ap ka sher plz sher chain

17596 views 448 replies
Reply to Topic
ONLYARBAB

Age: 39
Total Posts: 7964
Points: 0

Location:
peshawar, Pakistan
salam friends aik chain shoro kerte hain may aik sher kehta hoon us k akhri lafz say aap aik sher kahin so plz reply ok lets start
the game start

       tum they to meri sham may tha subah ka aalam
       tum jab say gay sham jhalakti hay sahar main



noon

sher plz
Posted 30 Dec 2004

ONLYARBAB says
hasney nahi deta rone nahi deta
yah dil to koi kaam bhi honey nahi deta
Posted 11 Jan 2005

paki_fan says
veryyy nice
Posted 12 Jan 2005

paki_fan says
.
Posted 12 Jan 2005

paki_fan says
next one is n
Posted 12 Jan 2005

ONLYARBAB says



Na Main Jugnoo Na Diya Hoon Na Koi Tara Hoon
Roshni Wala Mera Naam Sa Darta Kiyon Hain
akhir kiyon

ji zeeshan now u
Posted 12 Jan 2005

paki_fan says



n...
NASEEB MAIN LIKHA NAHI GIA TUJH KO MERAY
MAGAR MAIN CHAHTI HOON HAD SAY BHI ZIADA TUJH KO
TERA HI AKS NUMAYAN HAI MERI ANKHOON MAIN
KAREEB A K DIKHAOON MAIN AAINA TUJH KO
MUJHAY TU TERI KHUSHI ZINDAGI SAY BARH KAR HAI
KHAFA HUA HAI MUJH HI SAY YE KIA HUA TUJH KO
MUJHAY TU JAGNA HAR SHAB TERAY KHAYALOON MAIN
JO SO BHI JAON TU KHWABOON MAIN DEKHNA TUJH KO
TU CHAND BAN K MERAY GHAR MAIN CHANDNI KARTA
MAGAR RUTTOON KI GHATA NAY CHUPA LIYA TUJH KO
MAIN JANTI HOON K TU BAYWAFA NAHI HAI MAGAR
KABHI MILI HI NAHI MOHLAT-E-WAFA TUJH KO
KABHI PARHAY GA AGAR TU,TOO MIL HI JAIY GA
MERI GHAZAL MAIN KAHIN MERA MADDA TUJH KO

o
Posted 12 Jan 2005

ONLYARBAB says

woh sarasarey sa dekh k guzra phir aik umar
us ka koi irada merey aankh may raha
may nay to aadhey chand ko dekha k poora hay
phir yeh howa k aadha meri aankh may raha

alif


ok

Posted 12 Jan 2005

paki_fan says
Ab Khushi hai na koi Ghum rulaane vaalaa
hamane apana liya her rang zamaane vaalaa
us ko rukhsat to kiyaa thaa mujhe maalom na thaa
saaraa ghar le gayaa, ghar chor ke jaane vaalaa
Aik musaafir ke safar jaisi hai sab kii duniyaa
koi jaldi mein koi der se jaane vaalaa
ek be-cheharaa se ummeed hai cheharaa-cheharaa
jis taraf dekhiye aane ko hai aane vaalaa


a
Posted 17 Jan 2005

ONLYARBAB says

ji aik baar jo chala jay kabhi wapas nahi aata
Posted 17 Jan 2005

ONLYARBAB says
Ek kirdaar ho tum kahani mien hoon

Kaarb ka ek samandar hai mere seene mien

Zaabt ki aankh se nikla huva pani mien hoon

Apne kirdar per khud ungli uthaie mien ne

yay
Posted 17 Jan 2005

Fairl_Girl says
Posted 19 Jan 2005

ONLYARBAB says
nice janubaby
Posted 19 Jan 2005

~CHANDNI~ says
Posted 19 Jan 2005

ONLYARBAB says
thanks
Posted 21 Jan 2005

ONLYARBAB says
ji aik baar phir thanks
Posted 24 Jan 2005

yeh judai k rastay,bari door tak gaye
jo gaya,phir na aaya,meri baat maan jao
Posted 26 Jan 2005

paki_fan says
letter O was kind of hard for me...
so back to this game again

Our Ahista kijey baten,
darkhane koi sun raha ho ga
Posted 31 Jan 2005

ONLYARBAB says
ya paki its urdu poetry so jis lafz pe khatam ho us say bolo not of english but urdu yaar

ab tum nay o say kaha its basically wao
ok
its easy yaar
Posted 31 Jan 2005

ONLYARBAB says
   ab kiyon udas phirtey ho sardiyon ki shamon may
   is tarha to hota hay is tarha k kamon may
   
    yay last word
Posted 31 Jan 2005

paki_fan says
i know janab



hmm nice


Yeh dil ka rog yeh chahat Khuda kisi ko na de
Buri panah hay mohabbat Khuda kisi ko na de
Jo Choat tune mujhe de hay kohi na de tujhko
Qadam qadam yeh mouseebat Khuda kisi ko na de
Zarori to hay bohat zindagee main ishq mager Yeh jan lewa zaroorat Khuda kisi ko na de
Tarap junoon yeh ruswaiyan akhela pan Yeh bewafahi ki aadut Khuda kisi ko na de
Yeh dil ka rog yeh chahat khuda kisi ko na de Buri panah hay Mohabbat khuda kisi ko na de

Posted 31 Jan 2005

ONLYARBAB says
    yaro yahi dosti hay
    qismat say jo mili hay
    sab sang chalain
    sab rang chalain
    chaltey rahain hum sada

     alif ji
Posted 01 Feb 2005

wafakadard says
Arbab yar yeh kyabat hoie waysay bahot khob
other too
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
sher to sunatey jao bhai

alif say
Posted 01 Feb 2005

wafakadard says


Aik pathar kafi hai shisha todne ke liye,
Aik baath kafi hai dil todne ke liye,
Aik lamha kafi hai pyar karne ke liye,
Aik dost kafi hai zindagi jine ke liye,
Aikk tu kafi hai mere dil ko samaj ne ke liye,
ye-khuda shukriya zindagi mein aise dost milne ke liye,
rehana shukriya iss nacheez ki dosti bani rakne ke liye,
dua karna humari dosti zindagi mein kabhi na tut ne ke liye,
dua karna hum apni zindagi mein baar baar milte rehne ke liye
Posted 01 Feb 2005

ONLYARBAB says
phir yay
Posted 02 Feb 2005

ONLYARBAB says
        yahi bohot hay k bheta hay sar ghukay howey
        mujhay ujar k woh ahks pasheman to hay


     haan yay ab bolo
Posted 02 Feb 2005

wafakadard says
Karo dua kubul hamari, maisale mohabbat bano,
Kabhi toh unko bhi khud pe sharm aayegi...
Posted 02 Feb 2005

ONLYARBAB says
phir yay
      \
     ya rab dil e muslim ko woh zinda tamana day
     jo qalb ko garma day jo rooh ko tarpa da y
Posted 02 Feb 2005

wafakadard says
ONLYARBAB said:

phir yay
      \
     ya rab dil e muslim ko woh zinda tamana day
     jo qalb ko garma day jo rooh ko tarpa da y


YEh to SONGS hai BHiya

Toofan-E-Gham Se Kaih Do Keh Misl-E-Charaagh-E-Raah
Jo Khud Hi Bujh Rahaa Ho , Kioun Usko Hawaayen De
Posted 02 Feb 2005

ONLYARBAB says
phir yay
nahi yaar bas koi aur lafz bhi
Posted 02 Feb 2005

Reply to Topic