Marriage between Muslims and Non-Muslims

4216 views 68 replies
Reply to Topic
stariz

Age: 124
Total Posts: 2264
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Bis'Millah'ir Rahman'ir Raheem
(In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful)


Before a Muslim man steps into an inter-faith marriage, there are numerous issues that he must understand himself and discuss with his non-Muslim wife-to-be. Some issues are:

COMMUNITY AND SOCIAL ISSUES TO CONSIDER FOR AN INTER-FAITH MARRIAGE : Here I will discuss the issues considering social and practical implications that can generally affect an inter-faith marriage. These issues will include religious compatibility, relationships with non-Muslim relatives, friendships circle, religious celebrations, food, social gatherings, acceptable dress code, cultural awareness and religious tolerance, charity, volunteer activities.

Before a Muslim man steps into an inter-faith marriage, there are numerous issues that he must understand himself and discuss with his non-Muslim wife-to-be.



RELIGIOUS COMPATIBILITY : Given the western environment so resentful and inconsiderate toward Islam, its always better to have peace in the "home." The family life will be much worry-free and harmonious if both spouses belong to the same religion and agree on same theology esp. if cultural differences also exist. Islam allows marriage to a Christian or Jew woman, but only under certain conditions. As described earlier in the first portion, the inter-faith marriages are permissible only in an Islamic society.

It is always better to introduce the woman to Islam and encourage her to become Muslima BEFORE marrying her. It will allow the woman to realize if she can take Islam as her religion and raise kids as Muslims; or if she has any innate notions against Islam or unwillingness to follow Islamic way of life. Most probably it will become self-evident to the man that what type family life can he expect from her as a wife.



RELATIVES & FRIENDS AND THEIR INFLUENCE : Certain situations when dealing with non-Muslim relatives and friends may occur and can lead to unanticipated misunderstandings.



Non-halaal Items :
A non-Muslim woman is not bounded by Islamic values regarding dressing up, mixed parties, eating non-halaal foods and consuming alcohol. She MAY avoid all such items voluntarily to make family life pleasant or as a goodwill gesture to please her Muslim husband, if he doesn't like them. Otherwise, she is under no obligation to avoid what is allowed to her by her religion.

By getting married to a non-Muslim woman, the husband should realize that he has already agreed to her being a non-Muslima and should not expect a woman to behave like Muslima if she is not one.

A Muslim should expect that the family will be invited to certain parties and dinner where all non-halaal items may be served. He may want to shun away from enjoying all the non-Islamic items, but the non-Muslim wife may want to consume them.

Personally I don't like participating in meals where Non-Muslim relatives and family friends offer prayers in the names other than Allah at their dinner tables and show no consideration for other people. It will be difficult to make kids not to eat certain non-halaal items while the non-Muslim mother enjoys them. Again, it is upon the woman's discretion to avoid all or some of the non-permissible items in Islam.



Non-Muslim Celebrations :
Often the problems with non-Muslim relatives arise with the birth of a baby. Most christian grand-parents attempt to test the waters by giving the new-borns baptism or celebrate other religious ceremonies. In that event, unless the non-Muslim wife makes sure her side of family understands her husband's reservations about such celebrations, the situation may get tense at such a joyful occasion and may leave bitter memories.

Grandparents and other relatives may also want to celebrate (religiously) Christmas and, above all, Good Friday- a true christian holiday commemorating the Friday of so-called Jesus's death on the cross and his rising from the dead on Sunday.

Non-Muslims friends will also invite the family on their religious events and the non-Muslim wife may want to participate and take the kids with her to such celebrations and festivities. At such instances, it may be difficult to participate in their ceremonies and esp. in telling the kids what not eat and whom not to pray to.


..... Continueeee... http://www.islaminme.cjb.net
Posted 06 Feb 2005

khansak says
Respected Members
ÇáÓáÇã Úáíßã
I have gone thru all the above discussions. For all muslims, it is clearly mentioned in the Holy Quran that who can marry with whom and being a muslim nobody should have absolutely no argument against ALLAH's words. One thing to be clarified here that a muslim man can marry with a non-muslim women who belongs to the religion on which ALLAH Almighty revealed a book such as Bible, Torait and Zaboor. Christians and Jews women only. In my opinion the followers of Zaboor are no more exist. All other non-muslim women are not permissible.
æÇááå ÇÚáã ÈÇáÕæÇÈ
Posted 09 Feb 2005

Badal says
SALL said:

VV CLEAR.... no question

but u may try to come out of THEORY
face the real life,,,,,,

meri baatein aap ko BURI or ajeeb shayad iss liye lag rahi hein coz im talking abt ppl i meet every day,,
the way they modified islam laws for their own comfort

aur aap ko shayad yeh lag raha hai k im criticizing ISLAM
im only criticizing MUSLIMS here
and if sometimes i say IM UNABLE TO GET THIS
it means k jo ho raha hai woh meri samajh se bahir hai coz karne waale khud ko islamic laws k mutabik sahi kehte hein



Tu janab, main nay reality ko accept karnay say kab inkaar kia hai? Aur na hi har Muslim truly Islam ko obey karta hai. Aap shaid bhool gaeen aap nay Islam ko criticize kia Muslims ko nahi, should I quute you again
SALL said:

hmmmm...

im sorry but beshak Islam sirf mard ko non muslim se shadi ki permission deta hai aur aurat ko nahi
im unable to understand it

aik taraf it s said "marry a religious and pious woman coz ussi ne tumhare bachon (and next generation) ki parwarish karni hai
aur doosri taraf "a man is responsible how to lead his family"

it sounds sooooooo *****************
confusing


Yaad aya kuch? Yahaan aap nay yahi kaha hai na kay “islam mard ko ijazat deta hai” which you were unable to understand, not the way Muslims, today, are using this permission. Aap apna likha tu nahi badal sakti hain. Aur discussion ka topic bhi obviously aik Islamic Rule aur us ka tareeka hi tha, not Muslims main kia ho raha hai.
Aur jahaan tak is baat ka talluk hai kay Muslims sahi tarah Islam ko obey nahi rahay tu, tu is ka yeh matlab nahi kay koi bura kaam mamool ba jaey tu isay “Jaiz” bana dya jaiey, you can understand it very well. Everyone is responsible for his deeds and he will be asked about that all, the maximum we can do is to show them the right way as all Prophets did.

SALL said:

aur waise bhi,,, if i dont understand something in my religion,, am i not allowed to ask and understand Y ??
or ud prefer me to live like millions of ppl who call theirselves "muslims" but r following "religion of their fathers"
i hope u get wot i want to say



yeh understand karnay wali baat ka tu main pehlay bhi jawab de chuka hoon, aur kahoon ga agar hum sab log apna IMAN durust kar lain tu aksar batain humain samajhnay ki zaroorat hi mehssos nahi hogi. It is not disallowed to ask or to understand, but if something gets confusing then it is always better to avoid it, takay humara IMAN weak na ho. We cannot understand Allah, not the Devil, but cannot say they don’t exist, we can see their signs to make us believe. Aur jab hum Allah par IMAN le hi aey hain tu yeh tasleem karnay say kia cheez rokti hai kay jo Allah kehta hai theek kehta hai, aur wohi humaray liye behtar hai.

