Kaun Badalta hai??

16769 views 326 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 124
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Loog ya Waqt??

mein abhi purane pm's parh rhi thi kafi ache mem k aur aj mein heeran hun k wo itna kaise badal gye hain, choti choti baton pe khiyal rakhne wale hum se itne bad-gumaan kaise ho gye hain..

really i'm shocked waqt itna change ho sakta hai ye mein mann leti hun lekin insan itna badal sakta hai yaqeen nhi hota..
Posted 10 Jul 2008

agar valid point dain gi to kyoun nahi maanon ga ap ki baat...
mai nay to example bhi paish kar di hai... ap bhi koi example dain na...

Posted 12 Aug 2008

~Fragi~ said:

Insaan halaat her haal mein khud zimadar hota hai

naaaaaaaaaaaaaa paa ji... Ap ki bank Al-falah mai job howi... aur posting Bure-wala mai ho gai.... ap apnay ilaqay kay logon sai uss tarah interaction mai nahi rahay (jis tarah un kay saath rehtay howay thay) to in halaaat kay zimedaaar ap khud hain?????

Posted 12 Aug 2008

~Fragi~ says
haan ager un k saath mein milna chahoon tu zaroor rabta rakh sakta hoon
Posted 12 Aug 2008

~Fragi~ says
rapu bacha

life cycle is creul
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel says
Rehan M Din said:

agar valid point dain gi to kyoun nahi maanon ga ap ki baat...
mai nay to example bhi paish kar di hai... ap bhi koi example dain na...

Example hai mere pass lein aman k kharaab hone ka andesha hai
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel says
~Fragi~ said:

haan ager un k saath mein milna chahoon tu zaroor rabta rakh sakta hoon

sahih kah rahe hain ye tu bande pe depend karta hai k wo logon ko kitna yad rakhte hain
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel says
~Fragi~ said:

rapu bacha

life cycle is creul

I know Bro
Posted 12 Aug 2008

~Fragi~ says
exactly aap chaho tu yahan sey bhet ker uk us k logon sey b rabta rakh saktey ho
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel says
bilkul baat sirf insan ki hai wo khud chorna chahe tu hum kya karain
Posted 12 Aug 2008

~Fragi~ said:

haan ager un k saath mein milna chahoon tu zaroor rabta rakh sakta hoon

brother.... rabta rakhnay mai aur same usi tarah interaction rakhnay mai farq hota hai... agar ap ghaur sai parhain to mai nay yahi likha hai keh us tarah rabta nahi rakha ja sakta jis tarah un kay saath rehtay howay rakha jata hai... agar ap wahan per rehtay hon to may be daily sham ko ikathay beth-tay hon.. guppain lagti hon... but burewala mai aanay kay baad aap roz multan nahi ja saktay... agar aap burewala sai roz multan chalay bhi jaen to Abbotabad posting Abbotabad honay kay baad aisa nahi kar saktay... phone per kitni dair baat kar sakain gay... aik ghanta... 2 ghantay... 4 ghantay... lekin yeh phir bhi wesi interaction nahi ho gi jesi saath rehtay howay ho gi...
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel said:

Rehan M Din said:

agar valid point dain gi to kyoun nahi maanon ga ap ki baat...
mai nay to example bhi paish kar di hai... ap bhi koi example dain na...

Example hai mere pass lein aman k kharaab hone ka andesha hai

to un example ko kesay khatam karain gi jin sai pata chalta hai keh halaat insaan kay control main 100% nahi hotay...
aur bhi boht sai awamil kaar-farma hotay hain...

mein ye baat bilkul manti hun k aur awamil bi hote hain lekin bara haath insan ka khud ka hota hai
Posted 12 Aug 2008

