’’ URDU ’’

5460 views 89 replies
Reply to Topic
Ashii

Age: 124
Total Posts: 31001
Points: 0

Location:
France, France
yarrr.. aik baat jo me ne notice ki
hum pakis iss kadar kharab URDU kyun bolte hein,, matlab k aik jumle mei 50% english k lafz hote hein
KYUN ???

jo log europe america mei rehte hein unn ki baat to chalo aur hai na,,, par sabbb se ghapla pak mei rehne waale karte hein,,, no exception,,
yahan tak k anparh log bhiiii

urdu channels dekh lo,,, presenters itna ghayta accent mei bolte hein k mu tor dene ka dil karta hai,,, aise jaise kissi angreiz ki olad hon,,,

achaaa naaaaaa,, mujhe pata hai,, me konsa kam hu,,, iss post mei bhi kafi english lafz hein
par aisa kyun hai

humein yeh baat nahi bhoolni chaiye k URDU sirff pakistan mei boli jati hai ya phir india mei,, wahan ka haal yahan se bhi gay guzra hai,, iss tarha to kuch arse baad our language will b a dead language
Posted 06 Mar 2005

khansak says
Kahin aik jaga per tik jao bahi, kabi canada, kabi israel aur kabi norway
Posted 08 Mar 2005

Ashii says
shahrukh khan said:

apni besti kar rahi ho

chalein ab aap ki kar dete hein
aik second lage ga,,, saruuu

oooooo yusfi,,,
aikk dammmm zabardast hai,,, aab gum parhi hai ??
yarr itniiii zabardast urdu k maza aa jata hai parh k
Posted 08 Mar 2005

khansak said:

Kahin aik jaga per tik jao bahi, kabi canada, kabi israel aur kabi norway

Ham Nahin Tiktay

Posted 08 Mar 2005

Freddy says
Sanoo ki urdu naal jee...........aasi tei punjabi haygey aan.........................saada punjabi nuu koi mix tei kaar kay vekhay app he mix ho jayee ga
Posted 08 Mar 2005

Waichay Ham to To Chaali Hi Lang Pachand Hain

Bach Main Ho To Tam Har Lang Seekh Lain But AAHhh!!! Itni Zahaanat Hi Nahin Mili To

Posted 09 Mar 2005

Doctor Sam says
SALL said:

meri apni halat to sab se buri hai
iss liye k jab hum dost/behen/bhai bolte hein to french, eng, urdu,, sabbb ka kachoomra nikal dete hein

yar eitraz angrezi bolne pe nahi hai,, matlab k aik urdu k jumle mei angrezi ka tarka bhi lagate jaate hein,,
yeh theek nahi lagta

hmmm,, abhi se me koshish karu gi,, angrezi ka paivand na lagane ki

G sall sahiba

koshish to kerni chahiye na...
Posted 09 Mar 2005

Doctor Sam says
khansak said:

yeh canada aur israel pakistan main kahan per hain? Khunkay Narowal kay akser log apnay aap ko Norway ka batatay hain.

ye Pakistan main nahi hain Sir...
Posted 09 Mar 2005

Doctor Sam says
Balich said:

Waichay Ham to To Chaali Hi Lang Pachand Hain

Bach Main Ho To Tam Har Lang Seekh Lain But AAHhh!!! Itni Zahaanat Hi Nahin Mili To

kion nahi mili ? zaroor mili hey, try to Use it...
Posted 09 Mar 2005

otay tly talein day

waichay ham to tholi pashto
tholi somalian
tholi african
tholi arabic
tholi tamil
ati hain Wish diada seekh lun

and english
norwegian
and punjabi
paharhi
urdu

Posted 09 Mar 2005

Ashii says
faradiya said:

Sanoo ki urdu naal jee...........aasi tei punjabi haygey aan.........................saada punjabi nuu koi mix tei kaar kay vekhay app he mix ho jayee ga

ya yaaaa,,,
MIX wi fer punjabi ich karo
Posted 09 Mar 2005

Ashii says
itnniiiiii dheir languages balich

humein sirf urdu, punjabi, eng and french
par thori thoti nahi,, zyada zyada aati hein
Posted 09 Mar 2005

tholi tholi ati hain na chall

ham to bohaaaaaaaaat shok hay na sekhnay ta def lang
Posted 09 Mar 2005

Doctor Sam says
Balich said:

otay tly talein day

waichay ham to tholi pashto
tholi somalian
tholi african
tholi arabic
tholi tamil
ati hain Wish diada seekh lun

and english
norwegian
and punjabi
paharhi
urdu

Masha Allah
Posted 09 Mar 2005

Doctor Sam says
SALL said:

itnniiiiii dheir languages balich

humein sirf urdu, punjabi, eng and french
par thori thoti nahi,, zyada zyada aati hein

Zabardast
Posted 09 Mar 2005

SohniKuddi says
ammi abba jo honay na unna ki chahina hai je oh apne bachian ki apni zabaan sikhaan, aj ne ammi abba bachian naal angrezi bolnay phir bacchian na keh kasoor. Bechaare oh hi zabaan bol sakne na...
oh vih valedain he jere ziada advance hain, apu vih angrezi sikhne waste school vich jaane, mein eh waledain takhe veh.