Aur yeh jo baat aap ne ki hai kay “muslims” who are following “religion of their fathers”, tu yeh incomplete si baat ki hai aap nay. If I am not wrong (if so, correct me) you mean the Muslims following the religions blindly on which they found their fathers and simply do not want to think over it. If you are talking about just Muslims then “religion of their father” would mean “religious sects which are present in Muslim society and adopted by their parents”. It is absolutely correct, most of us are doing what you said. The reason behind it “different schools of thought” or “different opinions”, caused by certain Ahaadees picked up by one sect and some by other. One thing to remember they differ in “Aamaal” not “Aitakadat”. All of them has the same “beliefs”. And again you got an irrelevant point here, because there is no conflict or even a second opinion about “Inter-faith Marriages in Islam”. So what are you talking about? Surely, as far as strictly following father’s religion is concerned, you are right that is should not be the case.
Posted 09 Feb 2005

Badal says
SALL said:


hmmmm..
aap ne meri harrr baat ko galt samajhne ki kasam khai hai kya,,, ya phir i look horrible while laffing


EXPLANATION of my rediculous answer :
mujhe stariz ki baat ka matlab yeh samajh aaya k
muslim ka imaan bohot mazboot hona chaiye,, Khuda aur Rasool before parents, wife, children and family
means,,, agar muslim mard ki wife non muslim hai to usse apne imaan ko sab se zyada importance dete hue apne bachon ko muslim banana chaiye
RITE ??? (stop me stariz if im wrong)

and my rediculous answer was
kya itnaa hi mazboot imaan kissi aurat ka nahi ho sakta kya ??
k woh apne husband se zyada importance iss baat ko de k uss k bache muslim banein

aaya samajh



main ne aap ki kisi baat ko ghalat samajhnay ki kassam nahi khae, laikin main aap ki kisi ghalat baat ko sahi tasleem nahi kar sakta. Aur may be aap hansti hui buhat cute lagti hoon but I wish aap ki yeh muskurahat apnay mazhab ko sacha mazhab prove karnay par ho na kay us par tankeed karnay aur mazak uranay par. See your comments “coz it s a serious discussion aur meri hansi nikal jae gi”.
I am sorry main aap almost har baat ko ghalat keh deta hoon, and this time aap ne phir ghalat kaha. Main nay last message main likha tha IMAN kay baray main, I must say agar jis aurat ka IMAN itna mazboot hoga tu wo tu waisay hi non muslim mard kay kareeb nahi jaeygi usay mana jo kar dya gya hai, aur phir bhi jaeygi tu uska IMAN raha kahaan aur IMAN hi nahi raha tu bachay muslim kia banaeygi.
Aik aur baat bataon shaid aap janti hoon, in all religions and strictly in our religion Islam, every child is ascribed to his father, not mother. Mother say wo bacha mansoob hota hai jo “Jaiz” nahi hota. It is a strict rule of Islam (and other religions too) you cant change it too. Aap nay apnay Nabi ka itna lamba “Shajra e Nasab” parha hoga, wo fathers kis list hi hai na, mothers ki tu nahi? It is one of the reasons why men are allowed and women are not. Muslim man kisi non muslim woman say shad karta hai tu us kay bachay usi say mansoob ho kar Muslim kehlain ge, aur Islam aur khud evey woman yeh bardash nahi kar saktay kay unki aulad aik non muslim say mansoob ho kar non muslim kehlain. Allah ne mard ko aurat par foqiat our power (of course, within limits) di hai it is His decision, aur wo apni aulad ko apnay hi religion par chalaey ga whether he is muslim or non muslim. Can you tell me, Allah ne kisi aurat ko kabhi Prophet kyun nahi banaya?? (I am waiting).


SALL said:


hmmm,,
sorrryy,, i dont give u any rite to correct my voc
i always type in abbrev coz dont want to waste my time
if u want me to type PAKISTAN and not PAKI
then u better check alll my posts,, and correct all the words with wring orthograph and then comes ponctuation and the rst....... im sure u dont wanan do this
i always use ENG for ENGLISH,, no one ever corrected me



Sorry, you took it offensive to you, mera yeh matlab nahi tha. Main ne complete Pakistani kehnay ki waja nahi likhi thi is liye aap ko aisa laga, wo main bata deta hoon. Most non muslims (specially European) Pakistan say nafrat kay izhaar kay liye isay “Paki” kehtay hain, jo kisi bhi tarah theek nahi hai, you can deny this, but Pakistani Government nay bhi yeh lafz “Paki” ban kia hua hay(at least in Pakistan) kyunkay yeh unkay knowledge main bhi hai. I, myself, has a very bitter experience of that, isi liye mujh yeh acha nahi lagta. Aap meri baat ko request bhi samajh sakti theen, kyunkay main sirf PAKI correct karnay kaha tha, whole vocabulary nahi.


SALL said:


i dont think if the reson i gave was wrong
it s abs rite,, coz im living in a western country and i know quite a lot pakis and non muslims
so,,,, i think im RITE

yep,, most of muslim women r aware of their limits but it seems men r not
coz abhi aap ne kaha k perm sirf muslim society mei hai,,
aur yahannn,,,,,,,, hmmm
khair u ll say again OUT OF TOPIC

btw,, i personnaly know a gal whose non muslim collegue proposed her and he was ready to b converted (not for her only,, he had studies abt islma) but gals fam didnt allow her
now u ll say,,,, ONE CASE,, only ONE CASE
oh well,, case sirf hai hai par soch majority ki yehi hai
hmmmm,, out of topic again
hehehehhehee....



