Teesara Sawal.....?

2868 views 81 replies
Reply to Topic
QUEEN VICTORIA

Age: 124
Total Posts: 26285
Points: 0

Location:
Lahore, Pakistan
Basant Craze…………..

Why do we celebrate it?
Is firing, dancing, yelling on rooftops is our culture…..?

What example are we setting for our generation next…?
Loss of many precious lives, Electricity break downs, Noise and Wastage of money on such useless Festivals neither develops our Economy nor strengthens our defence from Foreign aggression.

Wake up before it becomes our FATE…….!!!
Think about it…….

And decide for yourself….!!!
Posted 04 Feb 2005

waisay to aap ko her baat ka pata hota hai....
afterall u r a senior member
Posted 09 Feb 2005

muslim says
bakhair

i dont find aby thing wrong in it


all muslims n hindus have been celebarting it fr 100s of years

n Quran ya Hadees hamain ise rokne se mana nai karta

han dance wagara aur fiiring se parhez hi karna chahiey

islam ek broad religion hai agar koi culture arab mein nai hai to is ka ye matlab nai k ham use adopt na kareen


kion k horse n cattle show bi kai saloon se basant k sath hi manaya ja raha hay us par to kisi ne itaraz nai kya
Posted 09 Feb 2005

new_beau says
Sadqay Jaoon Muslim Sahab..aap Ki Maloomaat per...Horse and CAttle Show mainn hum Animal Display Kertay hainn...Aik Sehat Mand Muqablay kay Rujhaan kay liyey jiss say Awaam ko Gayeda hota hay...Aur Basant per Ghair Ikhlaaqi kaam ker kay hum JAANWAR ban jaatay hainn..
Posted 09 Feb 2005

muslim says
nb yar gudi urane mein konsa ghair ikhlaqi kam hai

Posted 09 Feb 2005

Guest_005 says
PATANG URANI AATI HAI NA KANI DENI AATI AHI ..

ABAY GUBARA URA LAY GUBARA

Posted 09 Feb 2005

muslim says
g han
Posted 09 Feb 2005

new_beau says
muslim said:

nb yar gudi urane mein konsa ghair ikhlaqi kam hai



Guddi uranay ki nahin Basant Mananay ki Baat ho rahi hay
Posted 09 Feb 2005

muslim said:

bakhair

i dont find aby thing wrong in it


Quran ya Hadees hamain ise rokne se mana nai karta

islam ek broad religion hai agar koi culture arab mein nai hai to is ka ye matlab nai k ham use adopt na kareen


SUBHANALLAH

plz muslim sahib tell me

1- Kya Quran main bayja ASRAF ki ijazat hai?
2- Kya Quran main mard o aurat ki MAKHLOOT MAHFILON KI ijazat hai?
3- Kya Quran main bay ja shor shraba jis say doosaron ko takleef ponhchay,is ki ijazat hai?
4- kya Quran main MUSIC, bajon, ki ijazat hai?






yeh sawal main nay is liye kiye k MUslim nay QURAN PAK ka hawala diya...other wise main nay basant ko MAZHEB k hawalay say discuss nahin kya tha.......
Posted 10 Feb 2005

muslim says
well qv aap ka apna p o v hay lekin main samajhta hon k
quran ne israf se mana kia hay lekin entertainment par pabandi nai lagai meana say k basant ko halat k mutabiq manane par koi israf nai hota

aur jahan tak aap ne mard aur aurat ki bat ki hay to mein ye samajhtahoon k aam tor par esa nai hota aap media se misinterpret karte hain agar ham apni chatoon par dekhain to kab larke aur l;arkian dance kar rahe hote hain

aur firing wagara se to mai bi disagree karta hoon agar aap ne pori post pari hoti

n

har culture main buri aur achi bateen donon hoti hain like hamari shadioon wagara par jo jahaiz jasi chezain hain etc
to is ka ye matlab to nai k ham us chez ko bilkul chor dain

qv main janta hoon k basant main kai khamian mojod hain
jinhain sai karna chahiey nakah ek source of entertainment ko khatam kar dain


anyhow i liked ur reply
Posted 10 Feb 2005

muslim says
n waitn fr ur comments
Posted 10 Feb 2005

Guest_005 says
muslim said:

g han




TO FIR YAHAN KIA KAR RAHAY HOOO
Posted 10 Feb 2005

Ashii says
QUEEN said:


1- Kya Quran main bayja ASRAF ki ijazat hai?
2- Kya Quran main mard o aurat ki MAKHLOOT MAHFILON KI ijazat hai?
3- Kya Quran main bay ja shor shraba jis say doosaron ko takleef ponhchay,is ki ijazat hai?
4- kya Quran main MUSIC, bajon, ki ijazat hai?



