kabhi..............

14235 views 174 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker



Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker



Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker



Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker



Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker



Mera Kiya Hall Hai Yeh A Kay Kabhi dekh To Lay
Jee Rahi Hoon Tera Bhoola Hoa Vadah Banker



Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Angel
Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker



Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Posted 06 Feb 2005

Fairl_Girl says
COOL
Posted 07 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 07 Mar 2005

genius says
Posted 07 Mar 2005

wafakadard says
WOW bahto khob
Posted 07 Mar 2005

wafakadard says
kamal shaks tha jis nay mujhae tabhha kiya
keelaaf uskay yeh dil ho saka hay ab bhi nahin
Posted 07 Mar 2005

nice_roni says
Abh Kiya Lekhay Kagaz Per?
Abh Lekhnay Ko Kiya Baki Hai?

Aik Dil Tha So Abh Toat Giya
Lutnay Ko Abh Kiya Baki Hai

Aik Shakes Ko Hum Nay Caha Tha
Kuch Rate Per Naksh Banaiya Tha

En Rate Kay Razuoo Ko Hum
Nay Dil Mian Sajiya Tha

Woh Rate Tuo Kabh Ke Bekhar Ge
Woh Naksh Abh Kahan Baki Hain?

Abh Kiya Lekhay Hum Kagaz Per
Woh Jin Ko Hum Apni Nazmo

Ka Anwan Banaiya keartay thay
Woh Lafzo Ka Bana Kay Taj_Mahal

Kagaz Per Sajaiya kertay thay
Woh Hum Ko Akela Chor Giya

Saab Ristuoo Say Mooh Moor Giya
Abh Ristay Saray Sunay Hain

Woh payra Abh Kahan Baki Hai
Abh Kiya Lekhay Kagaz Per

Abh Lekhnay Ko Kiya Baki Hai.....
Posted 07 Mar 2005

nice_roni says
Gungunaty hoye anchal ki hawa de mujh ko
Ungliyaa phair ke baloon main sula de mujh ko


Jis tarah faltoo guldan pary rehty hain
Apny gher ke kisy kony main laga dy mujh ko


Yad ker ke mujhy takleef hi hoty ho gy
Ik qissa hoon purana sa bhula de mujh ko


Doobty doobty awaz tery sun jaoon
Aakhry bar to sahil se sada dy mujh ko


Main tery hijer main chup chaap na mer jaoon kaheen
Main hoon sakty main kabhy a ke rula de mujh ko


Daik main ho gaya ho badnaam –kitaboo ke tarah
Mery tasheer na ker jala de mujh ko


Roothna tera mery jan liye jata hai
Asy naraz na hoo hans ke dikha de mujh ko


Or khuch bhee nahy manga mery malik tujh se
Uski galioon main pary khaak bana de mujh ko


Loog kehty hain ke yeh ishq nigal jata hai
Main bhee is ishq main aya hoon dua dy mujh ko


Yahi oqat hai mery tery jeewan ke main
koi kamzoor sa lamha hoo bula de mujh ko

Posted 07 Mar 2005

nice_roni says
Is dil ko abhi dard chupaanay nahin aaye..

Is dil ko abhi dard chupaanay nahin aaye,
or aankh ko bhi ashq bahaanay nahin aaye..

Mein tere liye 'Taaj Mehal' shook se likhti,
lafzon k nagar mujh ko basaanay nahin aaye..

Yeh sonch ker roothi thi woh aahein gey manaaney,
bas dukh to yehi hai woh mananay nahin aaye..

Manaa k Muhabbat k amin hoo na sakey hum,
woh bhi to koi deep jalaanay nahin aaye..

Daryaa-e-Muhabbat mein jo doobon to hai khuaish,
is waqt mujhe koi bachaney nahin aaye......
Posted 07 Mar 2005

nice_roni says
Too nahin to zindagii main aur kyaa rah jaayegaa
duur tak tanhaaiiyon kaa silasilaa rah jaayegaa


dard kii sarii tahe.n aur saare guzare haadase
sab dhuaan ho jaaye.nge ek vaaqiyaa rah jaayegaa


yuun bhii hogaa vo mujhe dil se bhulaa degaa magar
ye bhii hogaa Khud usii men ek Khalaa rah jaayegaa


daayar-e-inkaar ke iqaraar kii saragoshiyaan
ye agar TuuTe kabhii to faasalaa rah jaayegaa

Posted 07 Mar 2005

nice_roni says
Mere jazbaat, mere dil ko jo chhua karta tha…
Mera saathi, koi mera hudam kabhi hua karta tha.

