first of all main apko yeh bata don in main say aik waqeyia meray samnay huwa or aik meray dost kay
lahore ke aik masjid main jumah kay waqt molve sahib nay kaha kay hamayn masjid kay liay kuch pesay chaye hain sab hazrat madad karayn logoon ko pehlays ay nahin pata tha isliay thore se money kam ho gaye to molve sahib nay farmayia jab tak ap loog pesay nahin dayngay main jumah nahin parhayionga phir logoon nay kahin na kahin say pesay poray kar diay or molve sahib nay jumah parhayia or bad main phir farmayia kay next time jis nay jumah parna hai woh 100 rupee lay kay aye nahin to usko masjid main dakhil nahin honay deytia jayega.
lahore ke aik or masjid kay molve jumah say pehlay farmatay hain kay is jumah ko hamara itnay pesay ka target hai jab tak woh pora nahin hoga masjid main jumah nahin hoga.
yeh konsa tarika hai yeh molwi sab itne batein karte hein lekin apne taraf nahi dekhte..yahan mere ghar ke paas bhi aik masjid hai wohan ke molwi pese liye begeer jumma hi nahi parhate :S
bus kyia kar saktay hain inko daykh kay he to logoon nay inkay khalaf bolna shorow kar deyia hai or phir kehtay hain kay hamayn badnam keyia ja raha hai
badnam hotay hain woh jo ahlay nam hotay hain
unka keyia jinkay namo pay nishaan hotay hain
aik tu kasam se yar masjid jao tu koi kaam ki baat nahi batate politicians ke barey mein shuru ho jate hein ke yeh asa hai wo asa hai tu phir kon ahe ga asey :S
yeh hamari beri badqismati he.
main aik dafa yahan aik masjid main gaya jahan per arbi khutbe k doran chanda akatha kerna shroo ker dia gaya.
ab hum logon ne to yehi perha suna tha k jab khutba start ho jay to sab kaam chor k sirf khutba suna jay,mager yahan ab baat yeh he k hum log is cheez ko kis tarah rouk sakte hain,i think her mosque ki aik intizami commitee hoti he,jo is ko look after kerti he,we must talk to them about any such matter
bus kyia kars aktay hain lakin molve hazrat ka bhe aik openion hai woh bhe ana zarore hai
woh kehtay hain kay hamayn itnay pesay nahin miltay kay hum apna guzara kar sakay or hamayn madarson or masajid ko bhe chalana parta hai jis kay liay hamayn pesay chaye hotay hain unke bat bhe apne jagha theek hai lakin meray khyila main unka tarika ghalt hai jiske wajah say yeh masla hotsa hai nahin to islaam kay nam pay loogon kay hath or dil aj bhe kholay hain.
chanda dene per to kisi ko aitraaz nahin,lekin jo manner ikhtiar kia jata he us per aitraaz he.ab yeh kehna k 100 roope le ker aao verna juma nahin perhne dia jay ga.
yeh kahan ka islam he
haan,hamra masla hi yehi he we need professional mullahs to lead us in the prayers.in some other muslim countries,at the time of prayer,any senior citizen would lead the prayer and the whole community takes care of the mosques.
kash yahan bhi aisa ho sakta
aisaa molvion ko to road k bich mein baand kar kokhtka kar dana chahaiya
kohkta hota hai yaha n saudi arabia mein murder rapist or drugs ko sale karan walla ko eak takht apiece of wood per litatae hain or uski gurdan par axe mar kar 2 tukra kar data hain unlike yeh jumma ki namaz ka baad hota hai they dam care gender and religion