Logo

Bairsh ki boond

Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula diya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha diya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN
Aur Mohabbat Ko Zawaal Nahee....!!!!

Posted on 3/6/2009 7:01:57 PM

Intahi umdah. Rapunzel.

Posted on 3/7/2009 3:09:01 AM

main A nahi
main B nahi
main C nahi
main D nahi
........
main oodbalow hoon

Posted on 3/7/2009 5:37:25 AM

olldman:
Intahi umdah. Rapunzel.

Shukrya

Posted on 3/7/2009 4:24:06 PM

oodbalow:
main A nahi
main B nahi
main C nahi
main D nahi
........
main oodbalow hoon

thnx for the info Bhai

Posted on 3/7/2009 4:24:13 PM

Rapunzel:
oodbalow:
main A nahi
main B nahi
main C nahi
main D nahi
........
main oodbalow hoon

thnx for the info Bhai

Bhai word par aa kar main text-blind ho jata hoon

Posted on 3/7/2009 4:26:43 PM

achi bat hai:)

Posted on 3/7/2009 4:36:54 PM

Posted on 3/7/2009 10:19:39 PM

nice rapunzal. very nice

rapunzel, oodbalow bhai pe text-blind ho jaate hain. samjha karo. yeh bare bhai parhna pasand karte hain. ainda bare bhai kehna

Posted on 3/7/2009 10:22:55 PM

shaista:
nice rapunzal. very nice

rapunzel, oodbalow bhai pe text-blind ho jaate hain. samjha karo. yeh bare bhai parhna pasand karte hain. ainda bare bhai kehna

shaista jee aap meri dost ho ya dushman bara bhai par to aankhoon main motiya uter aana hai meri woh bhi kala

Posted on 3/7/2009 10:27:48 PM

oodbalow:
shaista:
nice rapunzal. very nice

rapunzel, oodbalow bhai pe text-blind ho jaate hain. samjha karo. yeh bare bhai parhna pasand karte hain. ainda bare bhai kehna

shaista jee aap meri dost ho ya dushman bara bhai par to aankhoon main motiya uter aana hai meri woh bhi kala

abhi to pata nahin ke doost hoon ya dushmain. lekin khuda na kare ke motiya uttar aaye.
behtar hai phir bhai pe hi guzara karein.

Posted on 3/7/2009 10:29:18 PM

aap ko pata he nahi k dost hain ya dushman confused personality

kia main ney aap ki bhains chiraie? NO
kia aap ney meri bhains churaie? NO
na he is janam aur pichley janam ka udaar hai between us

phir aap dushmani ki koi aik bhi wajah bata do

Posted on 3/7/2009 10:32:23 PM

hmmm, theek hai
but am not a confused personality

is waqt to hum rapunzal ka topic kharaab kar rahe hain.... that's for sure

Posted on 3/7/2009 10:33:58 PM

Rapunzel jee to dost hain hum dono ki coz na koi bhains ka chakar hai na koi udhaar ka masla hai among us

Posted on 3/7/2009 10:39:06 PM

to humara kaunsa udhaar ka chakkar ya bhains ki chori hui hai. bas aise hi keh diya

Posted on 3/7/2009 10:44:49 PM

woh to aik example di thi is liye k aap confused theen na dosti aur dushmani k beech

Posted on 3/7/2009 10:47:45 PM

challein, maan liya.
dushman nahin hain

Posted on 3/7/2009 10:49:33 PM

lakin dost bhi to accept nahi kia abhi tak

Posted on 3/7/2009 11:12:44 PM

jb pe sabhi doost hain. to phir? hum dushman kaise?

Posted on 3/7/2009 11:17:53 PM

yeh he baat aap pehley irshaad farma detien to mujhey apna nanha sa demagh itna na khapana parta

Posted on 3/7/2009 11:39:02 PM

dimaagh ko bhi kabhi kabhi kaam karne ko diya karein.

Posted on 3/8/2009 12:38:13 AM

idher dosti dushmani k chakar main he sara kharch hogaya to pyaar muhabbat k time kia hoga

Posted on 3/8/2009 12:40:53 AM

jab hoga to good luck

ab to kharch hua waapis nahin la sakte. hmmmm. kissi janwar ka magazh kha lo. mazze ka hota hai. shahid aapka dimaagh theek ho jaye

waise we are going too much off topic

Posted on 3/8/2009 12:42:34 AM

kesi dost ho kesey mashwaray deti ho

janwar ka demagh khaa kar agar mujh main janwar wali aqal-o-samajh aa gaie to?? bara masla ho jaie ga qasam se

poetry main kuch bhi off topic nahi hota jab poet khud kisi aik jagah nahi tik-ta kabhi zameen par hota hai to kabhi chand sitaroon par, kabhi tanha hota hai to agley he misray main hajoom main
so poetry main sab kuch jaiez hai
aap idher khana pakaney ki tarkeeb bhi bata sakti ho

Posted on 3/8/2009 12:48:20 AM

Posted on 3/8/2009 6:30:42 PM

thnx Chandni

Posted on 3/24/2009 10:41:06 PM