AGREEEEEE..
par phir to humein sab kuch khatam kar dena chaiye
shadiyan
parties
mayyat k khatam,, chaleeswein,, etc (offcourse music nahi hota par baki sab)
khekehekheekheee...



kya na yrrr,,,
hum sab andhe hein,,, behre hein,,
issi haal mei khush hein,,
abhi zinda hu to jeee lene do
bhari basant mei p lene do
Posted 10 Feb 2005

Badal says
Assalam o Alaikum,

What a great mind QV , kitna pyaara jawab dya aap nay, aur kitne behtreen sawal kiye. Let's see, again

QUEEN VICTORIA said:

muslim said:

bakhair

i dont find aby thing wrong in it


Quran ya Hadees hamain ise rokne se mana nai karta

islam ek broad religion hai agar koi culture arab mein nai hai to is ka ye matlab nai k ham use adopt na kareen


SUBHANALLAH

plz muslim sahib tell me

1- Kya Quran main bayja ASRAF ki ijazat hai?
2- Kya Quran main mard o aurat ki MAKHLOOT MAHFILON KI ijazat hai?
3- Kya Quran main bay ja shor shraba jis say doosaron ko takleef ponhchay,is ki ijazat hai?
4- kya Quran main MUSIC, bajon, ki ijazat hai?


yeh sawal main nay is liye kiye k MUslim nay QURAN PAK ka hawala diya...other wise main nay basant ko MAZHEB k hawalay say discuss nahin kya tha.......


and also SALL, let's your comments too

SALL said:

QUEEN said:


1- Kya Quran main bayja ASRAF ki ijazat hai?
2- Kya Quran main mard o aurat ki MAKHLOOT MAHFILON KI ijazat hai?
3- Kya Quran main bay ja shor shraba jis say doosaron ko takleef ponhchay,is ki ijazat hai?
4- kya Quran main MUSIC, bajon, ki ijazat hai?



AGREEEEEE..
par phir to humein sab kuch khatam kar dena chaiye
shadiyan
parties
mayyat k khatam,, chaleeswein,, etc (offcourse music nahi hota par baki sab)
khekehekheekheee...



kya na yrrr,,,
hum sab andhe hein,,, behre hein,,
issi haal mei khush hein,,
abhi zinda hu to jeee lene do
bhari basant mei p lene do


tu first of all, you and we are muslim tu mazhab ki baat tu hum zaroor karain, kyun humain yahaan mar kar hamesha kay liye khatam nahi ho jana hai, bulkay in sub ka jawab bhi dena hai, main hairaan hoon aap ko tu apnay muslim honay par hi aitaraz hai. jin batoon ka aap nay zikar kya un ka ISLAM say door ka bhi wasta nahi, laikin agar aisa majority bhi karay tu aap yeh nahi keh saktay kay yeh sahi hai ya isay karnay main koi harj nahi. kisi burai ko karna ya sath dena aur baat hai isay sahi kehna kuffr tak puhacha deta hai. kam az kam doosroon ka iman tu kharab mat kijiye.

aue SALL yeh kia comments diye aap nay, hum jahaan just "jeenay" ya just hansnay khelnay nahi ain hain, kuch maqsad tha Allah ka humhain yahaan bhejnay ka, humara imtehan lena hai Allah nay, tu pehlay humara maqsad phir fun kyunkay fun say kisi nay nahi roka, laikin fun ki limits bhi humara mazhab hi define karta hai hum khud nahi.

beshak aap ko patag urani hai tu zaroor urain, laikin yeh basant hum muslims ka tehwaar nahi hai, aur agar humaray humaray apnay tehwaroon main bhi buraiyaan hoti hain, jaisa SALL nay point out kia, tu is ka yeh matlab nahi kay apnay tehwar chor dain, bulkay us burayoon ko khatam karain.

aue SALL aap france main beth kar yeh batain kar rahi hain, aap yahaan ain aur daikhain jab kisi ki shehrag par aap ki yeh door chalti hai aur wo tarap tarap kar jaan deta hai, kisi maan ki god ujarti hai, koi bewi apnay shohar say aur koi behan apnay bhai se mehroom ho jati hai tu kaisa lagta hai, hum tu yahaan rozana parhtay aur dekhtay hain, aap ko shaid ehsas nahi.

