AM

yar iss list k ilawa baki kafi batein mera personal opinion hai (simple logic)
so u better ask to someone who knows better



cham cham chaammm

Posted on 11/27/2006 1:44:58 AM

ji main janti hon
but yahi to masla hay
pochon to kis say?

itna kuch hay jan.nay ko..but koi milta hi nahin...
and books read karo to... itni mushkil urdu hoti hay
kuch samajh main hi nahin ata.

and yahan topics har bat k liyay bi nahin bana sakti
coz phir diff firqon...khyalat ki wajah say maslay kharhay ho jatay hain.


Posted on 11/28/2006 11:40:41 PM

>Aasera<:
thankkkkkkkzzzzzzzz Ashiii


Interest (Riba)??? tiya matlab hoa is say?





SOOD

Posted on 11/28/2006 11:47:19 PM

Gunahh kabira bohat say hain jinhay hum sahi say janty tak nai..
aur jis kaam ka hamen pata ho k gunnah hai aur hum phir karen to wo bhi gunnah kabira ki range main ajta hai.

books hain unhain read karo.. meray pas to ziada information nai kion k hum muslims k zawal ki waja buss ye apnay deen say doori hai.


Aur Allah maaaf kanry wala hai.. Wo benayaz hai. Jonsa gunnah wo maaf karna chhahye kar sakta hai.. bus maaf karwany wali koshish honi chaye..

Gunnah kabira ki mafi nahi jismain sab say barh kar Shirk.. hai.. lekin Sachy dil say mangi hoi mafi.. aur uss kaam say toba... gunnah maaf karwa deti hai.. insan ko yaqeen hona chaye.

Baki Allah Reham karny wala hai.

Posted on 11/30/2006 10:26:10 AM

hmm yaqeen to hay :)

and books read karnay ka to mainay uper bataya hay
awal to sahi samajh nahin ata
dusray un ko parh kar jo questions mind main atay hain phir un ka jawab daina wala nahin milta.


Riba... SOOD ahan
is k barey main bi kuch questions hain mere mind main
wo alag topic main pochti hon


Posted on 12/5/2006 9:59:51 PM

very good tipc Mashallah and thanks for info

Posted on 12/5/2006 10:42:50 PM