Let’s suppose the reason you gave was right. If you say you know better about the people in western countries because you live there, I (not you) have right to say that I know better about the peoples in Pakistan because I live there. So if in your country (not mine, I have right to say) the women are thinking so, tu phir “mahool ka asar” (your own quote) hi hai, jahaan fitnay ziada hoon gay waheen log aisa sochtay hain. And that is not a justification that a false thing should be correct.
Jahaan tak limits ki baat hai tu jitni limits aurat kay liye hain unti mard kay liye bhi hain both should be aware of that, if they are not, obviously they have to answer it one day. And you have no right to criticize a single sex (“it seems men are not”), try to keep the discussion a general one.
You saying “he was ready to b converted” points to the fact that he was only ready to do that he did not get converted. Sirf is liye kay wo us muslim woman say shadi nahi kar saka. Isi say hi pata chalta hai kay he was not sincere. Agar us nay islam ko study kia tha tu Muslim hua kyun nahi, wo tu ready tha na? aur ONE CASE say bhi tu pata chalta this thing is rare, not a major one. Its ridiculous to say jo kaam hua aik baar ( or lets say a few times) wo majority ki soch hai, pata nahi aap ko kia hogya hai.
And again note one thing, agar wo non muslim Muslim ho jata tu definitely wo muslim woman us say shadi kar sakti thi, is say inkaar kisi nay nahi kia, us kay parents nay ijazat nahi di yeh aur baat, aisa precaution kay tor par bhi kia ja sakta hai, ur jab us muslim woman nay apnay parents ki baat naami hai tu aap ko kia aitaraz hai? Laikin agar koi non muslim ISLAM kabool karta hai (and want to marry a muslim) tu ISLAM ne sirf itni shart rakhi hai kay yeh achi tarah confirm kia jaey kay wo wakae shok say muslim hua hai aur Islamic rules ko obey karta hai like prayers, fast etc. It requires some time, waisay koi harj bhi nahi agar shadi kuch late bhi ho jaey, kia khyal hai? Am I wrong?

Ok, for now Allah Hafiz.
Posted 09 Feb 2005

Badal says
Assalam o Alaikum,

SALL said:


hmmmmmmmmmm,,,
u r rite abt yahan couples aur families bohot jald toot jati hein,,, par this is not the case with everyone believe me,,
yahan bohot si ACHI fam abhi bhi hein exactly like in pak

ehemm,, jahan tak paki fam ki baat hai to,, u r rite
they prefer to kill (sometimes litteraly) than leave
khekehekheekhekeekee..
(oupss,, sorry that was a joke,,, ignore it)



I know this is not the case with everyone, aur khushi bhi hai kay wahaan aisi families bhi hain. But, sincerely, aisa joke acha nahi. Yahaan marnay ki zaroorat nahi parti, yahaan aurat separation (divorce, tallak) kay khof say mar sakti hai, as you know divorce un “jaiz” kamoon main say aik hai jo Allah ko intahai napassand hain, “khekehekheekhekeekee.. (oupss,, sorry that was a joke,,, ignore it)” afsoos tu mujhay ho raha aap ki is khekhe say. Mujhay shak honay laga hai aap par.

SALL said:


ya Khuda,,
aap koi univ prof ho kya,, who s correcting my examination paper ??

for ur kind information me ne parha hi hai,, sirf typing karne mei i didnt choose rite words
Allah ka shukar hai me ne Quran pak parha hua hai,, with translation,, and now im try to read and UNDERSTAND it tafseer too
but as i already said mujhe sab kuch hifz nahi hai,,, me silly thing



I just maloom hi nahi yaqeen hai aap nay zaroor parha hoga. Main nay purposely likha tha kay par lain, matlab yeh tha is baat ko is tarah “laughings” main na ura dain.

SALL said:


aap ko Masha Allah bohot zyada knowledge hai,, can u plz tell me Ehl e Kitaab kaun log hein ??
aur Allah ki kitabein kitni hein aur yeh bhi k unn mei se kitni ka zikr Quran pak mei aaya hai ????
(waiting for ur answer)

dil pe kiss k mohr hai yeh to koi nahi janta
han dil pe mohr kyun aur kab lagti hai yeh baat samajhne ki hai,, but im sure u know better than me

hmmm,, at the end,, thnx again for ur posts
may i ask u one question,, just one plz
aap ki arrogance ka reason aap ki knowledge hai ya phir it s ur nature ??



Main ne nahi kaha kay mujhay buhat knowledge hai, aur na mera koi aisa khyal khyal hai. Na hi main kabhi relegious studies ka student raha hoon, I am just an electrical engineering student. So I am not going to answer your questions to prove that I have much knowledge.

Dil par kin kay mohr lagi hai exactly tu koi nahi janta, par yeh tu aap janti hoon gi aisay logoon kay “Ausaaf” tu Allah nay khud Quran main bayan kar diye hain, isn’t it?

Now see mere knowledge ka yeh haal hai kay “arrogance” ka matlab mujhay dictionary se dekhna para hai. But I am not arrogant, main tu Allah ka aik humble sa banda hoon.

God bless you.
Allah Hafiz.
Posted 09 Feb 2005

Badal says
Assalam o Alaikum,

SALL said:


misleading
i only want ppl to ask few questions to themselves
and stop being LEADED by few ppl instead of Quran

waise bhi i ve HEARD muslim ka imaan bohot mazboot hota hai,, how can they b misssssleaaded



SALL, I am sorry, you are again wrong here. Questions ki hud tak tu theek hai, zaroor karain. Allah nay kuch logoon ko humara leader banaya hai, aur humain unki lead main hi jana chahiye. Arey humaray Rasool kon thay, kia wo humaray leader nahi thay? Kia unhoon nay apnay “Khulafa” nahi banay, kia wo humaray leader nahi thay, aur kia har koi khud soch kar even Quran main guidance le sakta hai? Absolutely not, because Rasool isi liye hi tu thay kay humain guide and lead karain. Yeh baat main pehlay bhi keh chukka hoon agar aisa hota tu Allah ko itnay Ambia bhejnay ki zaroorat nahi thi, just aik “Book” hi kafi thi. Kia humaray nabi ne nahi kaha tha kay agar koi “Hubshi Ghulam” bhi tumhara “Imaam” bana dia jaey tu uski bhi “ITAAT” karna? Aap tu Quran main say yeh nahi dhoond sakti hain kay namaz ka tareeka kia hai. Haan yeh sahi hai kay wrong persons ki lead nahi honi chahiye. Waisay ab tu khilafat ka system nahi raha.

Yeh bhi main nay likha tha kay IMAN and ISLAM are two separate things, shaid aap ne parha nahi. IMAN dil aur dimagh ki halat hai, jab kay ISLAM jisam ki. Quan main bhi aisay logoon ka zikar hai Muslim tu hain par Moumin nahi. Because wo Islam kay rules ko obey kartay hain chahay maksad job hi ho, un ka mamla Allah ka supurd hai. Isi tarah yeh bhi zaroori nahi har Muslim ka IMAN buhat mazboot ho, yeh aap achi tarah janti hain kay IMAN bhi har kisi ka aik jaisa nahi hota aur IMAN kay kae levels hain. So jis ka IMAN kamzoor hai wo mislead kyun nahi ho sakta? Specially new Muslims, un kay baray main aap kia kahain gi? Humaray Nabi apnay zamany main new Muslims ko special incentives dya kartay thay, you know that, waja sirf yahi thi kay unka IMAN aur mazboot ho jaey.