Allah Hafiz.
Posted 11 Feb 2005

anonymous says
great ZEE , aisa sub sochne lag jain tu ye muashra na sudhar jaye, wese ye samjhane ki zaroorat parni nahi chahiye thi itni akal tu sab mein honi chahiye, aur hai bhi, bas yahaan sab desires kay maray huey hain, jo acha lagta hai usay hi sahi samjhtay hain. byeee
Posted 11 Feb 2005

friend_16 says
maloom saab ko hai par janaay kyun anjaan banay hein .. koi bara step kyun nahi laita?? .. hum saab mill ker is kay khilaaf batein tu kertay hein par koi step bhe tu laina chahyee ..
--> y don't we write articles in newspapers n mags??
-->koi haaltaal he ker doo mill ker..
kuch tu karoo khalee batein kernay say kaam he loog suntay hein ..

aur aik baat hamain in rituals .. tehwaroon say roka gia hai jo kay aur religions say resemble kertay hon.. aur basant ki background ka kisi ko pata hai kay ye kyun manayee jatee hai???

aik muslaamaan shaheed hua tha aur us ka ye loog mazakk uratay thay kay is ki rooh asmaan main perwaaz ker rahee hai .. aur us say ye kites ka concept aya.. (jo mujhay pata chala hai .. my professor told me it was something like that) .. kitnay afsoos ki baat hai agar hum is ritual ko adopt karein tu..
Posted 11 Feb 2005

Ashii says
WS SALAM

uffffffffff,, o bhai mere.. bache ki jaan lo ge kya
agar aap ko koi baat samajh hi nahi aati to uss ka answer kyun karte ho ???

angrezi ka aik laft hai IRONY
jisse urdu mei TANZ kehte hein..
keep this word in ur mind and read my post again,, shayad kuch samajh aa jae,, aur agar nahi i to lemme explain it



fun ki limits hein,, i agree,, aap ne jo kaha mujhe iss se koi ikhtelaf nahi... par sanjeedgi, bewakoofi aur sarial pan ki bhi koi limit hai,, agree ???


dear Z
me france mei bethi zaroor hu par apni aankhein aur dimag ko kaam mei lana nahi chora..
maaf kijiye ga par jab kissi maa ki gaud ujarti hai to wahan bethi hui aur lakhon maon pe koi asar kyun nahi hota ??
aap log wahan beth k aksar dekhte aur sunte hein na ??
to y do u keep celebrating it,, balke ab to gvt level pe
mera kasoor hai kya yeh sab ??
aur mujhe yeh samajh nahi aati,,, apni gaud ujarne k baad hi kissi maa ko kyun lagta hai k basant galt cheez hai,, kyun chittar maar k apne bachon ko ghar mei band kar k nahi rakhti,, kyun jaate hein bache patangein lootne,, aur chaton se girte hein



kya naaa,, matha ghuma dete ho aap mera,,,,
abayy aap ko mere baki k comments bhi akal ki aankh khol k parhne chaiye,, agar kuch samajh na aae to ask me,, aur phir comments dein aap


mujhe patang urane pe koi etraz nahi hai,, par basant jiss tareeke se manai jati hai,, ITS WRONG
tareeka galt hone se aap yeh nahi keh sakte k patang urana ya thori si tafreeh karna hi gunah ho gaya
hamare han shadiyon wagera pe bohot fazool kharchi hoti hai na,, firing bhi hoti hai and i ve heard uss mei bhi log zakhmi hote hein shayad marte bhi hon,
to iss ka kya ilaj hai ??
log shadiyan na kiya karein ??


aaarrrrrrrrghhhhhhhh,,
subah subahhhh,, meter ghuma diya meraaaaaaaaa
hmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm... take it easy salll
-->
Posted 11 Feb 2005

