~*~My collection-~*~old & new~*~

73485 views 2186 replies
Reply to Topic
~tasha~

Age: 124
Total Posts: 47628
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom
The Road to Nowhere


To travel the road to nowhere.
The soul's dark amazon.
Eternal peace is anywhere,
the mind might set upon.

To travel the road to nowhere.
To know you're really gone.
And when you finally get there,
to find your god is Ron.

There's something in the cupboard, boy.
There's something in the dark.
There's something in the cupboard, boy,
that leaves a lasting mark.

There's something in the cupboard, boy.
Old secrets gather dust.
There's something in the cupboard, boy,
that reeks decay and must.

To travel the road to nowhere.
Reading signposts from beyond.
As self-deceit completes defeat,
a cold ghost light is shone,
on Ron. On Ron.

He learned to sham at his father's knee.
He knew the power of story.
He lived by lies and fantasies,
and dreamed of fame and glory.

So travel the road but beware,
for he drew an arcane map.
His weak and dismal followers,
could see no fatal trap.

But in his inner circle,
his worth would soon reveal.
To those that rail and cavil,
he'd crush beneath his heel.

There's something in the cupboard, boy.
The sweetest scent of musk.
There's something in the cupboard, boy,
as warm and moist as lust.

To travel the road to nowhere.
It's not the smoothest ride.
To have all faith you must defer,
to a self-referring guide.

To travel the road to nowhere.
To avoid the rush and throng.
Unravel in the space of somewhere,
and sing a specious song.

There's something in the cupboard, boy.
It's got an evil breath.
There's something in the cupboard, boy,
that toys with fear and death.

To travel the road to nowhere.
And wield your magic wand.
A shuffling prisoner of despair,
when fragile hopes abscond.

To travel the road to nowhere.
A funeral dress you don.
All truth is moulded out there,
like a Sci-Fi writer's con.

There's something in the cupboard, boy.
You hear it scratch and whine.
There's something in the cupboard, boy,
both bedevilled and divine.

To travel the road to nowhere.
To follow a different sun.
To travel the road with due care,
not to end as you begun.

To travel the road to nowhere,
to life's grim denouement.
Be sighted by the cross hairs,
released from earthly bond.

To travel the road to nowhere.
Your face is drawn and wan.
Your self-belief masks hidden grief,
while the thief of time moves on.
Posted 27 Dec 2006

eshajam says
more
i bet it will be soon
Posted 11 Dec 2007

~tasha~ says
now it's ur turn
Posted 11 Dec 2007

Miss mine says
~tasha~ said:

Wo mujh sy besabab uljha nahi tha.
Wo pehlay to kbhi aesa nahi tha,,,,,

Bohat aala tha us ka zarf liken?
Wo meri zaat ko samjha nahi tha.

Wo jis bey rukhi sy chal diya tha,,
Main itna bhi giya guzra nahi tha.

Usay main kiyon bura theraon yaro.
Bohat acha tha, fqat mera nahi tha



gud
Posted 11 Dec 2007

~tasha~ says
waiting....
Posted 11 Dec 2007

~tasha~ says
wow!
Posted 11 Dec 2007

sun_shine says
Posted 11 Dec 2007

~tasha~ says
Mausam ki tarah badal jaate kuch log
Khuda na kare iss daur se guzare koyii dost...

Fhikrr karte rahen hum jinnki raat dinn
Dekho wo shaksh kitnne karib se guzaraa Ajnabii tarah...

Har Rang Roop k dhaache mai dhal jate kuch log
Kaash logon ki sohbat ka asaar hum par bhi hoota....

Waqt nahi thaharta kisi ke liye
Kuch badal kar kuch naya tazurrba de jaata.....
Posted 12 Dec 2007

Miss mine says


doing gr8 guyz
Posted 13 Dec 2007

eshajam says
Great..!!!
king n tasha
Posted 13 Dec 2007

~tasha~ says
thanx to all
Posted 14 Dec 2007

~tasha~ says
Kya hassen agaaz tha who,

Chand tha ya aftaab tha who,

Hume yakin nahi hai unke bichhdne ka ab tak,

Utna haseen khwab tha who.