I hope aap ko samajh aa gae hogi, after all, you are not “so stupid”. Aur is kay baad agar aap thora muskura dain, ya beshak hans dain, mujhay koi aitaraz nahi hoga, infact khushi hogi.
Posted 09 Feb 2005

Ashii says
im still a bit sleepy
will post here after 1 litre strong café



thnx for ur posts
Posted 09 Feb 2005

Ashii says
Han jiiii,, hum ne nashta kar liya hai,, balke lunch bhi aur ab aankhein khuli hein,,, back to our topic


First of all,,, i mite have said something wrong inatentionaly,, may Allah forgive me for that,,,,, but mujhe dil se pata hai that i was not criticizing Islam or Quran pak
Yep u r rite i said im unable to understand that y only a muslim man can marry a non muslim, and i ll say it again…….. unless someone doesnt repeat this HALF TRUTH

Before ur posts i realy didnt know that there r some conditions,,, aur yeh law foreign (non muslim contries) mei rehne waalon pe apply nahi hota….. coz zahir si baat hai me ne aaj tak aise couples sirf aur sirfff western contries mei dekhe hein,,, i neverrr ever met or even heard abt such couple in pak,,,, (converted woman k saath shadi alag baat hai)

Aur han aap ne kaha k non muslims r equally treated in our country,,, NAHHH AND AGAIN NAHH… Islam tells us to treat them equally but this is not the case in our society……. Yeh alag baat hai k western contries mei aa k inhi k ham-mazhab logon k saamne hum log complex ka shikar ho jate hein,, wellll topic se door nahi jana chaiye,, so leave this matter here.


So hum baat kar rahe the muslim/non muslim shadi ki
Listen dear,,,, hum logon ko bachpan se jab bhi koi « achi » baat sikhai jati hai ya « buri » baat se roka jata hai to yehi kaha jata hai k DONT DO THIS or DO THIS coz Quran pak mei aisa hai,, hamara mazhab yehi sikhata hai,,, and honestly majority ki tarha i never tried to search myself k mujhe jo bataya ja raha hai wakai aisa hai ya phir sirf apni baat manvane ka tareeka hai yeh……… abhi bhi aap ne agar kissi ko sach sabit karna ho to just say k Quran pak mei likha hai and there will b no objection..   (the biggest example these days is abt JIHAD,,, how ppl r missusing this holy concept it s infront of u)
or one more example,, few weeks ago one of our jb friend posted something abt ISLAM,, a vv long chapter,, ppl posted comments ‘sach hai’ ‘masha Allah’ ‘subhan Allah’    only one of a member read it and we discovered that it was something AGAINST ISLAM… sirf iss liye k uss long essay ka title ISLAM tha,, everyone thought yeh jo bhi hoga sach hoga

I hope aap samajh rahe ho k me kya kehna chah rahi hu,,,   
miss leading shayad isse kaha jata hai,,,,,
(dont worry ill b back to our topic J)
yeh hai FIRST reason

now the 2nd one
have u ever been told that ADHA SACH jhoot se zyada khatarnak hota hai
when someone say « only muslim man can marry a non muslim woman (FULL STOP) » to yeh baat bilkulllll sach hai,, par meri samajh se bahir iss liye hai coz yeh sach poora nahi hai,,,
iss sentence k baad fulll stop ho hi nahi sakta, unless there s a whole paragraph abt the conditions,,,   exactly like when we say « mard ko 4 shadi ki ijazat hai yeh Quran pak mei likha hai »    i agree,,,, par uss ayat k foran baad ki ayat kya hein ???
kitne log iss baat ka dehan rakhte hein ???

im not talking against islamic laws,,, coz something that i learnt with my pers exp is « in Islam where there s a question there s always a satisfying answer »
ho sakta hai mera baat karne ka tareeka galt ho,,,
aisa bhi hai k being a woman im objecting men’s rights,, iss liye baat obviously zyada buri lage gi
aur yeh bhi k for some strange reasons asking questions seems to b banned

Y ????????????


Questions se to wohi darte hein na jinn k paas answers nahi hote,,, Islam mei majority baton ka clear answer hai,,, but just coz hamare batane walon ki apni knowledge bohot limited hai aur iss baat ko maan lena unn ki shaan k khilaf hai, shayad issl iye sawal karna hi mana kar diya gaya

I know ab aap kaho ge « agar sab log apna imaan durust kar lein to…………….. »
Imaan hota kya hai yar,,, woh jo humein bachpan se ghol k pila diya jata hai ??
Im sorry agar imaan yeh hota hai to mera iman shayad wakai durust nahi hai….
Aur confuse me iss liye hoti hu k jhoot ya adha sach can never satify me.
Allah, uss k Rasool aur Quran pak k ehkaam maan lene mei mujhe koi objection nahi hai,,, but im sorry yeh ehkaam humein jinn hathon se guzar k aur jiss tareeke se milte hein sometimes i really have doubts.


Well,,,, religion of our fathers doesnt really mean sects
coz (coming back to our topic) as u said all muslim sects beilieve in marriage btween muslim man and non muslim woman,,, and im sure they also beleive in same conditions u told me…….     
Look around u,,, or i must say lemme look around me (coz i know more ppl who married non muslims woman)   none of them respected these conditions
THIS IS RELIGION OF MY FATHER
and iss sab ka reason different school of thoughts or different opinions nahi hai,,,
simple reason hai I DONT WANNA KNOW MORE,, coz im happy with it
(errrghhhhh,,, yar mera dimag thora ghoom raha hai,,, if i say something out of topic or something vv stupid,, just ignore it)



hmmmm,, once again… me apne mazhab ko sacha sabit karna chahti hu par pb yeh hai k aisa karne se mere hum-mazhab log jhoote ho ja’ain ge,, and im sure jhooota banne mei kissi ko koi eitraz nahi par jhoot kehelwana koi pasand nahi karta
aur hansi to mujhe aati hai na yarrr,,,,   me kya karuuu…    all these wooden brains and stonned hearts,, i cant control myself



areyy yar,,, i didnt object mard aur aurat ka darja here… i recently posted a topic abt this,, and a jb member (someoen i raelly respect a lot) explain it vv clearly,,, u may check that topic in « serious topics »
i ll only add one thing,,,, u said Islam mei koi aurat prophet kyun nahi hai,,,
i dont know the real resons,, par meri akal jitna kaam karti hai us k mutabik....   
agar in 21st century aurat ko apna aap manvana bohot jaga pe impossible bana diya jata hai,, im not talking abt equal rights or anything like that,, im talking abt woman rights in Islam…    
to woh zamana jisse « zamana e jahliyat » kaha jata tha, wot wd u expct from these ppl……… The way they treated male prophets, a female prophet k liye yakeenan sab impossible hota… hmmm,, uss zamane k log aik mard prophet ki baat pe yakeen kar k iman to la sakte the,, par agar koi aurat prophet hoti to i really doubt k uss ki baat sunna bhi gawara ki hoti kissi ne J

