hi guys aaj me bari sad sad
yaar im really serious
aaj mai aftaar ki tayari karne k liye bhai k saath bahar gayi drinks lene.......qareebi shops band thi to socha kahi or se le aaye or jaha hum lene gaye waha hum ne 6-7 bachho ka ek group dekha ghareeb bache the lakin is se zyada dukh ki baat ye thi k un mai se har koi nasha kar raha tha koi songhne waala to koi injection ka koi charas ka to koi khud ko blade se zakhmi kar raha tha............. aate hi maine apne father ka wo article nikala jo unho ne street children per likha tha jis se mujhe pata chala k serf karachi ki sarrko pe aise 15000 bache hai jo drug adicts hai
lahore mai ye number 5000 peshawar mai 2500 or quetta mai taqreeban 800 bache
kab tak ye mushi or shareef apni siyaasat karenge?????????kab tak benazir or qazi husain mai ye aurat iqtadaar ki haqdaar hai ya nahi,,is ki larai chalti rahegi ??????????kabhi kisi ne in bacho ki taraf dihaan nahi do jo humara future hai inho ne hi to aage is mulk ko sambhalna hai lakin humari nayi nasal to....................
YA ALLAH AAJ MAI AAP SE DIL SE KUCH MAANGTI HOO OR WO YE K YAA TO MUJHE ITNI TOFEEQ OR QOOUAT ATA KAR K MAI IN BACHO K LIYE KUCH KAR SAKOO YA PHIR HUM SAB JAWANO MAI AHSAAS PEDA KAR K HUM SAB IN K LIYE KUCH KARE
azam to acha hay aap ka
but jab usa jaisay itnay power walay, rich mulq main kids aisa hi nasha kartay hain to hamari syasat to hay hi gandi, so koi umeed nahin hay.
and dusri bat aap in ki help kaisay karo gi? agar ilaaj kay liyay paisa do gi to wo nasha main urha dain gey.
agar ilaj karwana chaho gi to i dont think so kay wo aap ki bat manain, and mano agar maan bi gaey, to theek honay kay bad kia???
unko paisa chahiyay, studies kay liyay bi,and khana khanay kay liyay bi, to kia kia kuch karo gi aap?
kisi cheez ka irada kia jaiy tu usay poora bhe kia ja sakta hai .. aj kal tu phir bhe bohat se foundations start ho chuki hein.. jo k kaafi gareeb bachon ki help ker rahee hein ..
app he ki tarhaan aik larki nay apnay ghar mein gareeb bachon ko parahana shoro kia tha aur aj masAllah pori academy hai aur wo gareeb bachon ko free mein parhati hein .. kafi loog donations bhe daitey hein ..
if u are really touched and feel something for these children then atleast donate something for these foundations..
let the jbians know as well if u have any plans to open an organisation or something.
remember one thing its not necessary that u have to start with a big organization or something, u can start with some little amount and with the donations, help and support either from ur family or frnds u can convert to a big organization..
i once heard abt these children
sirf ilm aur paisa,, iss k ilawa koi ilaj nahi hai
jin salon k paas ilm aur paisa donon hain vo bhi to yehi kuch kerte phir rahay hain.
asal main as a society hum logon ki priorities main hamare bache,hamara mahoul,hamara culture yeh sab kuch bohat peechay reh gaya he.ab hamari priority sirf paisa he jab tak as a nation hum log khud ko theek nahin kerte,individual efforts se kuch nahin hone wala,but i dont mean that we stop helping others on our own if the whole society isnt doing anything.
we must play our part.
best of luck mad girl,we need another million or more mad ppl like u