~Fragi~ says
i agree but u know yeh hum per depend karta hai k hum kis tarah sab cheezon ko manage kartey hain

door ho janey sey diloon mein fasley nahi aatey
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel says
bilkul kuch loog nazdeek hote hain infact aik gahr mein rahte hue bi kayi meel dur hote hain ye tu insna per hai k wo kise yad rakhe kise bhula de
Posted 12 Aug 2008

us soorat mai ap kya kahain gay... agar donon taraf taluqat bahaaal rakhnay kay khawahaaan hon... lekin darmian mai koi aur hurdles aa rahi hon.....
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel says
kahte hain dilon mein deewar na ho tu sab kuch asaan hai ye mushkilaat tu ani jaani cheezain hain bande ko khud pur-azm hona chaiye
Posted 12 Aug 2008

~Fragi~ says
insaaan sochta bohat hain
Posted 12 Aug 2008

is baat sai ham nay kab inkar kia hai...
baat halat ka insaan per control hona ya insaan ka halat per control hona ki howi thi...
hurdles apni life mai koi bhi jaan boojh kar nahi lata...

is topic ko serious corner mai na move kar dia jae?
Posted 12 Aug 2008

~Fragi~ says
nahi yeh yaheen theek hai
Posted 12 Aug 2008

ap kehtay hain to nahi move kartay...
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel says
~Fragi~ said:

insaaan sochta bohat hain

kion k soch per tax nhi lagta
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel says
Rehan M Din said:

is baat sai ham nay kab inkar kia hai...
baat halat ka insaan per control hona ya insaan ka halat per control hona ki howi thi...
hurdles apni life mai koi bhi jaan boojh kar nahi lata...

is topic ko serious corner mai na move kar dia jae?

serious corner mein move tu kar dun par wahan ayain gay Ap??? 2nd Allah ne insna ko itni power di hai k wo sab halaat ka samna akr sake so halaat ko qasoor war tehrana bilkul ghalt hai
Posted 12 Aug 2008

~Fragi~ says
soch per tax laga tu phir shaid hum is MASHGALAY sey bhi jayein gein
Posted 12 Aug 2008

Rapunzel says
hmm kah tu sahih rahe hain but i dun think so hum SOOCHTEY hain
Posted 13 Aug 2008

~Fragi~ says
hum sochtey hain . . per as a fun.....
Posted 13 Aug 2008

Rapunzel said:

Rehan M Din said:

is baat sai ham nay kab inkar kia hai...
baat halat ka insaan per control hona ya insaan ka halat per control hona ki howi thi...
hurdles apni life mai koi bhi jaan boojh kar nahi lata...

is topic ko serious corner mai na move kar dia jae?

serious corner mein move tu kar dun par wahan ayain gay Ap??? 2nd Allah ne insna ko itni power di hai k wo sab halaat ka samna akr sake so halaat ko qasoor war tehrana bilkul ghalt hai

kya pehlay ham serious corner mai discussion nahi kartay????

Main nay kab kaha keh insaan halat ko face nahi kar sakta... Halaat ka samna karna yahi karna hai keh ap kisi janay walay ko rok nahi saktay but can keep contact... lekin ap halat ka samna karnay mai yeh nahi kar saktay keh janay walay ko rok lain... Isi tarah Halat ka samna karna yeh hai keh sabar-o-tahamul qaim rakhain... Halat ka samna karnay mai yeh nahi ho sakta keh ap unhain change kar dain...

Posted 13 Aug 2008

Rapunzel says
~Fragi~ said:

hum sochtey hain . . per as a fun.....

thts the main point

larte hain but itni nahi ok mein move kar deti hun is ko

apki baat apni jagah theek hai lekin sabar-0-tahamul se agay bi kuch hota hai sirf sabar kar k tu nhi betha jata 2nd doorian dilon mein ati hain kuch loog 7 samandar par rhte hain aur phr bi aik sath hote hain
Posted 13 Aug 2008

move karnay ka sirf aik option tha... ap to serious hi lai gai...

inkaar nahi is baat sai keh saat samundar paar walay bhi rabtay mai hotay hain... lekin kya roz ghanton ka milna aur haftay mai 3~4 baar phone per baat hona kabhi barabar ho sakta hai?????
Posted 13 Aug 2008

Rapunzel says
nhi mein serious nhi hui mein bilkul manti hun lakin yahan barabari ki baat nhi ho rahi doori aur changing ki baat ho rhi hai
Posted 13 Aug 2008

Reply to Topic