one more reason is the way a woman thinks,,, being a woman i know vvv well k me sochne liye beshak apna dimag istmal karu par faisla dil ka hi hota hai,,, it s not wrong, i ve been made like that and im proud of it………   
me ne to yahan tak parha hai k jiss mard mei aurat ki qualities hon (obviously +ive thoughts) woh wali ullah hota hai,,,   khair iss baat ko samajhna zaroori hai dont start pinching this sentence’s each letter..   aur yeh to aap ne bhi suna aur parha hoga k Allah miyan apne bandon se 70 mothers jitna pyar karte hein,,,
theek hai k kissi aurat ko prophet nahi banaya gaya,,, par kya fark parta hai ??
hamare prophet k khandan ka naam unn ki beti k naam se masoob kiya jata hai (as u shd know,, Syed <-- hazrat Syeda Fatima)

hmmm,, aik cheez jo sochne layak hai,,, no one know the exact number of prophets,, it s said to b approximately 124000… no one know their names,,, sirf kuch ka zikr Quran pak aur ahadees mei hai,,,,,, who knows unn mei koi aurat ho…………… par ummmm.. ho sakta hai kuch galt keh rahi hu me
(aur han same with Holy books,,, ask some scholar, they ll tell ya there r not only 4 books,,, zyada hein,, only 6 ka zikr Quran pak mei hai)
yeh baat to bohot lambi ho jae gi… so lemme finish it, Im quite satisfied of woman status in islam but not in Islamic world
(and in the rest of world)

khair leave it,,,   id say man and woman r 2 major elements of this world/life… notihng can work properly without a perfect harmony between them……….   dono ka apna apna status hai,,, koi kam zyada nahi,,, jahan mard k rites kuch zyada hein wahan uss ki repsonsibilities bhi obviously zyada hein,,,, we are DIFFERENT,, and that s it



areyyy yar,,, jo case me ne aap se share kiya hai,,, i stopped there coz uss k baad mujhe nahi pata wot happend to that guy… Shayad aap ko galt samajh i,, i said that guy studied Islam balke yeh kehna chaiye k woh kafi arse se islam k baare mei parh raha tha,, and as uss ne convert hone ka soch liya tha to he decided to marry a muslim gal jo uss ki futur life mei help bhi kar sake,,, aur ittefak se samne i meri friend,,,, it was nothing like uss larki k liye muslim hona chah raha tha..
well,,,,,,, bakaida reserch kar k aur parh aur samajh k islam kubool karne waale log wakai rare hein,, simple reason shayd yeh hai k WE muslims no more reflect the image we shd have….   ppl are afraid of us,,
u know y ??
just coz of this misinterpreting…… Abhi aap kissi non muslim ko ja k kaho k islam mei sirf mard ko 4 shadi ki ijazat hai aur sirfff mard non muslim se shadi kar sakta hai, without telling him the conditions,,,    
u shd not b surprised of his reaction..



DIVORCE………………
hmmm,, u r rite,,, jaiz kaamon mei se sabbbb se na-pasandeeda kaam
but wot wd u say abt those who force a woman to ask for a divorce,,, matlab k aisi conditions paida kar di ja’ain,,, aise halaat paida kar diye ja’ain,,,    
i personnaly know a lot of woman who spent a ‘hell like life’ but they didnt dare to ask for divorce, 2 of them tried to suscide,,,, oh yeh jo k napasandeeda nahi HARAM hai…… yani k aik napasandeda kaam se rokne liye ap kissi ko haram karne pe majboor kar do....

ab aap shayad himmat aur khuda ki zaat pe umeed pe koi lecture do ge,,, but it s easy to say.. believe me unn do galz k imaan k baare mei i dont have any doubt,, they both are 1000 times better than me.. so can u imagine unn logon k halat kya honge ??
Im sure agar woh divorce le k kissi aur se shadi kar leti or apni prof life pe dehan deti to aaj yakeenan zyada khush hoti
han par divorcee se kaun shadi karta hai,,,,, WE MUSLIMS jo sunnah ko bohot ache se follow karte hein sirf yeh bhool jate hein that Prophet himself married divocees and widows…………………
(dont take me wrong,,, im not saying k divorce achi cheez hai,, just trying to make u face the reaslity)
errghhhhhhhhhhhh…   out of topicccccccc.





Uffffffffff….
kya naaaaaaaaaa.. aap harrr aik baat ko ulta samajh lete ho
did i say something against Quran pak or Prophets ???
im talking abt those jo khud kuch nahi jante aur leaders ban bethte hein…..   woh log jo misguide karte hein
just have a look at this world,, have a look at our country,,, muslim coutry hai na,,, Allah aur Rusool ko maane waale hein na,,, to phir yeh halat kyun hein hamare ??
it s simple…..
hum log islamic laws ko mante hein,,, Quran aur Hadees ko bhi mante hein,,, par kissi bhi Quranic ayat ya hadees mei apni marzi se kahin bhi ‘Full Stop’ laga dete hein……    hum sirfff utna sach bolte aur mante hein jitna humein faida de,, jahan se apne upper koi aanch aane lage wahin FULLLLLL STOP.


hmmmm..
i tried to b quite clear,,, par meri pb yeh hai k since something is clear in my mind it s obvious for me k agle bande ko bhi yeh baat samajh aa jae… i know it s silly par basss aisa hi hai


ab shukar yeh masla to hal hua…….   
THNX A LOT (aur yeh me wakai sache dil se keh rahi hu) that u made it clear to me, jo conditions aap ne batai unn k baad objection ki koi gunjaish nahi rehti…   

hmmm, par aik masla hai
few ppl wont like me telling them these restrictions,, hahahahahhahahaaa… hehehehehee,,,
Obviously some guyz


Allah Hafiz
Posted 09 Feb 2005

Ashii says
oupsss..
kuch zyada hi bol diya
Posted 09 Feb 2005

Badal says
Assalam o Alaikum,

Aap itna long answer dya, laikin buhat acha hai. shaid kuch batain main sahi tarah samjha nahi saka, itni abilities hain bhi nahi mujh main, bas thora sa kuch kehna chahoonga.

Jahaan tak half truth ki baat hai tu it is a fact, buhat say log yahi kartay hain aaj kal, kyunkay desires jo beech main aa jati hain. Laikin ISLAM net u half truth nahi bataya na, is main ISLAM ka kia kasoor? Aur agar aisa lagay kay kuch wrong hai kisi baat main pehlay khud kisi trusted source say dekh lena chahiye koi bhi comment dene say pehlay. I think no need to explain any more, you know it very well.

