laut jaati hai duniya gam hamara dekhkar.
jaise laut jaati hai lehre kinara dekhkar.
tu kanda naa dena mere janaze ko.
kahi zinda naa ho jao tera sahara dekhkar
Too nahin to zindagii main aur kyaa rah jaayegaa
duur tak tanhaaiiyon kaa silasilaa rah jaayegaa
dard kii sarii tahe.n aur saare guzare haadase
sab dhuaan ho jaaye.nge ek vaaqiyaa rah jaayegaa
yuun bhii hogaa vo mujhe dil se bhulaa degaa magar
ye bhii hogaa Khud usii men ek Khalaa rah jaayegaa
daayar-e-inkaar ke iqaraar kii saragoshiyaan
ye agar TuuTe kabhii to faasalaa rah jaayegaa
BeWaFa
Kabhi hai talkh sa lehja kabhi Saba ki tarhan
Mizaaj apna badalta hai woh hawa ki tarhan
Woh apne aap sey begaana kar gaya humko
Ek ajnabi jo mila khaas aashna ki tarhan
Qadam Qadam pey bhatakna qabool hai mujh ko
Agar tu saath rahey merey rehnuma ki tarhan
Hum us ki yaad ko Dil sey lagakey jee leyngey
Bhula sakey to bhuladey woh bewafa ki tarhan