new_beau:
Babri Mosque India
Q: Kiya iss Masjid ko Shaheed kernay say Koyee fayeda hua...?
Q: Jis wajah say yeh shaheed ki gayee, Kya issay Shaheed kernay waalonn nay woh haasil ker liya?
Q: Kya Raam Janam Bhoomi, iss jaga per honay ka koi Saboor Mila aaj tek?
Q: RIOTS mainn aaj tek jitnay log meray unn koi hisaab hay?
Q: Syaasat danonn ki Siyaasat kahan tek ponhchi aur ab woh iss baaray mainn kya kehtay hainn?
Nice Topic N.B.
Mujhe lagta hei ki main is topic par jyada acchi tarah se remark kar sakta hoon kyon ki mei ek Indian Hindu Hoon. Is saare masale par mere personal remarks hein...
Q1. India mein Hinduon aur Muslims ke beech ki khaai aur barr gai. Phaida sirf Political Parti ko hua.
Q2. Kahte hein ki "koi bhi kisi ko thorre waqt ke liye bewkoof bana sakta hei jyadaa waqt tak nahi." Thorre waqt ke liye ye party power mein aa gai thi lekin ab unke haal vapas se kharaab ho gae hein.
Q3. yah abhi tak disputed issue hei. Cannot say anything. Par mere personal views hei ki is baat se koi fark nahin parrta ki vahan par Ram Janm-Bhoomi hei ki nahin. Ye savaal laakhon logon ki jindgi se, unke aman-chain se barrkar nahin ho sakta. Mere khayal se ye agar proove bhi ho jae ki vahan par Ram-J-Bhoomi hei tab bhi
ye jo kadam uthaya gaya tha (mousque ko torrne ka) sarasar galat tha. usase behtar tha ki Ram aur Rahim ko sath kar diya jata. Yane Hindu aur Muslim dono aakar vahan par saath prayer karte aur poori duniya ke samne bhaichaare ki ek misaal kayam karte.
Q4 and 5. Siyasatdaano ko aaj bhi agar is issue ko barrkane mein fayada dikhega to vo aaj bhi logon ki jaan ki, aapsi aman-chain ki parvah na karke is issue ko use kar sakte hei. I hate politics