Iman humain ghol kar pila dya jata hai bachpan say hi, that is the point, I agree. Yahi waja hai muslim ka bacha muslim ban jata hai aur non muslim ka non muslim. Laikin Allah nay akal di hai, aur sahi rasta dikhanay kay liye Rasool bjejey, right? tu in donoon ko use kar kay durust rasta dhonda ja sakta hai ya nahi? Aik supreme power ka na hona tu zehan bhi tasleem nahi karta aur yaheen say IMAN shuru hota hai, if I am wrong correct me. Usi supreme power ki sahi pehchan karwanay kay lye prophets aey thay. Again insaan kay pass itni samajh hoti hai isay kabool karay. Insaan ki nature sachai aur neki par hai burai par nahi. Aap zaroor sochain, samjhain, apnay creator kay baray main, ambia kay baray main, mazahib kay baray main, aap ko hi nahi sabhi ko aazadi hai, but eventually will find kay Allah do exists, Islam hi us ka mazhab hai jo tamam ambia le kar aey, aur humaray rasool Hazrat Muhammad (peace be upon him) hi Allah kay aakhri nabi hain. Yahaan IMAN complete hota hai jab aap nay Allah, uski qualities, aur Rasool ko maan lya. ISLAM is kay baad shuru hota hai aur jo hai “farmanbardari”, “obeying” aur wo bhi koi choon charaan kiye baghair. Obviously kisi choon charan ki gunjaish rehti bhi nahi, because aap pehlay hi, yeh nizam e hayyat banay walay par IMAN la chukay hain. In a single line “IMAN lanay ka decion aap ka, aur rules (ISLAM) us kay jis par aap IMAN lain”.

ADHA SACH jhoot se zyada khatarnak hota hai, bilkul sahi hai, laikin pehlay keh chukka hoon kay kasoor adha sach bolnay waloon ka hai.

In Islam where there s a question there s always a satisfying answer, bilkul sahi hai, poori baat parhain aur samjhnay ki koshish bhi karain tu answer bhi mil jaeyga, aur I think aap ko mil bhi gya hoga. Confusion tu HALF truth ki waja say hi hui thin na?

Questions se to wohi darte hein na jinn k paas answers nahi hote, yeh bhi bilkul sahi hai, main bhi aap ki har baat ka jawab nahi de sakta, buhat say topics par aap ka knowledge mujh say ziada hoga. Laikin baat sochnay ki yeh hai kay aisay question paida kyun hotay hain. Isi liye kay pehlay tu yeh ka humara knowledge bhi aur understanding power donoon limted hain aur hum nay ISLAM ko sahi tarah study bhi nahi kya, apnay baray main bhi mera yahi khyal hai. Otherwise first tu Quran main, second Ahadees main, phir Sahaba Karam ki zindagi main, Ulema (not talkingabout today’s Ulemas) ki books main, kaheen na kaheen anwer zaroor mil jaeyga.

“but im sorry yeh ehkaam humein jinn hathon se guzar k aur jiss tareeke se milte hein sometimes i really have doubts”, jahaan tak Quran ki baat hai aap tu kia agar poori dunya ikathi mil kar yeh prove karna chahain kay Quran main koi change hui ha tu wo hargiz nahi kar sakain ge (most non muslims have tried to do that, but failed), aur janti bhi hain yeh ehkaam tu clearly Quran main mentioned hain, Quran kay taffuz ki responsibility Allah ne li hai, aur agar Quran kay baray main aap ka khyal aisa nahi hai tu aap yeh comment is topic par paste nahi kar akti hain. Jahaan tak Ahadees ki baat hai, tu ahadees ki bhi aisi book hai jin par shak ki koi gunjaish nahi hai. Haan, is kay bawajood bhi kuch differences zaroor hain logoon main, and definitely you have to take care in these case. Laikin is topic ki had tak tu aisa nahi hai na??

“i must say lemme look around me (coz i know more ppl who married non muslims woman)   none of them respected these conditions” , tu dear is main ISLAM ya mera kia kasoor hai jo aisa kar raha hai, wohi uska zimmadar hai, jawab bhi ussi ko he dena hai. Aur na hi un kay aisa karnay kuch ghalat kaam jaiz ho jaeyga.

“hmmmm,, once again… me apne mazhab ko sacha sabit karna chahti hu par pb yeh hai k aisa karne se mere hum-mazhab log jhoote ho ja’ain ge” jhootay hotay tu zaroor hoon humara mazhab tu sacha sabit hota hai, you should not care about that, neither I care.

Aurat prophet kyun nahi hui, jo answer aap ne dya kisi had tak theek hai, laikin aap ke answer say mere poochnay ka maksad poora ho gya, kyun aap tasleem karti hain kay aurat ko Allah na kamzoor banaya hai she cant withstand such situations, in the same how can you expect kay koi mumlim women kisi non muslim kay sath (specially non muslim socities main) reh kar usay ya apnay bachoon ko muslim bana sakay? Situation is infact the same.

“areyyy yar,,, jo case me ne aap se share kiya hai,,, i stopped there coz uss k baad mujhe nahi pata wot happend to that guy”, tu koi baat nahi main neb hi tu just suppose karnay kay baad kaha tha. Aur shaid aap ne sahi tarah parha nahi kay yeh bhi likha tha kay agar koi non muslim man muslim ho jaey tu ISLAM ko aur at least mujhay koi aitaraz nahi kay wo kisi muslim woman say shadi karay. Just uska true muslim hona zaroori hai, yaad aaa gya na? aur yeh mujhay bhi maloom hai aaj kal mumlims kay kaam aisay nahi jinhain dekh koi muslim ho jaey. Jo log muslim ho rahay hai wo ISLAM ki sachai ko jan kar hi ho rahay hain.

Aur yeh jo aap nay divorce par itna lamba lecture dia hai is say aap kia sabit karna chahti hain? Main nay kab kaha muslims buhat achay hain main nay sirf ISLAM ko defend kia hai. Divorce lena aurat ka haq hai, agar nahi dia ja raha tu main nay usay sahi kab kaha hai?

Aur “LEADERS” wali baat par bhi itna lamba “ufffff” aur phir lecture, halankay main nay apni baat main point out kia tha kon leaders hain, Quran, Nabi, unkay Sahaba aur Khulafa waghaira kia unhoon nay kaheen “FULL STOP” lagaya hai? Aur sath yeh bhi likha tha kay “Haan yeh sahi hai kay wrong persons ki lead nahi honi chahiye”. Yani jo full stop lagatay hain. To phir itni narazgi kyun??

“hmmmm..
i tried to b quite clear,,, par meri pb yeh hai k since something is clear in my mind it s obvious for me k agle bande ko bhi yeh baat samajh aa jae… i know it s silly par basss aisa hi hai” – yeh problem tu meri bhi hai jabhi tu itna kuch likha hai 2 dinoon main hi, but I don’t think its silly, its natural. Let’s see an example, aik Sahabi thay naam yaad nahi, Islam kay early days main hi wo muslim huay thay, aur jaisay hi unhoon nay Kalma parha tu foran uth kharay huay aur Kaaba main ja kar logoon ko bhi is sachai ki taraf bulanay lagay jis say Allah nay unhain nawaza tha, halakay humaray Nabi nay unhain nahi tha kay doosroon ko bhi Islam ki taraf bulao. He was severely beaten for that by the Kufars of Mekka, laikin wo us wakt tak khamosh nahi huay jab behosh nahi ho gaey.

