Logo

batbazi

friends here is the game of batbazi start new with last digit
        kash tera ghar hotta maghrib ki janib
main sajde kia karta KABBA ka bahana

Posted on 10/11/2005 9:21:11 PM

"Yeh Masayel-e-Tasawwuff, Yeh Tera Bayaan Ghalib
Tujhay Hum Wali Samajhtay, Jo na Baada Khaw hota"

ALIF..///

Posted on 10/11/2005 9:24:56 PM

usi aik pal ki talash main Jisay log kehtay hain zindagi
teri raahguzar main bikhar gayien meri umr bhar ki musaaftain

Noon


(is sher k liye main ne khas tor par topic banaya tha, k kisi ko ye poori ghazal aati ho ya kam az kam shayar ka naam e pata ho to bata day)

Posted on 10/11/2005 10:59:09 PM

najana konsa asab dil main basta ha
ka jo bhi thara wo akhir makan chohr gaya
    alif

Posted on 10/12/2005 11:01:08 AM

aa k ab tasleem kar lain tu nahi to main sahi
kon maanay ga k hum main bay-wafa koi nahi

Ye

Posted on 10/12/2005 7:05:29 PM

Yaad-e-Maazi azaab hay ya rub
Chheen lay mujh say Hafiza Mera

Alif

Posted on 10/13/2005 2:34:06 AM

uski yaad main soya hun to toot kar bikhra hun
main tha, neend ik sheeshay jesi aor wo Pathar khwab

bay...

Posted on 10/13/2005 12:41:04 PM

barish se khaltee raheen pukhta imartaan
bijlee geere to shehar ka kacha makan par
    ra

Posted on 10/14/2005 11:05:59 AM

Roshini ki Talaash mainn Dhondh laya Andhera
Dil Mera bhi meri tarah Pagal Nikla ...


(Subha Tumhara shair hay...Tum bhi aao na yahan )

Posted on 10/14/2005 8:02:15 PM

iss na dekha hi nahi apni hathle ko kabhi
is main madham se lakir kahin meri bhi ha
ya

Posted on 10/14/2005 9:17:00 PM

ye ajeeb khel hey pyar ka, main ne aap dekha ye moajza
wo jo lafz mere gumaan main thay, wo teri zubaan pe a gaye

Ye

Posted on 10/14/2005 9:51:57 PM

Yeh na thi Hamaari Qismet keh Wisal-e-Yaar Hota
Koi Chaara Saaz hota, Koi Ghum Gusaar Hota

Alif

Posted on 10/15/2005 9:04:30 PM

aik tum hi thay warna, aadmi Mohabbat main
laakh aaien deewarain raastay banata hey


ye

Posted on 10/15/2005 9:09:54 PM

"Yunhi Bay Sabab na Phira kero
Koi Shaam ghar bhi Raha kero
Woh Ghazal ki Sachi kitaab hay
Ussay Chupkay Chupkay Perha kero"

WOW

Posted on 10/15/2005 9:19:02 PM


Posted on 10/16/2005 2:29:48 AM

wo jo geet tum ne suna nahi,meri umar bhar ka ryaz tha
mere dard ki thi wo daastan ,jisay tum hansi main urdaa gaye..

Ye

Posted on 10/16/2005 6:23:09 AM

wah jee wah

Posted on 10/16/2005 1:29:33 PM

wo milla to sadioon ka bad bhi mera lab pa koi gilla na tha
isse meri chup na rula dia jisse guftgoo main kamal tha
alif

Posted on 10/16/2005 1:39:32 PM

itni Muddat baad milay ho, Aao Aaj aisay Milainn
Jaisay Gad Med ho jaata hay Malba Giray Makanonn ka

Alif

Posted on 10/16/2005 7:45:37 PM

Usay rastay main kal dekha tha Mohsin
Udaasi main wo acha lag raha tha..

alif

Posted on 10/16/2005 8:09:03 PM

atta jatta sara moasam iss se nisbat rakhta hain
iss ka hijr khizaoon jaisa iss ka qurb bharaonn sa
alif

Posted on 10/16/2005 9:13:23 PM

"Apnay Tumharay Piyaar ki Hed Jaanchnay ko"
"Kayee baar Mainn nay Toureenn Chooriyaann kaanch ki"

YEH....

(Subha ka shair )

Posted on 10/16/2005 11:11:53 PM

Yaqeen hey dhokay main a k utra hey chand pani ki saltanat main
bulandiyon se dikhai deta hey hu-bahu aasmaan Samandar


Ray

Posted on 10/17/2005 1:53:19 AM

wah jee wah..pehli RAY in baytbaazi...


"Rahonn mainn he milay thay Hum, Rahainn naseeb ho gayeen"
"Tu bhi na Apnay Ghar gaya, Hum bhi na apnay Ghar gaye"


YEH

Posted on 10/17/2005 11:50:51 PM

ye kya k sab se bayaan dil ki halatain karnien
Faraz tujh ko na aaien Mohabbatain karnien..

Noon..

Posted on 10/17/2005 11:54:55 PM

na woh inkaar kerta hay, na woh iqraar kerta hay
Humainn phir bhi yaqeen hay woh haminn say pyaar kerta hay

alif

Posted on 10/17/2005 11:56:40 PM



ye to indian song nai hey?


Posted on 10/18/2005 12:01:07 AM

Pehlay yeh aik Mash'hoor ghazal hay...Phir Indian Song bana tha...Just like that

"Meri Zindagi kay Maalik, Keray Dil pay haath rakh
Teray aanay ki Khushi mainn Mera Dum nikal na jaye"

Posted on 10/18/2005 12:02:27 AM

usay milna saleebon ki gali main
usay kehna wo Sach kion bolta tha

Posted on 10/18/2005 12:08:23 AM

Doctor Sam:
usay milna saleebon ki gali main
usay kehna wo Sach kion bolta tha


ALIF.....


"Aankh say Aankh Mila, Baat banaata kiyun hay"
"Tu Zamaanay ki Tarah Mujh ko Sataata kiyun hay "


YEH....

Posted on 10/18/2005 10:24:26 PM

ye kis ne hum se lahu ka kharaaj phir maanga
abhi to soye thay maqtal ko surkharu kar k


ye

Posted on 10/19/2005 2:16:12 AM