Logo

CO-EDUCATION

HI ALLZ
CO-EDUCATION HONI CHAHIYE KI NAHIN
AAP KI KIA RAY HAI KIA FAIDA HAI CO-EDUCATION SE AUR KIA NUKSAAN YEH PAKISTAN MAIN HONI CHAHIYE KI NAHI
KYONKAY ISLAM MAIN IJZAT NAHI HAI TO AAP KIA BOLTAY HO?

Posted on 4/23/2004 11:35:16 PM

sab say pahly to welcom on jb

co-education kafi bara masla haiii
abb koi chez bhi bilkul perfect nahi hoti iskay bohat say faiday hain aur nuksaan bhi hain aur haan islam main co education ko mana nahi kia gaa larkion ko pardy ka hukam hai wo parda kar kay kahin bhi parh sakti hain
aur jahan tak meri personal ray hai to co edu say confidance ata hai aur larky parhty hain class main disciplin hota haii
warna jahan sirf boys hoon wahan kay haalat kuch differnt hotay hain aur results par bhi fark parta hai

Posted on 4/24/2004 9:38:38 AM

i think koi nuksaan nahi .... so koi borayee nahi

Posted on 4/24/2004 7:02:06 PM

thanksssssssssssssssssssssss
sir javad & fragi ji
shukar hai aapne answer kiya warna yahan to koi aur hai hi nahin jo baat kar sakay per ab main koi aur topic do gi hi nahin per aap bohat kind ho thanks

Posted on 4/26/2004 4:47:13 AM

aray kia hogayaa baba jitnay marzi topic do
hum hain naa

Posted on 4/26/2004 10:41:23 AM

coo education mein ki burai nahi hai it shud be there.

Posted on 4/26/2004 3:06:53 PM


Posted on 4/26/2004 4:02:51 PM

I don't know Islam's stand on co-education! I doubt that it prohibits it?!?...but newayz i dun see any harm in it...it all depends on how 1 conducts their self...i have alwayz believed that jis ne bigarna hai woh kahi pay bhi ho bigar jaye ga...i was in all girls college b4 and now i m in co-education...and i m in a college which is perhaps the most modern college in pakistan but i dun see any difference...the girls in my pehla wala college use to do everything that the girls here do...so like i have said b4...it all depends on u

Posted on 4/26/2004 4:19:14 PM

yes sf u r very rite

abb ye jb kahan ghaib haii

Posted on 4/26/2004 5:51:56 PM

hi janubabe well em it's a good point. i've never been Pakistan so i don't know how the education system works over there but i do believe that Co-Education is a very good idea because not only do you get to meet people but you can look at life on other peoples point of view. Islam is very clear on it's teachings it's just hypocrites that inturprate the Religion as being sexist or unfair. All muslims do Haji together MARSHALLAH. so why can't we be educated together? MY VIEW....

Posted on 4/26/2004 6:01:40 PM

*janubabe:
thanksssssssssssssssssssssss
sir javad & fragi ji
shukar hai aapne answer kiya warna yahan to koi aur hai hi nahin jo baat kar sakay per ab main koi aur topic do gi hi nahin per aap bohat kind ho thanks




ah ji sab hee kind hai .. jitney marzi topic aap open karien

Posted on 4/26/2004 9:47:02 PM

ji ji javad ji main idher hon
haan yeh baatein aapki sahihai main haram ki baat woh nahi ki jo aap bol rahay hain main pardhay ki baat ki hai kheer haram ki baat ko chorein confidence bhi aata hai ranking ache hoti hai love stories bhi bante hain
per girls kay liye 1 alag uni honi chahiye meray khayal se kyon kay ajjkal kay modern door main bhi koi koi parents aapni ladkiyo ko boys kay saath pharnay ki ijazat nahi dehtay aur han yeh baat bhi sahi hai ki khood sahi hai to sab sahi hai

Posted on 4/26/2004 10:51:15 PM

hmm ye to hai alag uni honi chahye   aur ye to bilkul sahihai kay ye sab appkay apnay ooper depand karta haii


wesay jo girls colgs hotay hain wo kisi say kam nahi hotayy

Posted on 4/27/2004 4:27:25 PM


Posted on 4/27/2004 9:44:12 PM

kia hogya ab koi baat nahi tumhary paas

Posted on 4/30/2004 1:20:48 PM

tumhare pass?
ziyada free ho gaye hai aapto
aap main se tum
baat karti aapko hai disscuss karna aapko hai chup chup ho sab kaam walay topic per kiss ka dimag nahi chalta

Posted on 4/30/2004 11:14:02 PM

*janubabe:
tumhare pass?
ziyada free ho gaye hai aapto
aap main se tum
baat karti aapko hai disscuss karna aapko hai chup chup ho sab kaam walay topic per kiss ka dimag nahi chalta




Posted on 5/1/2004 6:49:06 PM

yar halat dekho na

Posted on 5/1/2004 10:07:47 PM

kis ki halat dekhon tumhari ya javad ki

Posted on 5/2/2004 7:39:30 PM

WELL..I THINK ACCording to islam yeh jaiz nahin hay...
so no comments


Posted on 5/2/2004 7:48:25 PM

WAFA:
WELL..I THINK ACCording to islam yeh jaiz nahin hay...
so no comments




according to islam tu aur bhi bohot se chezein jaiz nahi hein why only coo education?

Posted on 5/2/2004 8:54:06 PM

hmm yehi hamarai behisi hai

Posted on 5/5/2004 4:05:57 PM

HAN ANSWER KARO NA WAFA

Posted on 5/6/2004 2:02:45 AM

wesay appp kafi....... ho

Posted on 5/6/2004 7:10:32 AM

yeh aapki shakal red kyon ho gaye hai aur main kia hon clear bolo
tez hon kai ?

Posted on 5/7/2004 1:07:44 AM

aaaaap ko kia bolon aaap jo
achi baaaaaaat ka bhiii utla jawab deti ho

Posted on 5/7/2004 7:26:33 AM

nhin maine to jawab hi nahi diya
waise mujko seedhi clear baatein ziyada pasand hain

Posted on 5/8/2004 12:06:46 AM

I think it is a must.. zaroori hai, atleast phir load road per chalte hue larkiyan tu nahin dekhaingay lol

Posted on 5/8/2004 12:40:11 AM

islam mein co education ki ijazat sirf gal aur guy k baligh honey tak hai
us k baad nahin
kion k us k baad masail ziada hotey hain
gals k leeay seperate university honee chaheay

Posted on 5/8/2004 5:32:47 AM

charizmatic:
WAFA:
WELL..I THINK ACCording to islam yeh jaiz nahin hay...
so no comments




according to islam tu aur bhi bohot se chezein jaiz nahi hein why only coo education?



main yahan wafa ki jaga par jawab daina chahta hoon



yeh topic co education k barey mein hai
usi k jaiz / najaiz ki baat ho rahi hai
jo dosree cheezein najaiz hain jab aap un k mutaaliq pochein gay
to un k mutaaliq jawab dia jaey ga

Posted on 5/8/2004 5:37:39 AM


Posted on 5/8/2004 7:20:04 AM