Logo

-... Nikah -.- Talaq , Kholah ...-

Talaq and Kholah main kia farq hay

kia kholah lainay wali ko bi unta hi bura kaha gaya hay islam main jitna Talaq dainay waley ko


-----------

Nikah/shadi k liyay islam main MARZI pochnay/ honay ko zarori kaha gaya hay

ab qestion yah hay k...
Marzi kia hay
3 bar zuban say "QABOOL hay" bolna kaafi hay kiya ...jabkay dil say insan RAZI na ho

and agar aisa karnay k bad bi ( i mean after nikah )
wo shaks Talaq ya Kholah chahay ( coz wo dilsay razi nahin tha/thi...
but kisi majbori ki binah par nikah/shadi kar li )
to kia isko bi BOHAT bura samjha jaey ga islam main

ya wo person sari life kisi aisay insan k sath guzar day jisko wo pasand nahin karta/karti
( sirf is liyay k islam main talaq ko bura samjha gaya hay )...
kia sahi hay






Posted on 12/13/2006 9:39:56 PM

talaaq mard dayta hai ager woh mazed shadi ko cont nahin karna chata or same isitarahn khula ka haq orat ko hai
ager koi sahi reason ho to khula or talaq daynay ya laynay walay ko bora nahin kaha geyia lakin ager beghair kisi reason kay hai to phir bora kaha geyia hai
marzi ka matlab hai kay larki say shadi say pehlay pochna kay woh is shadi say razi hai ya nahin sir f3 dafa aqrar karnay ko marzi nahin kehtay
islam main to is bat ki bhi ijazat hai kay ager koi orat samghti hai kay woh is shadi ko cont nahin kars akti to woh khula lay sakti hai yeh haq islam nay hi khuwateen ko deyia hai or talaq/khula halal hai lakin yeh halal chezon main wahid cheez hai jisay upewr wala pasend nahin karta lakin yeh halal hai isliay jayez hai lakin ager sahi reason ho to
sari bat ka yehg mutlab hai ager koi larki/larka shadi kar laytay hain or woh samghtay hain kay woh is shadi ko mazeed cont nahin kar saktay sahi reason ki wajahs ay to woh talak/khula lay sakta ya sakti hai or yeh islam main halal hai to usay bora nahin samgha ja sakta yeh to hamari apni society ka kasore hai nahin to islam har aik ka pora khyial rakhta hai

Posted on 12/14/2006 1:20:30 AM

well i think mmja ne jawab de diya hai


talak mard deta hai,,
khula aurat leti hai,, iss soorat mei haq meher nahi milta usse
sirf itna difference hai shayad

Islam mei talak dena ya Khula lena bura nahi hai,, yeh aik haq hai jisse ja'iz tareeke se istemal karna chaiye
i once posted abt "jaiz" reasons of talak/khula if u can find and read it,, woh kafi acha article tha

nikah/shadi k liye marzi puchna zaroori hai,, wot do u think 3 baar kubool kehne ka kya matlab hai ?? yeh sirf formality nahi hai aik tareeka hai jo hamare han sirf rasm ban k reh gaya hai

hmm,, zuban se kaha par dil se razi nahi the
welll nikah aur talaak har haal mei ho jate hein chahe dil aur dimag saath dein ya nahi... u must have heard loads of time "gusse mei talak di dene ka irada nahi tha" par talak to ho jati hai, i guess pyar se to koi nahi deta hehe
same with nikah,, ap ka agar dil nahi hai to say NO, its ur right... agar 3 baar han kar do ge to nikah ho gaya



yeh majboooriyannnnnnn uffffffffffff
i wont say anything abt it,, try to find out my topic ab mujhe title bhi yaad nahi aa raha uss ka,, it ll help ya

hmm,, waise iss liye me kehti hu k jhoot bande ko phansa deta hai,, upper dil se aik baar han karo ge to saarii umer jhoot bolna pare ga

Posted on 12/15/2006 2:54:06 AM

... i must say ashiii. hamari society main to shayad almost majority shaadiyan aise e hoti hain...(i dont know about recent situation.. things may be changing)

But hota ye hey.. In case of grl... k Koi marzi e nahi poochta.. jo parents ne keh diya buss theek ... agar larki bolay gi to badtameez aor gustaakh hogi...So its REALLY "majboori" to accept watever parents are saying...

Jab k mera khayal hey K 3 baar poochne ka maqsad e ye hey k jo insaan k DIL main hey, wo wohi bataye...
But c How many people can DENY this jab shadi ho rahi ho
?

And behna... Aik hadees hey shayad.. K Lawful cheezon main Allah Ta'la k nazdeek sab se na-pasandeeda cheez TALAQ hey. lekin baharhaal Allah Ta'ala ne insaan ko options to diye hain...

