Aik Sawal???????

5566 views 146 replies
Reply to Topic
QUEEN VICTORIA

Age: 124
Total Posts: 26285
Points: 0

Location:
Lahore, Pakistan
main nay aaj hi aik movie daikhi hai VEER ZAARA
acchi lagi,,,rona bhi aaya
issi tarha ki aik Pakistani movie bhi daikhi thi kuch arsa pehlay shaid oos ka naam "KHOAY HO TUM KAHAN" ya kuch aur tha shan aur zara sheikh ki...
aisi hi kuch aur movies hain jin main sab ka aik hi moral hota hai"INDO PAK frienship".
in sab main youth ko yeh bataya jata hai k hum aik hain mazhab, sarhad, hakoomat ya politics sab hum ko alag karnay ki koshish kertay hain , hum log kal bhi aik thay aaj bhi aik hain.
aaj kal hum naach ga ker aik doosaray k shows(artists) attend ker k yeh sabit karnay main lagay hain k hum ko alag karna ghalat tha.iss cheez ko hum aman qayam karnay ki koshish kahtay hain.

iss tarha ki movies daikh ker hamesha meray zahan main kuch sawal uthtay hain..............!
1- kya "DO QOUMI NAZRIYA" Sir sayad ahmed khan ki ghalati thi.
2- kya jin logon nay 1940 main Pakistan resolution k pass honay say lay kar 1947 tak struggle ki woh waqt zaya kya?
3- kya 1965 main Pakistan ko bachanay k liye honay wali shadatain bekaar thin?
4- Kya Quid e Azam nay iss din k liye hamain Pakistan diya?



kya koi mujhay yeh bata sakta hai k aaj jo pegham hamian diya ja raha hai hamari manzil woh honi chahiye...kya waqaye hum aik hain ya hamin hona chahiye
Posted 23 Nov 2004

Ashii says
hmmm,,
yarr,, jo bhi kaho
par hakeekat to yeh hai k we share saaamme culture,,


not proud of it at alll,, par aisa hi hai
see,, hamara shadi ka tareeka, or wedding ceremonies
women status in society
peer, fakeer,, mazaar pe beleif
cast system

sab kuch to unn jaisa hai,, sirf aik mazhab hi different hai na,, woh bhi naam ka
to bass,, agar khud ko different samajhna hai to prove it

HUM SAB AIK HEIN
khehkehekheeee..
Posted 25 Nov 2004

Baba 420 says
Posted 25 Nov 2004

Yaar agar dosti hoti hai to is ka yeah matlab to nahin k pakistan khatam ho jaey ga
do kaumi nazarya apni jaga per
quid ki struggle aur qurbaniyan apni jaga
magar present situation main jabkay sari dunya main dushmani ki fiza hai specialy Muslims kay khalaf to yeah behtar ho ga kay dost banay jain
dost bananay say aap kay apney nazriyat ka kaya jaeyga
to dont worry about the situation
Posted 25 Nov 2004

Guest_005 says
Posted 25 Nov 2004

friend_16 says
waisay pakistan is liay bana tha kay hum is main Islamic laws implement karein gay jo kay India main reh ker nahi ker saktay thay .. par afsoos jis kaam kay liay pakistan banaya gia tha .. ab muslamaan wo maqsad he bhool gaiy hein...
Posted 25 Nov 2004

Guest_005 says
hmmm
Posted 25 Nov 2004

THIS MOVIE SUCKS BIG TIME > i wonder when they stop making those stupid love stories of indo pak.

Posted 25 Nov 2004

hudz9 says
MsaeedBarkat said:

Yaar agar dosti hoti hai to is ka yeah matlab to nahin k pakistan khatam ho jaey ga
do kaumi nazarya apni jaga per
quid ki struggle aur qurbaniyan apni jaga
magar present situation main jabkay sari dunya main dushmani ki fiza hai specialy Muslims kay khalaf to yeah behtar ho ga kay dost banay jain
dost bananay say aap kay apney nazriyat ka kaya jaeyga
to dont worry about the situation



u r rite saeed...infact hum indians n pak ek dusre ko aur achi tarah jaane ka chance milsakta haii
Posted 25 Nov 2004

hudz9 says
Queen Victoria said:

thanx 2 u all dear frnds for ur replies
mera maqsad yahan kashmir ya indo pak relation dis cuss nahin karna tha
warna mera yeh topic khlass ho jata

main sirf aap sab say yeh janana chahti thi k aap log kya sochtay
in movies waghaira main Paki hon ya indian ,dosti k liye jo tareeqay samjhaye jatay hain woh aap logonon ki nazaer main kahan tak theek hain
HUDS yahan aik common baat chala rahi hai aap iss ko dil pay na lo
kissi bhi discussion main hamesha hum ager apni zaat ko involve na karain tab hi woh discussion rehti hai warna jhagra shuroo ho jata hai
mujhay to in baton per aitaraz hain jahan aik muslim aur non muslim ko married dikha diya jata hai kya yeh ghalat nahin kya iss say generation ko aik ghalat sabaq nahin diya ja raha?
awam ho ya hakoomat
koi bhi yeh nahin sabit ker sakta k hum logon main koi difference nahin from A 2 Z we r totally different
aap log bachay nahin warna main yahan oos differences ki examples bhipost karti yeh sab to hamain first standard say aakhiri umer tak parhaya samjhaya jata hai k hum logon ki to base hi say farq nazar aata hai...........2 b conitnued.........