Ashii says
mujhe patang ki origin to nahi pta par basant is a PAGAN tradition,,, a festival to celebrate MOTHER EARTH's fertility....
saheli ka point bhi sahi ho sakta hai,,,




but one thing yar,,,
economy ka aik simple sa rule hai jo baki life pe bhi apply hota hai,,
jiss cheez ki demand hogi market mei wohi cheez zyada hogi.. it s a simple demand and offer eq
log basant k khlaf ho ja'ain ge to ye tehvar khud se khatam ho jae ga... but seedhi si baat hai,, hum jo bhi keh lein majority iss k haq mei hai

we cant do anythingggggggggg until ppl dont get k woh kitna galt rste pe ja rahe hein,,, and im not only tlaking abt basant,, abhi to masha Allah se valentine day bhi aa raha hai
SILLLYYYYYYYYY..
Posted 11 Feb 2005

Posted 11 Feb 2005

yeh kaam tu lahore wala kartey he basant wohi manate he sharab wohi pitey even aurtein bhi piti hei .
Posted 11 Feb 2005

friend_16 says
.. un saab kamoon say humko rooka hai jo dosray religions say miltay hoon.. unkay tareeqoon kay mutabiq hoon..
pakistan sirf naam ka he islamic state hai .. president sahib khud gaiy thay shehr patang bazi kay liay .. aur naam is ko "jashnay bahaaraan" day daitay hein..

itni lightning to EID par nahi hoti jitnee Basant nite par the.. her dosri gari kay peechay kites lagee theen .....

.. baas aur kuch nahi kehna .. koi faida nahi .. jihoon nay suni hoti hai wo suun laitay hein .. jinhoon nay nahi maanni hoti wo behs kertay rehtay hein..
Posted 11 Feb 2005

muslim says
write
Posted 11 Feb 2005

Badal says
Assalam o Alaikum,

friend_16 said:

maloom saab ko hai par janaay kyun anjaan banay hein .. koi bara step kyun nahi laita?? .. hum saab mill ker is kay khilaaf batein tu kertay hein par koi step bhe tu laina chahyee ..
--> y don't we write articles in newspapers n mags??
-->koi haaltaal he ker doo mill ker..
kuch tu karoo khalee batein kernay say kaam he loog suntay hein ..

aur aik baat hamain in rituals .. tehwaroon say roka gia hai jo kay aur religions say resemble kertay hon.. aur basant ki background ka kisi ko pata hai kay ye kyun manayee jatee hai???

aik muslaamaan shaheed hua tha aur us ka ye loog mazakk uratay thay kay is ki rooh asmaan main perwaaz ker rahee hai .. aur us say ye kites ka concept aya.. (jo mujhay pata chala hai .. my professor told me it was something like that) .. kitnay afsoos ki baat hai agar hum is ritual ko adopt karein tu..



bilkul theek kaha maloom sab ko hai magar anjaan banay hain, magar iss ka yeh matlab tu nahi na agar koi anjaan ban jaey tu wo kaam theek ho jata hai? Waiting for your comment.

Aur dosra article bhi atay hain newspapers main aap nay kabhi parha nahi tu aur baat hai.

Aur rituals jo dosray religions say miltay hain, tu aap bhool gaeen yeh hinduoon ka tehwar hai, shuru bhi India main hoa tha, aur har saal pehlay indya main hi manaya jata hai.

And SALL,
SALL said:


fun ki limits hein,, i agree,, aap ne jo kaha mujhe iss se koi ikhtelaf nahi... par sanjeedgi, bewakoofi aur sarial pan ki bhi koi limit hai,, agree ???



aisay serious issues jitni bhi sanjeedagi say liya wo kam hai.

SALL said:

dear Z
me france mei bethi zaroor hu par apni aankhein aur dimag ko kaam mei lana nahi chora..
maaf kijiye ga par jab kissi maa ki gaud ujarti hai to wahan bethi hui aur lakhon maon pe koi asar kyun nahi hota ??
aap log wahan beth k aksar dekhte aur sunte hein na ??
to y do u keep celebrating it,, balke ab to gvt level pe
mera kasoor hai kya yeh sab ??
aur mujhe yeh samajh nahi aati,,, apni gaud ujarne k baad hi kissi maa ko kyun lagta hai k basant galt cheez hai,, kyun chittar maar k apne bachon ko ghar mei band kar k nahi rakhti,, kyun jaate hein bache patangein lootne,, aur chaton se girte hein



yeh buhat stupid sa excuse dya aap nay SALL, bachay sirf chatoon say nahi girtay, aur baat sirf bachoon ki nahi kit hi main aap nay parha nahi main nay baroon ki bhi kit u, koi rahgeer kabhi garden katwata hai in dooron se aur kabhi koi motorcycle sawar, tu kia log apnay sab kaam chor kar beth jain takay log apna bassant ka shok poora kar lain?