Andaz-e-ishq me hum to har ke beth gaye jaan,

Meri zannat-e-mahhobbat ki shaan tha who,

Mere Anshumaan me ab tak basaa hai unka ehsaash

Esa mera pyara mehboob tha who.

Ajj bhi sanse mahsoos ho rahi hai unki, kya haseen ehsaas tha who.

Hum bhale ho jaye hum-zameen par na hongee mahobbat kis aur se,

Mile hai wo Wafa-e-ishq hame ki ajj bhi Dil-e-shamil hai who.
Posted 14 Dec 2007

eshajam says
Posted 14 Dec 2007

~tasha~ says
Kuch shikayatein baaki hai dil mein,
Dil tootne ke is haadsat ke baad,
Khabar teri yun aati rehti hai har dum,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Charcha hota rehta hai deewano ka yahan,
Har jaan ek jist jaise nazar aati hai,
Baithe baithe koi surat yaad aati hai mujhe,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Khamoshi mein aahat gunjti hai kanon mein,
Jaise bula rahi ho dekar mujhe awaz,
Achanak log kyun daudne lagte hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Naaz hai kyun mujhe apni mohabbat par itna,
Ke yeh dil tujhe chahne ki zid par hai,
Khwaab har pal toote nazar aate hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Rabta ishq se rakha maanga khuda se mehboob,
Khatm kiye ranj saare ki dosti dushmano se bhi,
Haalat jazbaat ban kar beh jate hai dekhkar tujhe,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...
Posted 14 Dec 2007

~tasha~ says
jism hun mein per
mujhmein koi jaan nahi

dil to hai paas per
ab ismein koi armaan nahi

chin gayi jo khushiyaan
to rahi koi iccha baki nahi

chala gaya jo ik baar
phir wo lauta wapis nahi

cha gaya jo uska khumaar
chahat bhi ab koi baki nahi

kho diya jo pyar ik baar
mila wo phir dubara nahi

kaash! mil jata wo mujhe
to usay jane kabhi deti nahi

jism hun mein per
mujhmein koi jaan nahi
Posted 14 Dec 2007

eshajam says
really nice
Posted 14 Dec 2007

~tasha~ says
zindagi ko bina pyar koi keysey guzarey

mehbob ki ankhoon main bari baat hai peyarey

attey hain zameen per kabhi yeh chan sitarey

mehbob ki ankhoon main bari baat hai pyarey

iss umer main baan jaey gi koi tu kahani

tenha nahin katati hai yeh medhoosh jewani

koi nea dilber chuno kitni haseen raat hai

chup key koi dharkan suno keh do jo dil main baat hai

miltey hain naseboon sey yeh banhoon key seharey

mehboob ki ankhoon main bari baat hai pyarey

baan jao kissi key kissi ko apna bana lo

pelkoon key jherokoon main koi sapna saja lo

yadoon main tum khoey reho sarey jehan ko bhool key

zulfoon taley soey rehoo bheghey laboon ko choom key

nazroon main basa loo sabhi rangeen nazarey

mehboob ki ankhoon main bari baat hai peyarey

zindagi ko bina peyar koi keysey guzarey
Posted 15 Dec 2007

~tasha~ says
Kabhi dil jala kabhi jaan bhe
Kabhi kho gaye muskan bhe
Me apno ka kabil nahi raha
Ya jantay ha anjan bhe
Meray sath aksar rahtay hay
Katil meray mehman bhe
Dharte per zulam dakh kar
Roota ha asman bhe
WO badal gaya Kuda sa jo
Farishta tha bana shaytan bhe
bas zara zara se ranjishay
na bhola saka insan bhe
Posted 15 Dec 2007

