sun_shine:
yaa system kharaab hain
per system kharaab kyun hain?
kyunki Govt ki ghalat policies ki waja say.
Yaa right
Time kay saath theek to ho jayega
aur theek hamain aur aapko karna parayga.
khud ba khud to theek nahi ho jata
guzishta salon main kya behtari aaye hain
kuch nahi
Amn o Amaan ka masla,mehengai, etc yeh sari problems to apni jaga pe hain in main to koi behtari nahi aaye
ok
as a politician aap kya role play kar rahay hain?
theek to humein hi kerna hey. lekin waqt to lagey ga. jo jaha reh ker kuch ker sakta hey kereyga. Lekin hum log kaamchori kertey hein.. humari unity ka masla pera hua hey, is liey key hum abhi nation nahi baney. Islam ney humein ksch daer key liey bilkul unite ker dia tha lekin waqt key sath hum phir badal gaye.
awareness ayi hey media sey , Urban poplation berhi hey, jis ki waja sey wazeh faraq on da election nazar aya. yey media kon laya? khud hi agaya. banking system introduce hua jis ki waja sey capitalism mein tezi ayi and corporate media ney janam lia. ek cheez se doosri cheez hoti jati hey.
Mein Allah or uskey system per believe kerta hoon.
bt im also try to b practical. Apni taraf sey mein Chief justice key haqq mein rally mein gaya, student rallys against emergecy mein b participate kia. Even i try to taech stdnts for free in an NGO based school.
Lekin mera ziada scope hey bureaucracy mein jaa ker change lanay ka. iss liey wsey hi try keroon ga.