Fairl_Girl’s Collection + OWN

157503 views 2788 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 05 Sep 2004

Fairl_Girl says
Rapunzel said:

Nice collection FG

THXX SWEETY
Posted 02 Feb 2009

olldman says
You have added beautiful work here, FG.
Posted 02 Feb 2009

Fairl_Girl says
THANKSSSSSSSSSS
Posted 06 Feb 2009

Fairl_Girl says
Mujh se apna pyaar kabhi wapas mat lena
Mujh se yeh iqrar kabhi wapas mat lena
Kehti rehna mujh ko-har pal main teri hoon
Mujh se yeh izhaar kabhi wapas mat lena
Aankhein roshan rakhna apni yaadon se
Mujh se yeh deedar kabhi wapas mat lena
Khushboo ban kar basna mere tan man mein
Mujh se yeh izhaar kabhi wapas mat lena
Posted 18 Feb 2009

Fairl_Girl says
Rooh pe jab uftad koi aay tu ghabra jati hai

reh reh ker jab yaad koi aay tu ghabra jati hai

aankh ne itny shehr ujerty dekhy k rusty main

ab basti abad koi aay tu ghabra jati hai

woh lerki jo dushman ka her hamla hanse ker sehti hai

apnon ki imdad koi aay tu ghabra jati hai

usko weeranon se ghor undheron se koi khuf nahin

lakin aadamzad koi aay tu ghabra jati hai

dil main itni gehri chup hai itna gum sanata hai

bhooli bhutki yaad koi aay tu ghabra jati hai

dil is shehr main jaisy ik per toti tan tenha chiriya

jungle mian siyad koi aay tu ghabra jati hai..
Posted 18 Feb 2009

Fairl_Girl says

Guzartay Lamho Main Thak Gaya Hoon, Bikhar Gaya Hoon
Guzartay Lamho Main Thak Gaya Hoon, Bikhar Gaya Hoon
Main Sathiyon Say Bichar Gaya Hoon
Yeh Sathiyon Kee Mufarqat Bhie Ajeeb Shay Hay
Kay Jitna Arsa Yeh Saath Chaltay Hain
Chotee Chotee Fuzool Baaton Pay Rooth Jatay Hain Aur Lartay Hain
Doston Kay Jawaan Iraday Shikast Kartay Hain
Raastay Ki Soabaton Say Inhain Daratay Hain Aap Dartay Hain
Manzilon Ko Pukartay Hain
Magar Inhee Kay Wujood Hain Jo Musafaton Ko Nikhartay Hain
Guzartay Lamho Main Sathion Say Bichar Gaya Hoon
Main Apni Tanhaee Kay Tahayyur Say Dar Gaya Hoon
Main woh Musafir Hoon Jis Kay Paaon Main Manzilain Hain a Rehgyzar Hay
Posted 19 Feb 2009

Fairl_Girl says

kioun jagtey hoo
kiya souchtey hoo
kuch hum sey kahoo,tanha naa rahoo
khalwat ke kharabey mein hum bhi itney hi peraishaan rehtey hain
bus khawab-o-khayal ki basti mein, majboor –o-pasheemaan rehtey hain
lougoun sey gurezaan rehtey hain
souchaa naa karo
yaadoun ke barestey badal koo, palkoun pey sajana theek nahien
joo apney buss ki baat na hoo
uss ko douhrana theek nahien
aisey naa koreydoo zakhmoun ko
aisey tou naa meri jaan keroo
mujh per itnaa ehsaan karoo
ab raat ki palkien bheeg chali,ab chand bhi hai
chup janey koo
kuch dair mein shabnam ayey gee, phooloun ki pyaas bujhaaney koo
shadaab shagoofoun ki sourat, khwaboun ke nager mein khoo jaou
ab soo jao
tum soo jao.....
Posted 19 Feb 2009

olldman says
Excellent additions, FG.
Posted 19 Feb 2009

Fairl_Girl says
thanks alotss olldy
Posted 20 Feb 2009

apnayaar says
nice collection
Posted 21 Feb 2009

Fairl_Girl says
THX APNA JI
Posted 04 Mar 2009

Rapunzel says
nice gems
Posted 04 Mar 2009

oodbalow says
Dewaan-e-Fairl_Girl bhi hai idher

aik se barh k aik dewaney paray hain idher

btw sahib-e-dewaan ko deewana he kehtey hain na??
Posted 06 Mar 2009

Fairl_Girl says
thanks both of u
Posted 30 Apr 2009

Fairl_Girl says
~*Aye Mere Humsafar*~


Mosam haseen hay lekin

Tum sa haseen naheen hay

Har ek ada tumari

Aji walah dil nasheen hay

Aye mere humsafar

Aye mere humnasheen



Meri nazar se poucho

Tum sa kaheen naheen hay

Tum ko basa k dil main

Hasrat koy naheen hay

Aye mere humsafar

Aye mere humnasheen



Dekh kar tum ko nazaron

Pe nashaa chane laga

Muskarahat pe baharon ko

Bhi rashk ane laga

Tum kis qadar haseen ho

Tum ko khabar naheen hay

Aye mere humsafar

Aye mere humnasheen



Mil gaye jab tum to

Jine ka maza ane laga

Dharkanon k saaz par

Dil jhuum kar gana laga

Tum mil gaye to duniya

Janat se bhi haseen hay

Aye mere humsafar

Aye mere humnasheen
Posted 30 Apr 2009

Fairl_Girl says


Apne hone ka ham iss tarah pata detay thay
khak muthhi mai uthhatay thay urha daitay thay