Miss mine says

gr8 compilation tashu
Posted 16 Dec 2007

~tasha~ says
thx dears
Posted 17 Dec 2007

~tasha~ says
Ye zindagi itani ajanbee kyun hain
Kisi pal khushi to dusre pal nami kyun hain
Khush ho jaun main kis bat par
Kis bat par gum main simat jaun
Na jane mujhe itani bekasi kyun hain
Banati hun pani par nishan bar bar
Ye lakeere banker mit jati kyun hain
Koi lamha thamne ki khwahish to hai
Par ye ghadi humesha chalti kyun hai
Parchaiyon ke peeche bhagte hain kadam
Phir sochte hain ye parchaiyan banati kyun hai
Sab kuch to hai pas phir kami lagti kyun hai
Jiske ke liye chale hum tanha tanha
Aaj wo manzil itani udas si kyun hai
Ek pal to lagta hai mil gaya sab kuch mujhe
Doosre hi pal lagta hai ek talash si kyun hai
Chaht to hai mujhe is zindagi se bahut
Phir na jane kuch shikayat si kyun hai
Posted 17 Dec 2007

eshajam says
very nice..
Posted 17 Dec 2007

eshajam says
your turn..
Posted 18 Dec 2007

~tasha~ says
Posted 19 Dec 2007

^dewaja^ says
WAH WAH WAH
Posted 20 Dec 2007

Miss mine says


gr8 poems tashu
Posted 22 Dec 2007

~tasha~ says
thanx dears
Posted 22 Dec 2007

~tasha~ says
A RAB Aaj Phir Se Ye Mojza Kar De
.
Us Ki Chahat Ka Phir Se Silsila Kar De
.
Qabooliyat Ki Wo Ghari Batla De Mujh Ko
..
Main Jo Mangoon Mujh Ko Ataa Kar De
.
Tujhe Waasta A KHUDA Tere Mehboob Ka
.
Us Ke Dil Main Meri Jaga Kar De
.
Dikha De Tu Rang Apni Qudrat Ka
.
Tapte Sehra Ko Tu Behta Huya Darya Kar De
.
Parhne Waale Se Hai Ye ILtija Sajid Ki
.
Mere Haq Main Faqat Apni Dua Kar De
Posted 23 Dec 2007

~tasha~ says
thx pari
Posted 24 Dec 2007

~tasha~ says
chalo khawab ankhon main saja kar dekhtay hain
chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hain

khoon k rishton say aitbar to uth gaya
chalo benam rishtay bana kar dekhtay hain

zindagi asaan ho jaey shayad hamari
chalo haath ki lakeerain mita kar dekhtay hain

andheri shab to kisi surat katti nahi
chalo ghar apna jala kar dekhtay hain

humain maloom hai k tum nay hamara hona nahi
chalo tum par yeh zindagi luta kar dekhtay hain
Posted 24 Dec 2007

~tasha~ says
Toot jaate hain sabhi rishte mager

Dil se dil ka raabta apni jagah

Dil ko hai tujh se na milne ka yaqeen

Tujh se milne ki dua apni jagah



Mast nazron se dekh lenaa tha

Ager tamanna thi aazmane ki

Hum to behust youn hi ho jaate

Kya zaroorat thi muskurane ki



Chehrey per banawat ka gussa,

Aankhon say chalakta pyaar bhi hai,

Is shauq_e_ada ko kya kahiye

Inkar bhi hai iqraar bhi hai,



Kal mila waqt to zufain suljha doonga

Aaaj uljha hoon zara waqt ke sulajhne main

Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain

Umar kat jati hai waqt ke sulajhe main



Dil ko manana gar hota aaasaaan

Na karta kisi ko yoon ye pareshaan

Tanha na rahta bhari mehfil main

Na hoti woh halat jo ho na bayaan



Khudaa jab husn deta hai

Nazaakat aaa hee jati hai

Kadam chun chun kar rakhti ho

Kamar balkha he jaati hai
Posted 24 Dec 2007

Reply to Topic