Kahin door chala gaya hai woh, Mera jo hamqadam kabhi hua karta tha.



Kitnay gehre zakhm de gaya hai woh aaj, Zakhmon ka jo marham kabhi hua karta tha.



Ab to raastay main mailay bhi to raasta badal de, Who mera dilbar mera jaanam kabhi hua karta tha.

Posted 07 Mar 2005

Fairl_Girl says
wow wowowowowow
Posted 07 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 07 Mar 2005

genius says
Posted 08 Mar 2005

Fairl_Girl says
Jab dil hi dena tha tho dard kyo diya
Jab mahobath nahi karna tha tho dosti kyo kiya

Palkon mein tera chehra chhupa rakkha hai,
Aajkal humne khudko bhi bhula rakkha hai.

Milkar tujhse hi mil paaye hai hum zindagi se apni,
Apni har saans mein tera hi naam daba rakkha hai.

Naam tera sunkar bhi anjaan se rah jaate hai aajkal,
Raaz humne ab bhi yeh subse chhupa rakkha hai.

Muskurahat teri dekhkar hi samajh paaye hai khushi ko.
Har ek hansi ko teri humne dil pe saja rakkha hai.

Aaine mei dekha karte hain hum ab surat teri,
Yeh tune hume kya se kya bana rakkha hai
Posted 10 Mar 2005

Guest_005 says
once again very nice ji
Posted 11 Mar 2005

Fairl_Girl says
thx adi
Posted 11 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 11 Mar 2005

Fairl_Girl says

laut jaati hai duniya gam hamara dekhkar.
jaise laut jaati hai lehre kinara dekhkar.
tu kanda naa dena mere janaze ko.
kahi zinda naa ho jao tera sahara dekhkar
Posted 11 Mar 2005









Posted 11 Mar 2005

Fairl_Girl says
mg
rano nice
Posted 12 Mar 2005

Fairl_Girl says
Too nahin to zindagii main aur kyaa rah jaayegaa
duur tak tanhaaiiyon kaa silasilaa rah jaayegaa
dard kii sarii tahe.n aur saare guzare haadase
sab dhuaan ho jaaye.nge ek vaaqiyaa rah jaayegaa
yuun bhii hogaa vo mujhe dil se bhulaa degaa magar
ye bhii hogaa Khud usii men ek Khalaa rah jaayegaa
daayar-e-inkaar ke iqaraar kii saragoshiyaan
ye agar TuuTe kabhii to faasalaa rah jaayegaa
Posted 13 Mar 2005

v nice janu




Posted 13 Mar 2005

paki_fan says
very nice janubaby n rani
Posted 13 Mar 2005

Fairl_Girl says
nawazeesh
Posted 13 Mar 2005

Fairl_Girl says

Tamam Umar Zindagi Say Door Rahay.......!!!"


Tamam Umar Zindagi Say Door Rahay
Teri Khushi K Liey Tujh Say Door Rahay


Ab Is Say Bhar Kar Wafa Ki Saza Kya Hogi
K Terey Ho Kar Bhi Tujh Say Door Rahay


Jab Bhi Aap Say Milnay Ki Takdeer Nazar Aye
Mujhay Paoon Main Bandhi Zanjeer Nazar Aye

Teri Yaad Main Nikal Paray Merey Aansoon
Har Aanson Main Teri Tasweer Nazar Aye
Posted 13 Mar 2005

Fairl_Girl says
Posted 15 Mar 2005

Fairl_Girl says
BeWaFa
Kabhi hai talkh sa lehja kabhi Saba ki tarhan
Mizaaj apna badalta hai woh hawa ki tarhan

Woh apne aap sey begaana kar gaya humko
Ek ajnabi jo mila khaas aashna ki tarhan
Qadam Qadam pey bhatakna qabool hai mujh ko
Agar tu saath rahey merey rehnuma ki tarhan

Hum us ki yaad ko Dil sey lagakey jee leyngey
Bhula sakey to bhuladey woh bewafa ki tarhan




Posted 15 Mar 2005

Posted 16 Mar 2005

paki_fan says
really nice
Posted 16 Mar 2005












Posted 16 Mar 2005

Reply to Topic