i just wonder k loog aisa kyun kertay hein.. jaab aik naik kaam kernay he lagay hein tu apni niyat bhe durst ker lein, khud ka he bhala ho ga akhir mein..
niyyat ka drust kerna hi to asal kaam he,achi niyyat k sath chote se chota amal bhi qabool ho jay ga,aur buri niyyat bare se bare amal ko kharaab ker deti he.
i think hum sab main riyakari kisi na kisi derje main paai jati he,yeh hamari fitrat he k hum logon se apni tareef sunna chahte hain.
ALLAH hamain apni niyyat sahi rakhne ki tofeeq ataa fermay aur hum jo bhi amal karain,khalis ALLAH ki raza k liay karain.AAMEEN!