be samar jaan k ham kaat chuke hain jo shajjar
yaad aate hain k be charay hawa daitay thay

uski mehfil mai wahi such tha wo jo kuch bhi kahey
ham bhi gungo'n ki tarah haath uthha daitay thay

abb se pehle jo qatil thay boht achhay thay
qatl se pehle jo pani tau pila daitay thay

wo hamain kousta rehta tha zamane bhar mai
aur ham apna koi shair suna daitay thay

ghar ki ta'meer mai ham barso'n rahe hain pagal
roz deewar uthhate thai gira daite thay

hamm bhi abb jhoot ki paishani ko bosa daingey
tum bhi sach bolne waley ko dua daite thay

Posted 30 Apr 2009

Fairl_Girl says

Aaj yeh kis ko nazar k

Samne pata houn main

Pyar ki bhuli huyi

Yadoon se takrata houn main



Kiya tumain woh chandni

Rateen bhi yaad ati naheen

Tum to kahte the

Sitaroon ki kasam khata houn main



Aao un tuuti huy yadoon ko

Aaa kar joor doo

Ab tumari yaad ati hay

To kho jata houn main



Tu na rooooo

Tu na ro mere liye jan_e_ tamana

Tu na ro

Tere aansu dekh kar

Betaab ho jata houn main.


Posted 30 Apr 2009

good
Posted 04 May 2009

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Buhat Khoob jee....!

Posted 05 May 2009

Fairl_Girl says
Little Vampire said:

good

thx u
Posted 04 Jun 2009

Fairl_Girl says
sun_shine said:

Assalam O Alaikum

*Buhat Khoob jee....!

thxxxxxxxxx ss
Posted 04 Jun 2009

Fairl_Girl says

Surkh Ghulab k Sarey Mausam Tere Naam
Her Subah ka pehla Ujaala Tere Naam

Teri Yaad ka behta Darya Mere lye
Behti Jheel mai Phool Kanwal ka Tere Naam

Jitne Khawab Khuda ne Mere Naam likhe
Un Khawabon ka Resha Resha Tere Naam

Tere bina jo Umar Beeti Beet gayi
Ab is Umar ka baqi Hissa Tere Naam
Posted 04 Jun 2009

Fairl_Girl says


Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa sa

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka


bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Posted 04 Jun 2009

Fairl_Girl says


Ye sheshe ye sapne ye rishte ye dhage
       Kisse kya khabar hai kahan toot jayen

        Mohabbat ke darya main tinke wafa ke

        Na jaane yeh kis morr per doob jayen



        Ajab Dil ki basti ajab Dil ki vaadi

       Her ek morr mausam nayi Khushiyon ka

       Lagaye hain humne bhi sapno ke podde

        Magar kya bharosa yahan baarishon ka



        Muradon ki manzil ke sapno main khoye

        Mohabbat ki raahon pe hum chal parhe the

        Zara door chal ke jab Aankhein khuli to

            Karri dhoop main hum akele kharre the



              Jinhein Dil se Chaha jinhein Dil se pooja

             Nazar arahe hain woh hi ajnabi se

            Rivayat hai shayad yeh sadiyon purani

                Shikayat nahi hai koi Zindagi sse
Posted 04 Jun 2009

Fairl_Girl says

AJEEB SHAKS THA
AJEEB SHAKS THA HR IK SAY PAYAR MANGTA THAJAHAN NA AISA DARD HO AISA DIAYAR MANGTA THA JO MANGTA THA WO MERI BISAAT NA THIWO MERI ROOH KA MUJH SAY QARAR MANGTA THA USAY GARZ THI GULOON SAY NA BULBLOON SAY ZARAWO FASL-E-RANJ MAIN FASL-E-BAHAR MANGTA THA
USAY TALB THI KOI TOOT KR USAY CHAHAYWO HAATH JOOR KR ULFAT HAZAR MANGTA THA USAY AZIZ THA DUNIA KA HR BULAND MUQAAMWO SHAKS APNAY LIYE OOJ-E-DAAR MANGTA THA MARAY KHALOOS PY SHAK THA USAY SHEHZADWAFA KI RAH MAIN WO AITBAR MANGTA THA
Posted 04 Jun 2009

Fairl_Girl says
ab peotry sec mai koi nahi ata lagta hai
Posted 21 Jun 2009

Fairl_Girl says
kahan gye sab yar
Posted 21 Jun 2009

lildude says
Posted 21 Jun 2009

Fairl_Girl says
hi
Posted 22 Jun 2009

lildude says
hello how r u?
Posted 22 Jun 2009

Reply to Topic