Logo

NAAT

last friday ko meri kisi say behas howi k naat parhna manah hai k nahi meine kaha k nahi hai qk naat mein rasool akram salalahoalaihewasalam ki tareef beyan ki jati hai par us ney man k he nahi diya aap log bhi plz is barey mein koi strong point dey saktey ho to plz zaroor bataiye ga.

Posted on 9/17/2008 9:11:29 PM

Yaar naat parhne mein koi qabahat nhi

Posted on 9/17/2008 9:28:39 PM



I think koi MUFTI Sahab hi sahi bata sakte hein!!!


magar mere zaati khiyaal aur naaqis raaye mai iss mai koi harj nahi hai...agar ISLAM ke asooloon ke mutabiq ho tau....





Posted on 9/18/2008 10:01:09 AM

naat mein kio aitraz nahi per us kee wordings mein koi SHIRK walee baat nahi honee chaiyee

Posted on 9/18/2008 2:08:24 PM

ha ji lekin un mohtarma ka khayal hai k naat parhna gunah hia or islam mein mamnoh qarar diya gaya hai jab k meine apni pori life mein aisa nahi suna or jis naat k baad unho ney aitraaz kiya tha woh arabic naat thi or sirf salam he parha ja raha tha us mein.

Posted on 9/18/2008 8:21:28 PM

nai ji
mere khyal main bhi yehi hia ke naat parhnye main koi
prblm nai

n jese fragi bhai ne kaha k shirk wali baat nahi honi
chahye

baki sab theek hai

Posted on 9/18/2008 8:32:48 PM


Naat parhna sahaba karam sai kai maqamat per sabit hai.... Woh bhi Nabi Kareem (SAW) ki hayat-e-mubarka main...

Jis cheez per aitraz uth-ta hai... woh Shirkia kalimat hotay hain... ya phir shirk kay qareeb tar... aisay kalimat / naat sai parhez karna chahiye...

Aaj kal naatain kam milain gi... Istaghasa ziada ho ga... aisi chezon ko avoid karna chahiye...

per hamaray naat khawan hazrat ko kon samjhae...



Posted on 9/19/2008 12:22:38 PM

haan coz shirk kee maafi nai

Posted on 9/19/2008 2:55:58 PM

hmmmmmmm ur right

Posted on 9/19/2008 8:14:32 PM

so we muz take care while selecting/listening naats

Posted on 9/19/2008 11:16:51 PM