Posted on 12/15/2006 12:52:18 PM

nikah k time per poochna to aik formality he.
asal main to rishta kerne se pehle marzi poochi jani chahiay,yehi sahi tareeka bhi he.
holy prophet s.a.w.s ne bhi apni daughter fatima se rishta tay kerne se pehle poocha tha.
albata,khamoshi means razamandi...tacit consent
ager ikhtilaaf ho to khamosh nahin rehna chahiay

Posted on 12/15/2006 5:25:00 PM

daktar
i understand wot u r saying,, majboori yehi hoti hai
par aisa hai to phir talak ya khula ka kya matlab hai
parents ki marzi pe sari zindagi guzar do chup kar k
simple


id prefer ppl calling me badtameez or gustakh than "badnaseeeeb or bechari"





yeh bhi sahi hai k khamoshi razamandi hoti hai,, ikhtalaf hai to mu se bolo
warna chup kar k "farmabardaar shaareeeef" larki ki tarha hoont si lijiye
hehheheheee... haaaaae farmabardaaar larki

Posted on 12/16/2006 3:57:57 PM

i agree wid nikama k rishta decide kartey hoye larkee sey us kee raza mandi poch lenee chaiyee na k eain function k mid mein woh na karey .. ager us ko pasand nahi tu us ko apney aap ko pehlay express kar lena chaiyee

Posted on 12/17/2006 4:43:10 PM

gov says it is working over a new women protection bill that will allow a woman to exercise the right to divorce herself,if that happens it will be certainly a great step forward in women lib. movement in pakistan.
dekho kya hota he

Posted on 12/17/2006 5:33:35 PM

what is this Nikamma.. i dont understand....

Posted on 12/17/2006 8:23:22 PM

asal main jab family laws amend kiay gay thay ti yeh cheez bhi nikah form main include ki gai thi jis ko aurat ka haq-e-talaq kehte hain,i dont remember k is ko kya kehte hain but its an option that is offered to the girl in theory only,practically no one even knows that such option exists.in new law i have heard that they are going to make it a compulsory condition in nikah form,that will enable a woman to exercise her right to divorce without having to appeal to a family court.

Posted on 12/18/2006 1:03:30 PM

Hmmmmm ... ye to main ne bhi suna hey... K nikah form main Aurat ko Talaq ka haq dene ki option hoti hey Koi, but mostly logon ko is k baray main nahi pata..

Mujhe is silsilay main koi zyada knowledge nahi hey, Lekin jab se ye Women Protection Bill aaya hey, is pe comments parh k khayal aata hey k pata hona chhaiye..

Hadood Ordinance wese bhi hamari Forensic Medicine main included tha...

Posted on 12/18/2006 10:19:10 PM

time ki kammi ki wajah say main sab baton k jawab nahin day sakti ( filhal )

but aik bat jo main chahti hon k aap sab dehan main lay kar topic discuss karen
wo yah hay k MAINAY SIRF AURAT KI marzi ki bat nahin ki...
MARDON k sath bi aisa hota hay... jabkay jis moashray main ham log jeetay hain... wahan MARDON ki itni hakumat hay...
phir bi agar unko prb a sakti hay...
to aisay main girl apni marzi kar k kahan tak "sakon" say life guzar sakti hay?

mana apni marzi say shadi kar bi laiti hay to... sari life tanay sun.nay ko miltay hain..
mana tanay bi bardasht kar liyay to... uski agar aulad ho..and beti ho to... kal ko beti ko bi sun.nay ko milta hay k... AISI maan ki beti hay " maan jaisi hi hogi" etc



And aik aur masla yah hay k hamarey haan... AURAT k inkar ko bohat uchala jata hay...
jabkay MARD k inkar ko na honay k barabar liya jata hay.

Larhkon say pocha jata hay BOLO KIS SAY SHADI KARO GEY?
but yah question girls say kam pocha jata hay...

balkay JIS LARHKAY SAY pocha jata hay...and wo kisi larhki ka naam laita hay to
Us girl ko bhat kuch sun.na parhta hay k FALAN larhkay nay tum say shadi ki khwahish kion ki? ( chahay girl usko janti hi na ho )





Posted on 12/20/2006 4:34:55 AM

Behna,

ye to SOCIETY TRENDS AND TRADITIONS hain.
is pe kya comment kiya jaye.
As u said, k larki k inkaar ko nishana banaya jata hey, etc etc

ye sab ho raha hey yahan, Log zindagi guzaar rahay hain isi tarah.

Dekho, aik simple c baat hey. Agar sab kuch ISLAM k according hone lagay to konsa masla reh jaye ga yahan?
definitly koi bhi nahi.....

jab tak society main awareness nahi aati, ya government achay steps nahi leti, aise e chalta jaye ga ye sab...

Posted on 12/23/2006 11:53:55 AM

daktar is right
par iss sab ka aik ilaj hai hamare paas
agar aap k apne ghar ya family mei koi shaks kissi larki k baare mei ulti baat kahe to wahin uss ki aisi ki taisi kar do

agar buzurg hon to tameez k saath
.............

agar jaane walon mei koi aisi baat aap k samne ho to tell them that u dont wanna listen or discuss such silly things

ppl will call ya,, badtameez, nafarman, zuban chalane waali, maghroor
but beleive me u ll b happy after that



ps : dont tell anyone k aise mashware aap ko jb se milte hein warna pc utha k taale mei rakh diya jae ga

Posted on 12/23/2006 9:34:16 PM

lol Ashi


Sami i know iska religion say koi taluk nahin
but mainay Ashi ki bat ka reply diya tha k...

APNI MARZI karna KION mushkil hay, khas tor par girls k liyay.


Posted on 12/23/2006 10:08:17 PM

yes ashi...

V can do things atleast at individual level..
although kisi hadd tak mushkil hey... lekin baharhaal, ye kiya ja sakta hey....

Posted on 12/25/2006 12:25:21 AM