hey queeny....me total chillax...maine kuch dil pe nahi liyaa...haan but d way aap sab ne kaha ki India n Pak ek nahi hosakte ...dat waz sumthng real..whtevr leave dis crap! movies humare entertainment ke liye banaye jaate haii...aaise dil pe leke dekha jaye tohh bahut se cheeze aapko achi nahi lagegii...n shaadi waigera...woh toh common sense ki baat haii...hume pata hona chahiye ki humare liye kya acha hai n kya bura...its v who gotta decide...so u chill..dosti aapni jagah n intimate relation apni jagah...
really u r rite N.T.G whn bollywood gonna end dis sh*t romantic movies abt indopak....bechare masooom bacho ke dil-o-demaag pe asar karre
Posted 25 Nov 2004

friend_16 says
the thing is hudz kay we learn alot from this media .. tu jaab ye aisay cheezain deekhain gay .. to they reallly do mean somthing.. loog soochein gay is baray main bhe.. i know entertainment kay liay hota hai .. par hum inhein say bohat kuch ssektay bhe hein..
Posted 25 Nov 2004

Queen Victoria said:

dear baat nafrat ya mohabbat ki nahin main yeh samajhna chahti hoon k yeh jo hamarai MASHARAT,way of living waghaira k hawalay say aik ka nara lagay ja raha hai iss k kya asraat hain



samjha rahi ho aur sawaal bhi poooch rahi ho
Posted 25 Nov 2004

Guest_005 says
Posted 25 Nov 2004

muslim says
gud topic!


well do qomi nazrya ki aik apni ahmiat hey lekin in my humble opinion hum asian muslims itne mazhabi nahin hote
jitna ham pretend karte hein . aur jahan tak shadion
ka taluq hey to islam ahle kitab se ijazat deta hey
anyhow dosti zaror honi chahiey aur achey doston ki tarah rehna chahiey

quaid once said whatever is good is islam dosti achey baat hey so it is islam
Posted 25 Nov 2004

hudz9 says
friend_16 said:

the thing is hudz kay we learn alot from this media .. tu jaab ye aisay cheezain deekhain gay .. to they reallly do mean somthing.. loog soochein gay is baray main bhe.. i know entertainment kay liay hota hai .. par hum inhein say bohat kuch ssektay bhe hein..



haan sis...i agree media se aap 75% sikhte haii...but v dnt hav dat much pea sized brain jisse hume ache bure ko pehchaan nahi sakte..n zyda tor pe media woh show karti hai jo life mein guzar chuka haii...bahut hi kam cheeze hai jo woh imaginary create karte haii..
Posted 25 Nov 2004

hudz9 says
chalo...den main jeena bhi chordeti coz i b'live har din i learn sumthng or d other...acha bhi bura bhi
Posted 25 Nov 2004

Guest_005 says
hmmmmmm
Posted 26 Nov 2004

There is something different in films and reality as well, not only perspective of films relating to lovestories based on indopak freindly relations but also other topics of life
Like you never had seen "Bibi Anjuman dancing in fields in normal life or open fight with police man and a single culprit is killing hundreds of policemen etc.
it all is ficticious
so, if we take these films as light as we take others and accept it as entertainment thinking that it was a try on the part of producer to promot his film taking advantage of present situation of both the countries       i think the basic purpose behind making of these films is not only promotion of mutual relations but also reaping the advantage of public emotion the basic purpose is to earn.
I think so: if someone have opinion over my opinion please mention
Posted 26 Nov 2004

friend_16 says
well i do agree with u .. mostly things don't happens is real .. but the thing is .. kay children n teenagers learns alot from these movies etc.. i remember once my cousin came to my house .. n he tried to jump from our roof to our neighbours' .. it was more than a storey's defference .. shuker hai .. my uncle saw him n saved him on the rite time ... these little incidents shows that our generation is learning alot from media... so instead of showing these action n fiction things .. there must be something reality in it...
Posted 26 Nov 2004

hudz9 says
reality....hmmmmm...can v really digest d reality stuffff? v can tolerate it only 2 sum extent but not alwayz...c'on guyz admitt itt..v all neeed sumthng spicy in life! dnt v?....n saeed g in my opinion u r more dan 100% rite...tussi vadde sweeet hoo
Posted 26 Nov 2004

accha g.......
Posted 27 Nov 2004

hudz9 says
Prince Of Jb said:

accha g.......



kyun kya hua g??
Posted 27 Nov 2004

haan yaar says
kuch nahi hua gggg ,prince ki adat hai gggg
Posted 28 Nov 2004

hudz9 says
Posted 28 Nov 2004

haan yaar says
nice smile lakin hansanay mein kanjoosi
Posted 28 Nov 2004

hudz9 says
ok aap kehte ho toh dil khulke hassenge......howzatt?
Posted 28 Nov 2004

haan yaar says
dil mut khooliya gaaa,warna u ka dhakan gir gayee ga
Posted 28 Nov 2004

haan yaar says
i m sorry ,dil ka dhakan mil gayee ga
Posted 28 Nov 2004

hudz9 says
iska kya matlab ab??
Posted 28 Nov 2004

haan yaar says
yaar prince nay topic set liy kay dil ka hakan kahan hota hai,dhakan mean cap,to tum nay kaha kay il khool ker huns lati hoon tu mein nay kaha kay dil ka hakan mil jayee ga,ok,is it alright
Posted 28 Nov 2004

hudz9 says
haan g woh toh main phele hi samjh gayii
Posted 28 Nov 2004

Reply to Topic