-- “hmmm, par aik masla hai
few ppl wont like me telling them these restrictions,, hahahahahhahahaaa… hehehehehee,,,
Obviously some guyz” –

Is ka is kay ilawa aur kia kya ja sakta hay aap apna kaam karti rahain, I mean keep on telling them, aur baki Allah par chor dain. Waisay hehehe kar kay kisi ko batain gi tu phir tu koi bhi nahi sunay ga, manna tu door ki baat hai.

Aur shukrya to infact mujhay aap ka ada karna chahiye kay aap koi objection nahi ab, kyun kay kal mera sessional viva hai DSP ka .

ok thori si dua kar dijiayga mere liye.
Allah Hafiz.




Posted 09 Feb 2005

Ashii says
areyy areyy areyy
me ne kab kaha k Islam mei galati hai,, i said mujhe uss baat pe objection hai,, and i wasnt wrong coz baat adhoori thi
simple

han aap pe mujhe gussa tha coz in ur first posts u did sound like a "molana"
danda utha k maarne ko tayyar,, iss liye thori si confuuuujan ho gai



and dont mind my UFF and lectures,,, yeh jab meri battery over charge ho jati hai to yehi hota hai


khair thnx again,,,,,
i wont answer this post in detail coz i think ther isnt anything to clear now,,,
remember us in ur prayers too
Allah Hafiz
Posted 10 Feb 2005

Badal says
Thanks SALL, you do dare to accept, par mujhay really buhat afsoos hua hai, yahaan is forum par bhi perhaps most people samajhna chahtay hi nahi, they are here for "FUN" only. kisi ko samjhanay par mujhay abhi yeh sunna para hay ke "yahaan say chaltay bano", it is not fair, agar yeh forum bhi just "FUN" kay liye hai, tu i am sorry i think i should leave it, make these people happy, i am right naa??
Posted 10 Feb 2005

Ashii says


yeh to aisa hi hai,,,
bohot kam response milta hai serious topics pe
only vv few members answer in serious topics
pur now we have a new forum,, SERIOUS TALK
u may answer there or here in religion,, or few other topics in Freedom of speech

if someone said k 'chalte bano' to it s up to u,,,
open forum hai yar,,, u cant stop ppl from saying wot they want,, yahan kam se kam admins/mods khyal rakhte hein k baat limits se agay na jae

par khair,, im sure u ll find some interesting topics here,,, aaj kal mera idea stock khatam hua hai,, and im only posting silly things
y dont u start an interestng topic ???
Posted 10 Feb 2005

Badal says
Mera is forum par mazeed rehnay ka irada nahi hai ab. waisay main nay pehli baar koi forum join kia tha, aur iss forum ko is liye join kia tha mera khyal tha yahaan kuch reasonable log hoon gay, but this is not the case. baat sirf kisi aik kay yeh kehnay ki nahi thi kay "chaltay bano", yahaan to cencept hi yahi hai kay jio aur jeenay do jo meri samajh say bahi hai, and definitely this concept is against Islam. aur agar sahi hai tu is ka yeh matlab nahi kay kisi ko achi baat na batao ghalat baat say mat roko. laikin yahaan aisa hi hai. yahaan log so called "mazak masti" main apnay mazhab kay khilaf janay ko bhi theek samajhtay hain.
waisay aap say baat kar kay buhat acha laga, i wished kay sab aap jaisay hotay. rula dya hai in logoon nay, waisay aap hans rahi hain. hamesha hansti rahain.

Allah Hafiz
Posted 10 Feb 2005

stariz says
Salam

yaar Zeeshan aur Sall ap dono sahi ho
ma jawab daita per yaar meri life in dino itni disturb chal rahi hai ka ma apni life ka bara ma seriously nahi souch pa raha ho

yaha ata ho kuch zehan ka boujh halka karna ka liye

yaar plzz dua karna
2 lifes ha is ma
aur ma kisi ko hurt nahi karna chahta
na parents ko
na uska parents ko


Posted 10 Feb 2005

Badal says
Assalam o Alaikum,

RIZ bhai preshan na hoon Allah behtar karay ga, agar aap mujhay bata saktay hain kay baat kia hai tu shaid main aap koi help kar sakoon, you can tell me in private. adal main baat yeh nahi kay aap ko sabhi ko khush karna hay, aap ko sirf theek baat ka sath dena chahay is say koi naraz ho. agar Allah kay liye mujhay apnay parents ko naraz karna paray tu mujhay koi hesitation nahi honi chahiye. laikin baherhaal maan baap ka martaba ziada hai baki sab logoon say, aap ko maloom hoga kay islam main aisa hai kay agar maan apnay betay ko wife bhi chornay ko kehti hai (its an extreme case, sirf explanation kay liye) aur agar wo ghalat bhi hai magar wo islam say conflicted nahi hai tu hukam yahi hai kay maan ki baat maan li jaey. but that may not be your case. tu sirf Allah ki raza zrhan main rakhain logoon ki nahi. ok

Allah Hafiz.
Posted 10 Feb 2005

Ashii says
hein jiii,, ae ki hoya

areyy aisi kya baat ho gai,,,
humein rulane ki himmat to hui nahi kabhi kissi mei,, aap k saath aisa kya hua ??
kiss ne kuch keh diya
just name him/her




stariz aap ab munnu pappu banne ki koshish na karo
dono ko aisi discussion mei phansa k khud nikal liye araam se
dua hum aik shart pe karein ge,,
aap aik deig pohoncha dein hamare aastane pe
Posted 10 Feb 2005

Badal says
naam lenay ki koi zaroorat nahi hai, ghalati meri hi thi jo main samjhanay beth gya, bhool gya tha kay yahaan mazhab bhi "mazak" main mazak hi hota hai. bulkay ab tu mujhay aisa lagnay laga hai kay agar aap bhi wo parh lain tu mujhay hi ghalat kahain gi, waisay wo mera "introductory" topic tha, you can read it here, laikin jis baat par main nay correct karnay ki koshish ki thi, kuch wasi hi batain main ne aap ki bhi parhi hain, iss liye koi faida nahi, aap kay liye bhi mazak main mazhab mazak hi hai. yahaan kisi say kuch bhi expect kia ja sakta hai.
Posted 10 Feb 2005