(translated for non MPs)
parents should encourage their kids to speek urdu more often within their family (i mean its ok for the outside world english is crucial) but there are many parents who speek to their kids in english so their kids grow up to speak english (its not their fault). some parents go to learn english themselves (not that that is bad or owt) and need their kids support to speak english thus leading their mother tongue to rot in their mouths.
Posted 10 Mar 2005

SohniKuddi says
mein tussa saarian ki takkhia vah
Posted 10 Mar 2005

SohniKuddi said:

lolzzz right jee
mazay ti hay punjabi
Posted 10 Mar 2005

SohniKuddi said:

mein tussa saarian ki takkhia vah

Aap nay ham sab ko kiya kiya hay????
Posted 10 Mar 2005

SohniKuddi says
he he he he he he he he, (i seen all you guys)
Posted 10 Mar 2005

shaista says

sall, assal main english ko urdu main mix bahut se loog is liye karte hain ke dekho hum parhe likhe hain. lekin eik purani Big B ki film thi us tha ke har lafz ke peeche ing laga do to english bool sakte ho....

lekin mere khayaal main yeh eik aam baat bhi hai ke hum 2 zubaane boolte hain to aggar eik lafz eik zubaan main na patta ho to duusri zubaan ka beech main phaink dete hain...
kyon?
Posted 10 Mar 2005

yup...english ka word zarur ayega...
Posted 10 Mar 2005

Doctor Sam says
ye urdu ka topic tha

punjabi ka nahi

Posted 12 Mar 2005

SohniKuddi says
Doctor Sam said:

ye urdu ka topic tha

punjabi ka nahi

maghar urdu ki tarah punjabi bhi kam boli jaa rahi hai aur issi tarah yeh bhi aahista aahista khantam ho jai gi.
Posted 13 Mar 2005

Doctor Sam says
mera khayal hey punjabi ko koi khatra laheq nahi...

masla sirf Urdu k sath hey...

aapko chahiye k hamaray sath mil k Urdu k farogh k liye jadd-o-jehed kerain...

Posted 13 Mar 2005

Doctor Sam says
shahrukh khan said:

yup...english ka word zarur ayega...

bilkul zaroori nahi hey... aap koshish ker k dekhain..

hum aise jumlay bol saktay hain jahan Angrezi ka aik lafz bhi na aaye...

aazmaish shart hey...

Posted 13 Mar 2005

Ashii says
sam

STYLE bhi akhir koi cheez hai

mazak kar rahi hu yar,,,
par khair jab koi masle ko samjhe ga hi nahi to hal kaise hoga,,
hum apni taraf se to sirf koshish kar sakte hein na
Posted 13 Mar 2005

Doctor Sam says
aap hansi kion...

???/

main ne kuch ghalat kaha.....
Posted 13 Mar 2005

Ashii says
so far away said:

2) IF U LOVE UR COUNTRY AND LANGUAGE SO MUCH THEN WHAT R U DOING IN FRANCE . U MUST LIVE IN YOUR COUNTRY.

AGAIN NO BEHASSS AND MEANINGLESS DISCUSSION. CZ EVERYBODY KNOWS THIS OLD STUFF. RIGHT.
HOLLA BAQ

jiss jaga pe tum jaise ghatya soch k log hon wahan pe rehna mere bass ki baat nahi

i already said
STAY OUT OF MY TOPICS and just GET LOST
Posted 13 Mar 2005

Doctor Sam said:

shahrukh khan said:

yup...english ka word zarur ayega...

bilkul zaroori nahi hey... aap koshish ker k dekhain..

hum aise jumlay bol saktay hain jahan Angrezi ka aik lafz bhi na aaye...

aazmaish shart hey...

3 mins urdu bolo...pata lag jayega
Posted 15 Mar 2005

friend_16 says
waisay mujhay urdu kaafi achee atee hai par kuch lafz bech main is liay english kay istimaal kertee hoon takay doosroon ko bhee samaj aa jaiy ..

dosree baat ye kay hamaian adat ho gaiy hai .. 2 zabaoonoon ko sath bolnay ki .. aur kuch lafz tu aisay hein jin ki hamain ab urdu bhee nahi millte .. jaisay boht see chezon kay naam he angerazzi main hein .. tv , fridge .. ye saab .. aik khalis urdu bolna kaafi mushkil kaam hai ab aur samjhna bhee ..

ab tu haal ye hai kay na sahee say urdu aatee hai na angarezi .. beech main he reh gaiy hein..
Posted 15 Mar 2005

Reply to Topic