SALL said:

kya naaa,, matha ghuma dete ho aap mera,,,,
abayy aap ko mere baki k comments bhi akal ki aankh khol k parhne chaiye,, agar kuch samajh na aae to ask me,, aur phir comments dein aap


mujhe patang urane pe koi etraz nahi hai,, par basant jiss tareeke se manai jati hai,, ITS WRONG
tareeka galt hone se aap yeh nahi keh sakte k patang urana ya thori si tafreeh karna hi gunah ho gaya
hamare han shadiyon wagera pe bohot fazool kharchi hoti hai na,, firing bhi hoti hai and i ve heard uss mei bhi log zakhmi hote hein shayad marte bhi hon,
to iss ka kya ilaj hai ??
log shadiyan na kiya karein ??



SALL again aap ziada gussa kar rahi hain main patag uranay ko nahi basant manany ko ghalat kaha, aur is par honay walay kamoon ko, doobara zara aankhain khol kar parh lain I think. Aur shadi tu sunnat hai us ko basant say kyun compare karti hain? Aur yeh bhi likha tha main nay aisi rasoom par bhi humain in burayoon say bachana chahiye, aur basant tu khud aik burai hai.

friend_16 said:

.. un saab kamoon say humko rooka hai jo dosray religions say miltay hoon.. unkay tareeqoon kay mutabiq hoon..
pakistan sirf naam ka he islamic state hai .. president sahib khud gaiy thay shehr patang bazi kay liay .. aur naam is ko "jashnay bahaaraan" day daitay hein..

itni lightning to EID par nahi hoti jitnee Basant nite par the.. her dosri gari kay peechay kites lagee theen .....

.. baas aur kuch nahi kehna .. koi faida nahi .. jihoon nay suni hoti hai wo suun laitay hein .. jinhoon nay nahi maanni hoti wo behs kertay rehtay hein..



friend, abhi likha main nay kay basant hundoon ka tehwaar aur yahaan unhi kay tareekay say manaya jata hai, patang urai jati hai, dance hota hai, oonchi oonchi awaz main music, dhool, bajay, aur phir kaheen kaheen tu sharab aur pata nahi kya kya, aur kia mumaslat nahi hui?

Aur agar government level par aisa hota hai tu aap ko maloom nahi yahaan iss kay khilaf bhi roz newspapers main ata hai, laikin majboori yeh kay koi sunnay wala nahi, aur agar sab hi isi tarah sochnay lag gae aap soch rahi hain tu phir tu shaid yeh burai kabhi khatam ho sakay, agar rokna nahi chahti hain tu kam az kam durust tu na kahain. Aap ne parha hoga jab humaray aamal kharab ho jatay hain tu Allah hum par zalim hukmaran musallat kar deta hai aur yahi humaray sath ho raha hai.
Posted 11 Feb 2005

dotmatrix says
oh ye sara majra ki hai ji
Posted 11 Feb 2005

new_beau says
Sub ko Pata hay keh yeh aik ghair islami cheez hay...

Bye from me on this topic
Posted 12 Feb 2005

javad says
HMM
Posted 12 Feb 2005

friend_16 says
main basant kay favour main tu nahi hoon?? .. mainnay ye tu nahi kaha ...

ye kaha hai kay koi hamaree sunta nahi hai .. jahaan taak articles likhany ki baat hai to wo itni minority level par hein kay kuch kia nahi ja sakta .. newpapers wohi print karein gay jo government chahay ge aur us kay khilaaf kaein gay tu unki chuti nahi hoo jaiy ge?? majority yahi chahte hai kay basant ho aur manayee jaiy.. yahaan to yahi haal hai majority is authority ... jaab hamaray majority youngsters he yahi basant manana chahtay hein tu ab hum kia karein???
Posted 12 Feb 2005

~CHANDNI~ says






Posted 13 Feb 2005

Guest_005 says
4 Sawal Kab aaye ga QUeeny ji
Posted 13 Feb 2005

pehlay is ka to jawab do
Posted 14 Feb 2005

muslim says
mera khayal hay dat will b abt valentine day

angrazon ka dushman jst kdng
Posted 14 Feb 2005

Reply to Topic