Badshah wakt kay darbaar mai Ghalib ko jiss banday nai jaga na milnay dei ussay USTAD ZAUQ kay naam sei jana jata tha.....
Dehli walay ye nahi chahtay thay kay koi AGRAY wala Darbar mai jaga banay lay........
aik baar Ghalib ko darbar mai mushareyee pay bolayaa geya tu ....kisi aik banday nai be uss kay kisi sher ki daad na ....jis sei woe naraz ho kay mehfil sei uth geyaa.........
Ghalib gali muhaloo mai shaeri karta thaa....Aam insanoo kay juzbaat ki tarjumani karta raha...jub kay Ustad Zauq badshah wakt ki shaan mai Qaseday likhta raha.....
wahi sei ghalib kay undaar dewaangi aanay lagi .....ore uss ki sheeri mai ye Aaalq sa andazay beyaaan jhulknay lagaa
Aik dafa Ustad Zauq apni palki mai beth kay bazar sei ghalib kay samnay sei guzraa tu ghalib nai aik jumla Qasaaa
Bana hai shah ka musahib , phiray hai itrataaaa
ustad zauq ko ye baat bohot buri lagi ore unhoon nai ghalib ko zalil karnay ka aik mansooba banayaaaa
unhoon nai darbar mai aik moshaeray ka ehtamam keya ore ghalib ko invite keyaaa........
ghalib jub ayaa tu zauq kay aik masahib nai badshah ko batayaa kay ghalib nai sar-ay rah ustad zauq ki shaan mai jumla qasa hai...
badshah nai ghalib sei pocha tu ....ghalib nai kaha jee hazoo mai nai kaha magar ye meri neyeee ghazal ka maqta tha...
badshah nai kaha kay maqta sunayeee........ghalib nai kaha
bana hai shah ka musahib , phiray hai etrataaa
bana hai shah ka musahib , phiray hai etrataaaa
wagernaa sher mai ghalib ki aabroo kya hai ?
ustad zauq paar manoo miti paard geyeee........phir be unhoon nai haar na manii...or kaha kay agar maqta itna accha hai tu poori ghazal kya ho gey..... woe jantay thay kay ghalib nai ye misra abi abi gardha hai......
ghalib nai ussi wakt betha betha ye pooori ghazal likhiii jo kay sirf ussi ka kaam hai...gazal kay kuch sher molahiza farmayeee
is qissay ka to humain pata tha zoq aor ghalib walay qissay ka...
aor freddy... fursat ka kya hey mil hi jaye gi kisi na kisi din.. na mili to aap ka ye topic to hey na....