Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Rahi Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker
Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
tere pyar main men pagal si hon per
tujhey abb milna itna asaan to nahin
dunya taney deti hai mughey herpal per
tujhey yun bholna itna asaan to nahin
chahat ki hadh tak chu le pyaar mera
per tera imtehan laina asaan to nahin
tere pyar main men pagal si hon per
tujhey abb milna itna asaan to nahin
dunya taney deti hai mughey herpal per
tujhey yun bholna itna asaan to nahin
chahat ki hadh tak chu le pyaar mera
per tera imtehan laina asaan to nahin
thanks Nice janubaby, aapki contribution bohat achi hey![]()
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..................
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai.................
good