Ashii says


well me ne poora topic check nahi kiya
but,,,,, listen dear
jab tak aap kissi ko thora bohot jante nahi, usse samjhane ka koi faida nahi hai,,, coz aap dono aik doosre ki baat ka kuch ka kuch matlab nikaal lo ge
im not saying k aap galt ho,, but hansi mazak karna gunah nahi hai

waise mazhab ko invole kar k kiss ne mazak kiya ??
mujhe samajh nahi i ??
if u r refering to my prev posts, where i was laffing... im sorry but samajhne mei galti ap ko hui, i explained u clearly,, it cld b the case with these other ppl



jab mujhe koi baat galt ya buri lagti hai to,, i often post a new topic (without naming anyone) jsut to know how ppl think abt it...
aur kabhi kabhi mujhe wakai pata chalta hai k mujhe samajhne mei galti hui thi,, yep par hamesha aisa nahi bhi hota

im sure aap ki niyyat theek hai,, to phir aap kyun bhaag rahe ho JB chor k
bhagte to woh hein jinhein lage k woh galt hein
Posted 10 Feb 2005

Badal says
jahaan tak samjhanay ka talluk hai na, tu aap ki baat ghalat hai, sahi baat har kisi ko batani chahiye chahay aap jantay hain ya nahi, aur chahay wo non muslim hi kyun na ho, yahi hamaray mazhab main hukam hai, aur hidayat dene wala tu Allah hai, wo jisay chahay de jisay chahay na de, magar deta usay hi hai jo lena bhi chahay, aur yahaan koi lenay nahi aaya.

mazhab ko invole kar kay mazak kisi nay nahi kia, kehnay ka matlab yeh tha kay jo baat mazhab main bhi aur ikhlaqi tor bhi ghalat hai tu wo mazak main bhi kehna ghalat hai, mazak karnay aur fun kay achay tareekay bhi hai, which are allowed.

aur aap kay baray jo kaha iss ka talluk is topic say hargiz nahi tha, main ne kisi aur topic main aap ki batain parh li theen, jo mujhay achi nahi lageen, bulkay infact wo topic hi acha nahi laga, wo at least kisi muslim ko suit nahi karta halankay wo kai doosray mazahib main bhi theek nahi, magar yahaan tu aksar muslim hi hain.

aur chor kar is liye jana chah raha hoon kay, in logoon main reh kar apna imaan kamzoor nahi karna chah raha, jo pehlay ki kafi kamzoor hai, aur aamaal tu na honay ka barabar hain, aap nay khud hi kaha hai na kay "mahool ka asar" tu isi mahool say i think mujhay bachna chahiye, infact har aik ko.
Posted 10 Feb 2005

Ashii says
areyy yarrrrrrrrr

humein ap ki baat se aik damm ittefak hai,, achi baat batate rehna chaiye,, par iss ka sabb se acha tareeka yeh hai k b friend with others,, unn k samne itne ache ban k raho (amal aur zuban se) k jab aap unn se koi baat karo to woh bura na manein balke sochne pe majboor ho ja'ain
i know it s easier to say,, me khud aisa karne mei abhi tak nakaam hu



mahol ka asar to kamzor logon pe hota hai,,,,
b strong and apna acha asar mahol pe dalo
it s a challenge
Posted 10 Feb 2005

stariz says
ZEESHANAHMED said:

Assalam o Alaikum,

RIZ bhai preshan na hoon Allah behtar karay ga, agar aap mujhay bata saktay hain kay baat kia hai tu shaid main aap koi help kar sakoon, you can tell me in private. adal main baat yeh nahi kay aap ko sabhi ko khush karna hay, aap ko sirf theek baat ka sath dena chahay is say koi naraz ho. agar Allah kay liye mujhay apnay parents ko naraz karna paray tu mujhay koi hesitation nahi honi chahiye. laikin baherhaal maan baap ka martaba ziada hai baki sab logoon say, aap ko maloom hoga kay islam main aisa hai kay agar maan apnay betay ko wife bhi chornay ko kehti hai (its an extreme case, sirf explanation kay liye) aur agar wo ghalat bhi hai magar wo islam say conflicted nahi hai tu hukam yahi hai kay maan ki baat maan li jaey. but that may not be your case. tu sirf Allah ki raza zrhan main rakhain logoon ki nahi. ok

Allah Hafiz.




Salam
it's a long sorry yaar. aur kaha sa shoro karo. khair bas dua karna yaar. Allah sab thek karday Ameen..
Posted 12 Feb 2005

stariz says
SALL said:

hein jiii,, ae ki hoya

areyy aisi kya baat ho gai,,,
humein rulane ki himmat to hui nahi kabhi kissi mei,, aap k saath aisa kya hua ??
kiss ne kuch keh diya
just name him/her




stariz aap ab munnu pappu banne ki koshish na karo
dono ko aisi discussion mei phansa k khud nikal liye araam se
dua hum aik shart pe karein ge,,
aap aik deig pohoncha dein hamare aastane pe




SALL yaar ma kehta zaror discuss karta. lekin hum sa bhetar koi Alam-e-Deen samjhahay toa sahi rehta hai. acha wasa aik baat hai tum dono na kafi gherahi ma baat kari.. i'm so impressed..

aray ya da da deig ki baat ko bhol jao. yaar ghareeb insaan ho. agar deig khiladi toa khud kia kahonga
Posted 12 Feb 2005

Ashii says
gareeb se keh do
k woh aaj se sabar khae



oupsss,,
topic closed
Posted 13 Feb 2005

khansak says
Posted 13 Feb 2005

stariz says
i think ma topic ko modify kar ka koi aur naam rakh deta ho..

MARRIAGE IN ISLAM - CASTE/RACE


how's that?
Posted 13 Feb 2005

Ashii says
hmm,, start a new topic with this TITLE
i have a lot to say abt it


Posted 13 Feb 2005

khansak says
thats good and let us see who comes first
Posted 13 Feb 2005

Ashii says
areyyy i said start a new topic

khair can anyone post something according to Quran pak and hadees concerning this topic.. coz mere knowledge sirf base hi hadd tak hai,,,,
i only know k cast system Islam mei nahi hai,,, but koi Ayat or hadees ka havala me nahi de sakti...


so kaun start kare ga ????
Posted 13 Feb 2005

stariz says
haan SALL lekin janti ho phir bhe bohat sa log is baat per amal nahi karte

kia kehti ho
Posted 13 Feb 2005

Ashii says
yep u r rite,,,
spec those who belongs to HIGH casts
ie SYED,,,

par khair logon ki kya baat,,, mere paas bahishti zevar naam ki aik boook hai,, and i ve heard in pak ppl consult it frequently coz it s written by some vv known ulema,,, khair mujhe sahi se nahi pata

i read (opened) it just once and my bad luck,, ittefak se aik aisa chapter parha which deals with this cast pb
i was soo surprised coz woh chapter mei kuch aisa likha hai k yeh yeh casts achi hein,,, aur flani casts thori lower hein

i talked abt it to others,, and i ve been told k it mite b an older version of book,, now most bahishti zevar mei yeh chapter nahi hai

strange han


khair baad mei aur kuch kahein ge,,, abhi gtg
Posted 14 Feb 2005

Reply to Topic